Yashua 16

ifraaeem aur manassee kee junoobee sarhadd

1qur’a daalnay say yoosuf kee aulaad ka ilaaqa muqarrar kiya gaya. us kee sarhadd yareehoo kay qareeb darya-ay-yardan say shuroo huee, shaher kay mashriq men chashmon kay paas say guzree aur registaan men say chaltee chaltee bait-el kay pahaadee ilaaqay tak pahunchee. 2looz yaanee bait-el say aagay nikal kar vah arkiyon kay ilaaqay men ataaraat pahunchee. 3vahaan say vah maghrib kee taraf utartee utartee yafleetiyon kay ilaaqay men daakhil huee jahaan vah nishebee bait-hauroon men say guzar kar jazar kay peechhay samundar par khatm huee. 4yah us ilaaqay kee junoobee sarhadd thee jo yoosuf kee aulaad ifraaeem aur manassee kay qabeelon ko viraasat men diya gaya.

ifraaeem ka ilaaqaa

5ifraaeem kay qabeelay ko us kay kumbon kay mutaabiq yah ilaaqa mil gaya : us kee junoobee sarhadd ataaraat-addaar aur baalaaee bait-hauroon say ho kar 6-8 samundar par khatm huee. us kee shimaalee sarhadd maghrib men samundar say shuroo huee aur qaana nadee kay saath chaltee chaltee taffooah tak pahunchee. vahaan say vah shimaal kee taraf mudee aur mikmataah tak pahunch kar dubaara mashriq kee taraf chalnay lagee. phir vah taanat-saila say ho kar yaanooh pahunchee. mashriqee sarhadd shimaal men yaanooh say shuroo huee aur ataaraat say ho kar darya-ay-yardan kay maghribee kinaaray tak utree aur phir kinaaray kay saath junoob kee taraf chaltee chaltee naara aur is kay baad yareehoo pahunchee. vahaan vah darya-ay-yardan par khatm huee. yahee ifraaeem aur us kay kumbon kee sarhadden theen.

9is kay ilaava kuchh shaher aur un kay gird-o-navaah kee aabaadiyaan ifraaeem kay liyay muqarrar kee gaeen jo manassee kay ilaaqay men theen. 10ifraaeem kay mardon nay jazar men aabaad kan’aaniyon ko na nikaala. is liyay un kee aulaad aaj tak vahaan rahetee hai, alabatta usay begaar men kaam karna padta hai.