Zakariyāh 11

baṛoṅ ko nīchā kiyā jāegā

1ai lubnān, apne darvāzoṅ ko khol de tāki tere deodār ke daraḵẖt nazar-e-ātish ho jāeṅ.

2ai jūnīpar ke daraḵẖto, vāvailā karo! kyūṅki deodār ke daraḵẖt gir gae haiṅ, yah zabardast daraḵẖt tabāh ho gae haiṅ. ai basan ke balūto, āh-o-zārī karo! jo jaṅgal itnā ghanā thā ki koī us meṅ se guzar na saktā thā use kāṭā gayā hai.

3suno, charvāhe ro rahe haiṅ, kyūṅki un kī shāndār charāgāheṅ barbād ho gaī haiṅ. suno, javān sherbabar dahāṛ rahe haiṅ, kyūṅki vādī-e-yardan kā guṅjān jaṅgal ḵẖatm ho gayā hai.

do qism ke gallābān

4rabb merā ḵẖudā mujh se hamkalām huā, “zabah hone vālī bheṛ-bakriyoṅ kī gallābānī kar! 5jo unheṅ ḵẖarīd lete vah unheṅ zabah karte haiṅ aur qusūrvār nahīṅ ṭhaharte. aur jo unheṅ bechate vah kahate haiṅ, ‘allāh kī hamd ho, maiṅ amīr ho gayā hūṅ!’ un ke apne charvāhe un par taras nahīṅ khāte.

6is liye rabb farmātā hai ki maiṅ bhī mulk ke bāshindoṅ par taras nahīṅ khāūṅgā. maiṅ har ek ko us ke paṛosī aur us ke bādshāh ke havāle karūṅgā. vah mulk ko ṭukṛe ṭukṛe kareṅge, aur maiṅ unheṅ un ke hāth se nahīṅ chhuṛāūṅgā.”

7chunāṅche maiṅ, zakariyāh ne saudāgaroṅ ke liye zabah hone vālī bheṛ-bakriyoṅ kī gallābānī kī. maiṅ ne us kām ke liye do lāṭhiyāṅ līṅ. ek kā nām ‘meharbānī’ aur dūsrī kā nām ‘yagāṅgat’ thā. un ke sāth maiṅ ne revaṛ kī gallābānī kī. 8ek hī mahīne meṅ maiṅ ne tīn gallābānoṅ ko miṭā diyā. lekin jald hī maiṅ bheṛ-bakriyoṅ se taṅg ā gayā, aur unhoṅ ne mujhe bhī haqīr jānā.

9tab maiṅ bolā, “āindā maiṅ tumhārī gallābānī nahīṅ karūṅgā. jise marnā hai vah mare, jise zāe honā hai vah zāe ho jāe. aur jo bach jāeṅ vah ek dūsre kā gosht khāeṅ. maiṅ zimmādār nahīṅ hūṅgā! [a] maiṅ zimmādār nahīṅ hūṅgā izāfā hai tāki matlab sāf ho. 10maiṅ ne lāṭhī banām ‘meharbānī’ ko toṛ kar zāhir kiyā ki jo ahd maiṅ ne tamām aqvām ke sāth bāṅdhā thā vah mansūḵẖ hai. 11usī din vah mansūḵẖ huā.

tab bheṛ-bakriyoṅ ke jo saudāgar mujh par dhyān de rahe the unhoṅ ne jān liyā ki yah paiġām rabb kī taraf se hai. 12phir maiṅ ne un se kahā, “agar yah āp ko munāsib lage to mujhe mazdūrī ke paise de deṅ, varnā rahane deṅ.” unhoṅ ne mazdūrī ke liye mujhe chāṅdī ke 30 sikke de die.

13tab rabb ne mujhe hukm diyā, “ab yah raqam kumhār [b] yā dhāt ḍhālne vāle. ke sāmne phaiṅk de. kitnī shāndār raqam hai! yah merī itnī hī qadar karte haiṅ.” maiṅ ne chāṅdī ke 30 sikke le kar rabb ke ghar meṅ kumhār ke sāmne phaiṅk die. 14is ke bād maiṅ ne dūsrī lāṭhī banām ‘yagāṅgat’ ko toṛ kar zāhir kiyā ki yahūdāh aur isrāīl kī aḵẖuvvat mansūḵẖ ho gaī hai.

15phir rabb ne mujhe batāyā, “ab dubārā gallābān kā sāmān le le. lekin is bār ahamaq charvāhe kā sā ravayyā apnā le. 16kyūṅki maiṅ mulk par aisā gallābān muqarrar karūṅgā jo na halāk hone vāloṅ kī dekh-bhāl karegā, na chhoṭoṅ ko talāsh karegā, na zaḵẖmiyoṅ ko shifā degā, na sehatmandoṅ ko ḵẖurāk muhayyā karegā. is ke bajāy vah behtarīn jānvaroṅ kā gosht khā legā balki itnā zālim hogā ki un ke khuroṅ ko phāṛ kar toṛegā. 17us bekār charvāhe par afsos jo apne revaṛ ko chhoṛ detā hai. talvār us ke bāzū aur dahanī āṅkh ko zaḵẖmī kare. us kā bāzū sūkh jāe aur us kī dahanī āṅkh aṅdhī ho jāe.”

[a] maiṅ zimmādār nahīṅ hūṅgā izāfā hai tāki matlab sāf ho.
[b] yā dhāt ḍhālne vāle.