Zakariyāh 12

allāh yarūshalam kī hifāzat karegā

1zail meṅ rabb kā isrāīl ke liye kalām hai. rabb jis ne āsmān ko ḵẖaime kī tarah tān kar zamīn kī bunyādeṅ rakhīṅ aur insān ke andar us kī rūh ko tashkīl diyā vah farmātā hai,

2“maiṅ yarūshalam ko gird-o-navāh kī qaumoṅ ke liye sharāb kā piyālā banā dūṅgā jise vah pī kar laṛkhaṛāne lageṅgī. yahūdāh bhī musībat meṅ āegā jab yarūshalam kā muhāsarā kiyā jāegā. 3us din duniyā kī tamām aqvām yarūshalam ke ḵẖilāf jamā ho jāeṅgī. tab maiṅ yarūshalam ko ek aisā patthar banāūṅgā jo koī nahīṅ uṭhā sakegā. jo bhī use uṭhā kar le jānā chāhe vah zaḵẖmī ho jāegā.” 4rabb farmātā hai, “us din maiṅ tamām ghoṛoṅ meṅ abtarī aur un ke savāroṅ meṅ dīvāngī paidā karūṅgā. maiṅ dīgar aqvām ke tamām ghoṛoṅ ko aṅdhā kar dūṅgā.

sāth sāth maiṅ khulī āṅkhoṅ se yahūdāh ke gharāne kī dekh-bhāl karūṅgā. 5tab yahūdāh ke ḵẖāndān dil meṅ kaheṅge, ‘yarūshalam ke bāshinde is liye hamāre liye quvvat kā bāis haiṅ ki rabb-ul-afwāj un kā ḵẖudā hai.’ 6us din maiṅ yahūdāh ke ḵẖāndānoṅ ko jalte hue koile banā dūṅgā jo dushman kī sūkhī lakṛī ko jalā deṅge. vah bhaṛaktī huī mash’al hoṅge jo dushman kī pūloṅ ko bhasm karegī. un ke dāīṅ aur bāīṅ taraf jitnī bhī qaumeṅ gird-o-navāh meṅ rahatī haiṅ vah sab nazar-e-ātish ho jāeṅgī. lekin yarūshalam apnī hī jagah mahfūz rahegā.

7pahale rabb yahūdāh ke gharoṅ ko bachāegā tāki dāūd ke gharāne aur yarūshalam ke bāshindoṅ kī shān-o-shaukat yahūdāh se baṛī na ho. 8lekin rabb yarūshalam ke bāshindoṅ ko bhī panāh degā. tab un meṅ se kamzor ādmī dāūd jaisā sūrmā hogā jabki dāūd kā gharānā ḵẖudā kī mānind, un ke āge chalne vāle rabb ke farishte kī mānind hogā. 9us din maiṅ yarūshalam par hamlāāvar tamām aqvām ko tabāh karne ke liye nikalūṅgā.

yarūshalam kā mātam

10maiṅ dāūd ke gharāne aur yarūshalam ke bāshindoṅ par meharbānī aur iltimās kā rūh uṅḍelūṅgā. tab vah mujh par nazar ḍāleṅge jise unhoṅ ne chhedā hai, aur vah us ke liye aisā mātam kareṅge jaise apne iklaute beṭe ke liye, us ke liye aisā shadīd ġam khāeṅge jis tarah apne pahalauṭhe ke liye. 11us din log yarūshalam meṅ shiddat se mātam kareṅge. aisā mātam hogā jaisā maidān-e-majiddo meṅ hadad-rimmon par kiyā jātā thā. 12-14 pūre kā pūrā mulk vāvailā karegā. tamām ḵẖāndān ek dūsre se alag aur tamām aurteṅ dūsroṅ se alag āh-o-bukā kareṅgī. dāūd kā ḵẖāndān, nātan kā ḵẖāndān, lāvī kā ḵẖāndān, simaī kā ḵẖāndān aur mulk ke bāqī tamām ḵẖāndān alag alag mātam kareṅge.