Yashua 23

yashooa kee aakhiree naseehaten

1ab israaeelee kaafee der say salaamatee say apnay mulk men rahetay thay, kyoonki rabb nay unhen ird-gird kay dushmanon kay hamlon say mahfooz rakha. jab yashooa bahut boodha ho gaya thaa 2to us nay israaeel kay tamaam buzurgon, sardaaron, qaaziyon aur nigahbaanon ko apnay paas bula kar kaha, “ab main boodha ho gaya hoon. 3aap nay apnee aankhon say dekha ki rabb nay is ilaaqay kee tamaam qaumon kay saath kya kuchh kiya hai. rabb aap kay khuda hee nay aap kay liyay jang kee. 4yaad rakhen ki main nay mashriq men darya-ay-yardan say lay kar maghrib men samundar tak saara mulk aap kay qabeelon men taqseem kar diya hai. bahut see qaumon par main nay fatah paaee, lekin chand ek ab tak baaqee rah gaee hain. 5lekin rabb aap ka khuda aap kay aagay aagay chaltay huay unhen bhee nikaal kar bhaga dega. aap un kee zameenon par qabza kar lengay jis tarah rabb aap kay khuda nay vaada kiya hai.

6ab pooree himmat say har baat par amal karen jo moosa kee shareeat kee kitaab men likhee huee hai. na daaeen aur na baaeen taraf haten. 7un deegar qaumon say rishta mat baandhna jo ab tak mulk men baaqee rah gaee hain. un kay buton kay naam apnee zabaan par na laana, na un kay naam lay kar qasam khaana. na un kee khidmat karna, na unhen sijda karna. 8rabb apnay khuda kay saath yoon liptay rahena jis tarah aaj tak liptay rahay hain.

9rabb nay aap kay aagay aagay chal kar badee badee aur taaqatvar qaumen nikaal dee hain. aaj tak aap kay saamnay koee naheen khada rah saka. 10aap men say ek shakhs hazaar dushmanon ko bhaga deta hai, kyoonki rabb aap ka khuda khud aap kay liyay ladta hai jis tarah us nay vaada kiya tha. 11chunaanchay sanjeedgee say dhyaan den ki aap rabb apnay khuda say piyaar karen, kyoonki aap kee zindagee isee par munhasir hai. 12agar aap us say door ho kar un deegar qaumon say lipat jaaen jo ab tak mulk men baaqee hain aur un kay saath rishta baandhen 13to rabb aap ka khuda yaqeenan in qaumon ko aap kay aagay say naheen nikaalega. is kay bajaay yah aap ko phansaanay kay liyay phanda aur jaal banengay. yah yaqeenan aap kee peethon kay liyay koday aur aankhon kay liyay kaantay ban jaaengay. aakhir men aap us achchhay mulk men say mit jaaengay jo rabb aap kay khuda nay aap ko day diya hai.

14aaj main vahaan ja raha hoon jahaan kisee na kisee din duniya kay har shakhs ko jaana hota hai. lekin aap nay pooray dil-o-jaan say jaan liya hai ki jo bhee vaada rabb aap kay khuda nay aap kay saath kiya vah poora hua hai. ek bhee adhoora naheen rah gaya. 15lekin jis tarah rabb nay har vaada poora kiya hai bilkul usee tarah vah tamaam aaften aap par naazil karega jin kay baaray men us nay aap ko khabardaar kiya hai agar aap us kay taabay na rahen. phir vah aap ko us achchhay mulk men say mita dega jo us nay aap ko day diya hai. 16agar aap us ahd ko toden jo us nay aap kay saath baandha hai aur deegar maaboodon kee pooja karkay unhen sijda karen to phir rabb ka poora ghazab aap par naazil hoga aur aap jald hee us achchhay mulk men say mit jaaengay jo us nay aap ko day diya hai.”