Romiyon 15

burdbaaree

1ham taaqatavaron ka farz hai ki kamzoron kee kamzoriyaan bardaasht karen. ham sirf apnay aap ko khush karnay kee khaatir zindagee na guzaaren 2balki har ek apnay padosee ko us kee behatree aur ruhaanee taameer-o-taraqqee kay liyay khush karay. 3kyoonki maseeh nay bhee khud ko khush rakhnay kay liyay zindagee naheen guzaaree. kalaam-ay-muqaddas men us kay baaray men yahee likha hai, “jo tujhay gaaliyaan detay hain un kee gaaliyaan mujh par a gaee hain.” 4yah sab kuchh hamen hamaaree naseehat kay liyay likha gaya taaki ham saabitqadmee aur kalaam-ay-muqaddas kee hausalaaafza baaton say ummeed paaen. 5ab saabitqadmee aur hausla denay vaala khuda aap ko taufeeq day ki aap maseeh eesa ka namoona apna kar yagaangat kee rooh men ek doosray kay saath zindagee guzaaren. 6tab hee aap mil kar ek hee aavaaz kay saath khuda, hamaaray khudaavand eesa maseeh kay baap ko jalaal day sakengay.

ghairyahoodiyon kay liyay khushkhabaree

7chunaanchay jis tarah maseeh nay aap ko qabool kiya hai usee tarah ek doosray ko bhee qabool karen taaki allaah ko jalaal milay. 8yaad rakhen ki maseeh allaah kee sadaaqat ka izhaar karkay yahoodiyon ka khaadim bana taaki un vaadon kee tasdeeq karay jo ibraaheem, ishaaq aur yaaqoob say kiay gaay thay. 9vah is liyay bhee khaadim bana ki ghairyahoodee allaah ko us rahem kay liyay jalaal den jo us nay un par kiya hai. kalaam-ay-muqaddas men yahee likha hai,

“is liyay main aqvaam men teree hamd-o-sana karoonga,

teray naam kee taareef men geet gaaoonga.”

10yah bhee likha hai,

“ai deegar qaumo, us kee ummat kay saath khushee manaao!”

11phir likha hai,

“ai tamaam aqvaam, rabb kee tamjeed karo!

ai tamaam ummato, us kee sitaaish karo!”

12aur yasaayaah nabee yah farmaata hai,

“yassee kee jad say ek kompal phoot niklegee,

ek aisa aadmee uthegaa

jo qaumon par hukoomat karega.

ghairyahoodee us par aas rakhengay.”

13ummeed ka khuda aap ko eemaan rakhnay kay baais har khushee aur salaamatee say maamoor karay taaki rooh-ul-quds kee qudrat say aap kee ummeed badh kar dil say chhalak jaaay.

dileree say likhnay kee vajah

14meray bhaaiyo, mujhay poora yaqeen hai ki aap khud bhalaaee say maamoor hain, ki aap har tarah ka ilm-o-irfaan rakhtay hain aur ek doosray ko naseehat karnay kay qaabil bhee hain. 15to bhee main nay yaad dilaanay kee khaatir aap ko kaee baaten likhnay kee dileree kee hai. kyoonki main allaah kay fazl se 16aap ghairyahoodiyon kay liyay maseeh eesa ka khaadim hoon. aur main allaah kee khushkhabaree phailaanay men bait-ul-muqaddas kay imaam kee see khidmat sar’anjaam deta hoon taaki aap ek aisee qurbaanee ban jaaen jo allaah ko pasand aaay aur jisay rooh-ul-quds nay us kay liyay makhsoos-o-muqaddas kiya ho. 17chunaanchay main maseeh eesa men allaah kay saamnay apnee khidmat par fakhar kar sakta hoon. 18kyoonki main sirf us kaam kay baaray men baat karnay kee jur’at karoonga jo maseeh nay meree maarifat kiya hai aur jis say ghairyahoodee allaah kay taabay ho gaay hain. haan, maseeh hee nay yah kaam kalaam aur amal say, 19ilaahee nishaanon aur mojizon kee quvvat say aur allaah kay rooh kee qudrat say sar’anjaam diya hai. yoon main nay yarooshalam say lay kar sooba illurikum tak safar kartay kartay allaah kee khushkhabaree phailaanay kee khidmat pooree kee hai. 20aur main isay apnee izzat ka baais samjha ki khushkhabaree vahaan sunaaoon jahaan maseeh kay baaray men khabar naheen pahunchee. kyoonki main aisee bunyaad par taameer naheen karna chaahata tha jo kisee aur nay daalee thee. 21kalaam-ay-muqaddas yahee farmaata hai,

“jinhen us kay baaray men naheen bataaya gayaa

vah dekhengay,

aur jinhon nay naheen sunaa

unhen samajh aaegee.”

paulus ka rom jaanay ka iraadaa

22yahee vajah hai ki mujhay itnee dafa aap kay paas aanay say roka gaya hai. 23lekin ab meree in ilaaqon men khidmat pooree ho chukee hai. aur choonki main itnay saalon say aap kay paas aanay ka aarzoomand raha hoon 24is liyay ab yah khwaahish pooree karnay kee ummeed rakhta hoon. kyoonki main nay spen jaanay ka mansooba banaaya hai. ummeed hai ki raastay men aap say miloonga aur aap aagay kay safar kay liyay meree madad kar sakengay. lekin pahelay main kuchh der kay liyay aap kee rifaaqat say lutf’andoz hona chaahata hoon. 25is vaqt main yarooshalam ja raha hoon taaki vahaan kay muqaddaseen kee khidmat karoon. 26kyoonki makiduniya aur akhya kee jamaaaton nay yarooshalam kay un muqaddaseen kay liyay hadiya jama karnay ka faisla kiya hai jo ghareeb hain. 27unhon nay yah khushee say kiya aur dar’asal yah un ka farz bhee hai. ghairyahoodee to yahoodiyon kee ruhaanee barkaton men shareek huay hain, is liyay ghairyahoodiyon ka farz hai ki vah yahoodiyon ko bhee apnee maalee barkaton men shareek karkay un kee khidmat karen. 28chunaanchay apna yah farz ada karnay aur maqaamee bhaaiyon ka yah saara phal yarooshalam kay eemaandaaron tak pahunchaanay kay baad main aap kay paas say hota hua spen jaaoonga. 29aur main jaanta hoon ki jab main aap kay paas aaoonga to maseeh kee pooree barkat lay kar aaoonga.

30bhaaiyo, main hamaaray khudaavand eesa maseeh aur rooh-ul-quds kee muhabbat ko yaad dila kar aap say minnat karta hoon ki aap meray liyay allaah say dua karen aur yoon meree ruhaanee jang men shareek ho jaaen. 31is kay liyay dua karen ki main sooba yahoodiya kay ghaireemaandaaron say bacha rahoon aur ki meree yarooshalam men khidmat vahaan kay muqaddaseen ko pasand aaay. 32kyoonki main chaahata hoon ki jab main allaah kee marzee say aap kay paas aaoonga to meray dil men khushee ho aur ham ek doosray kee rifaaqat say tar-o-taaza ho jaaen. 33salaamatee ka khuda aap sab kay saath ho. aameen.