Gintee 34

mulk-ay-kan’aan kee sarhadden

1rabb nay moosa say kaha, 2“israaeeliyon ko bataana ki jab tum us mulk men daakhil hogay jo main tumhen meeraas men doonga to us kee sarhadden yah hongee :

3us kee junoobee sarhadd dasht-ay-seen men adom kee sarhadd kay saath saath chalegee. mashriq men vah baheera-ay-murdaar kay junoobee saahil say shuroo hogee, phir in jagahon say ho kar maghrib kee taraf guzregee : 4darra-ay-aqrabbeem kay junoob men say, dasht-ay-seen men say, qaadis-barneea kay junoob men say hasar-addaar aur azmoon men say. 5vahaan say vah mud kar misr kee sarhadd par vaaqay vaadee-ay-misr kay saath saath baheera-ay-room tak pahunchegee. 6us kee maghribee sarhadd baheera-ay-room ka saahil hoga. 7us kee shimaalee sarhadd baheera-ay-room say lay kar in jagahon say ho kar mashriq kee taraf guzregee : hor pahaad, 8labo-hamaat, sidaad, 9zifroon aur hasar-enaan. hasar-enaan shimaalee sarhadd ka sab say mashriqee maqaam hoga. 10us kee mashriqee sarhadd shimaal men hasar-enaan say shuroo hogee. phir vah in jagahon say ho kar junoob kee taraf guzregee : sifaam, 11ribla jo ain kay mashriq men hai aur kinnarat yaanee galeel kee jheel kay mashriq men vaaqay pahaadee ilaaqa. 12is kay baad vah darya-ay-yardan kay kinaaray kinaaray guzartee huee baheera-ay-murdaar tak pahunchegee. yah tumhaaray mulk kee sarhadden hongee.”

13moosa nay israaeeliyon say kaha, “yah vahee mulk hai jisay tumhen qur’a daal kar taqseem karna hai. rabb nay hukm diya hai ki usay baaqee saadhay nau qabeelon ko dena hai. 14kyoonki adhaaee qabeelon kay khaandaanon ko un kee meeraas mil chukee hai yaanee roobin aur jad kay pooray qabeelay aur manassee kay aadhay qabeelay ko. 15unhen yahaan, darya-ay-yardan kay mashriq men yareehoo kay saamnay zameen mil chukee hai.”

mulk taqseem karnay kay zimmaadaar aadmee

16rabb nay moosa say kaha, 17“ileeazar imaam aur yashooa bin noon logon kay liyay mulk taqseem karen. 18har qabeelay kay ek ek raahanuma ko bhee chunna taaki vah taqseem karnay men madad karay. jin ko tumhen chunna hai un kay naam yah hain :

19yahoodaah kay qabeelay ka kaalib bin yafunna,

20shamaaoon kay qabeelay ka samooel bin ammeehood,

21binyameen kay qabeelay ka ileedaad bin kislon,

22daan kay qabeelay ka buqqee bin yuglee,

23manassee kay qabeelay ka hanneeel bin afood,

24ifraaeem kay qabeelay ka qamooel bin siftaan,

25zabooloon kay qabeelay ka ileesafan bin farnaaq,

26ishkaar kay qabeelay ka falteeel bin azzaan,

27aashar kay qabeelay ka akheehood bin shaloomee,

28naftaalee kay qabeelay ka fidaahel bin ammeehood.”

29rabb nay in hee aadmiyon ko mulk ko israaeeliyon men taqseem karnay kee zimmaadaaree dee.