Hizqeeel 35
adom registaan banegaa
1rabb mujh say hamkalaam hua, 2“ai aadamzaad, saeer kay pahaadee ilaaqay kee taraf rukh karkay us kay khilaaf nubuvvat kar! 3usay bata,
‘rabb qaadir-ay-mutlaq farmaata hai ki ai saeer kay pahaadee ilaaqay, ab main tujh say nipat loonga. main apna haath teray khilaaf utha kar tujhay veeraan-o-sunsaan kar doonga. 4main teray shaheron ko malbay kay dher bana doonga, aur too saraasar ujad jaaega. tab too jaan lega ki main hee rabb hoon.
5too hamesha israaeeliyon ka sakht dushman raha hai, aur jab un par aafat aaee aur un kee saza urooj tak pahunchee to too bhee talvaar lay kar un par toot pada. 6is liyay rabb qaadir-ay-mutlaq farmaata hai ki meree hayaat kee qasam, main tujhay qatl-o-ghaarat kay havaalay karoonga, aur qatl-o-ghaarat tera taaqqub kartee rahegee. choonki too nay qatl-o-ghaarat karnay say nafrat na kee, is liyay qatl-o-ghaarat teray peechhay padee rahegee. 7main saeer kay pahaadee ilaaqay ko veeraan-o-sunsaan karkay vahaan kay tamaam aanay jaanay vaalon ko mita daaloonga. 8teray pahaadee ilaaqay ko main maqtoolon say bhar doonga. talvaar kee zad men aanay vaalay har taraf paday rahengay. teree pahaadiyon, vaadiyon aur tamaam ghaatiyon men laashen nazar aaengee . 9meray hukm par too abad tak veeraan rahega, aur teray shaher ghair’aabaad rahengay. tab too jaan lega ki main hee rabb hoon.
10too bola, “israaeel aur yahoodaah kee donon qaumen apnay ilaaqon samet meree hee hain! aao ham un par qabza karen.” tujhay khayaal tak naheen aaya ki rabb vahaan maujood hai. 11is liyay rabb qaadir-ay-mutlaq farmaata hai ki meree hayaat kee qasam, main tujh say vahee sulook karoonga jo too nay un say kiya jab too nay ghussay aur hasad kay aalam men un par apnee pooree nafrat ka izhaar kiya. lekin un hee par main apnay aap ko zaahir karoonga jab main teree adaalat karoonga. 12us vaqt too jaan lega ki main, rabb nay vah tamaam kufr sun liya hai jo too nay israaeel kay pahaadon kay khilaaf baka hai. kyoonki too nay kaha, “yah ujad gaay hain, ab yah hamaaray qabzay men a gaay hain aur ham unhen kha saktay hain.” 13too nay shekhee maar maar kar meray khilaaf kufr baka hai, lekin khabardaar! main nay in tamaam baaton par tavajjuh dee hai. 14rabb qaadir-ay-mutlaq farmaata hai ki too nay khushee manaaee ki poora mulk veeraan-o-sunsaan hai, lekin main tujhay bhee utna hee veeraan kar doonga. 15too kitna khush hua jab israaeel kee mauroosee zameen ujad gaee! ab main teray saath bhee aisa hee karoonga. ai saeer kay pahaadee ilaaqay, too pooray adom samet veeraan-o-sunsaan ho jaaega. tab vah jaan lengay ki main hee rabb hoon.’