Zakariyāh 8

ek nayā āġāz

1ek bār phir rabb-ul-afwāj kā kalām mujh par nāzil huā, 2“rabb-ul-afwāj farmātā hai ki maiṅ baṛī ġairat se siyyūn ke liye laṛ rahā hūṅ, baṛe ġusse meṅ us ke liye jidd-o-jahd kar rahā hūṅ. 3rabb farmātā hai ki maiṅ siyyūn ke pās vāpas āūṅgā, dubārā yarūshalam ke bīch meṅ sukūnat karūṅgā. tab yarūshalam ‘vafādārī kā shahar’ aur rabb-ul-afwāj kā pahāṛ ‘koh-e-muqaddas’ kahalāegā. 4kyūṅki rabb-ul-afwāj farmātā hai, ‘buzurg mard-o-ḵẖavātīn dubārā yarūshalam ke chaukoṅ meṅ baiṭheṅge, aur har ek itnā umrrasīdā hogā ki use chhaṛī kā sahārā lenā paṛegā. 5sāth sāth chauk khel-kūd meṅ masrūf laṛkoṅ-laṛkiyoṅ se bhare raheṅge.’

6rabb-ul-afwāj farmātā hai, ‘shāyad yah us vaqt bache hue isrāīliyoṅ ko nāmumkin lage. lekin kyā aisā kām mere liye jo rabb-ul-afwāj hūṅ nāmumkin hai? hargiz nahīṅ!’ 7rabb-ul-afwāj farmātā hai, ‘maiṅ apnī qaum ko mashriq aur maġrib ke mamālik se bachā kar 8vāpas lāūṅgā, aur vah yarūshalam meṅ baseṅge. vahāṅ vah merī qaum hoṅge aur maiṅ vafādārī aur insāf ke sāth un kā ḵẖudā hūṅgā.’

9rabb-ul-afwāj farmātā hai, ‘hauslā rakh kar tāmīrī kām takmīl tak pahuṅchāo! āj bhī tum un bātoṅ par etimād kar sakte ho jo nabiyoṅ ne rabb-ul-afwāj ke ghar kī bunyād ḍālte vaqt sunāī thīṅ. 10yād rahe ki us vaqt se pahale na insān aur na haivān ko mehanat kī mazdūrī miltī thī. āne jāne vāle kahīṅ bhī dushman ke hamloṅ se mahfūz nahīṅ the, kyūṅki maiṅ ne har ādmī ko us ke hamsāy kā dushman banā diyā thā.’ 11lekin rabb-ul-afwāj farmātā hai, ‘ab se maiṅ tum se jo bache hue ho aisā sulūk nahīṅ karūṅgā. 12log salāmatī se bīj boeṅge, aṅgūr kī bel vaqt par apnā phal lāegī, khetoṅ meṅ fasleṅ pakeṅgī aur āsmān os paṛne degā. yah tamām chīzeṅ maiṅ yahūdāh ke bache huoṅ ko mīrās meṅ dūṅgā. 13ai yahūdāh aur isrāīl, pahale tum dīgar aqvām meṅ lānat kā nishānā ban gae the, lekin ab jab maiṅ tumheṅ rihā karūṅgā to tum barkat kā bāis hoge. ḍaro mat! hauslā rakho!’

14rabb-ul-afwāj farmātā hai, ‘pahale jab tumhāre bāpdādā ne mujhe taish dilāyā to maiṅ ne tum par āfat lāne kā musammam irādā kar liyā thā aur kabhī na pachhtāyā. 15lekin ab maiṅ yarūshalam aur yahūdāh ko barkat denā chāhatā hūṅ. is meṅ merā irādā utnā hī pakkā hai jitnā pahale tumheṅ nuqsān pahuṅchāne meṅ pakkā thā. chunāṅche ḍaro mat! 16lekin in bātoṅ par dhyān do, ek dūsre se sacch bāt karo, adālat meṅ sacchāī aur salāmatī par mabnī faisle karo, 17apne paṛosī ke ḵẖilāf bure mansūbe mat bāndho aur jhūṭī qasam khāne ke shauq se bāz āo. in tamām chīzoṅ se maiṅ nafrat kartā hūṅ.’ yah rabb kā farmān hai.”

18ek bār phir rabb-ul-afwāj kā kalām mujh par nāzil huā, 19“rabb-ul-afwāj farmātā hai ki āj tak yahūdāh ke log chauthe, pāṅchveṅ, sātveṅ aur dasveṅ mahīne meṅ rozā rakh kar mātam karte āe haiṅ. lekin ab se yah auqāt ḵẖushī-o-shādmānī ke mauqe hoṅge jin par jashn manāoge. lekin sacchāī aur salāmatī ko piyār karo!

20rabb-ul-afwāj farmātā hai ki aisā vaqt āegā jab dīgar aqvām aur mut’addid shaharoṅ ke log yahāṅ āeṅge. 21ek shahar ke bāshinde dūsre shahar meṅ jā kar kaheṅge, ‘āo, ham yarūshalam jā kar rabb se iltimās kareṅ, rabb-ul-afwāj kī marzī darayāft kareṅ. ham bhī jāeṅge.’ 22hāṅ, mut’addid aqvām aur tāqatvar ummateṅ yarūshalam āeṅgī tāki rabb-ul-afwāj kī marzī mālūm kareṅ aur us se iltimās kareṅ.

23rabb-ul-afwāj farmātā hai ki un dinoṅ meṅ muḵẖtalif aqvām aur ahal-e-zabān ke das ādmī ek yahūdī ke dāman ko pakaṛ kar kaheṅge, ‘hameṅ apne sāth chalne deṅ, kyūṅki ham ne sunā hai ki allāh āp ke sāth hai’.”