Titus 3

masīhī kirdār

1unheṅ yād dilānā ki vah hukmarānoṅ aur iḵẖtiyār vāloṅ ke tābe aur faramāṁbardār raheṅ. vah har nek kām karne ke liye tayyār raheṅ, 2kisī par tuhamat na lagāeṅ, amnapasand aur narmdil hoṅ aur tamām logoṅ ke sāth narmamizājī se pesh āeṅ. 3kyūṅki ek vaqt thā jab ham bhī nāsamajh, nāframān aur sahīh rāh se bhaṭke hue the. us vaqt ham kaī tarah kī shahavatoṅ aur ġalat ḵẖwāhishoṅ kī ġulāmī meṅ the. ham bure kāmoṅ aur hasad karne meṅ zindagī guzārte the. dūsre ham se nafrat karte the aur ham bhī un se nafrat karte the. 4lekin jab hamāre najātadihandā allāh kī meharbānī aur muhabbat zāhir huī 5to us ne hameṅ bachāyā. yah nahīṅ ki ham ne rāst kām karne ke bāis najāt hāsil kī balki us ke raham hī ne hameṅ rūh-ul-quds ke vasīle se bachāyā jis ne hameṅ dho kar nae sire se janm diyā aur naī zindagī atā kī. 6allāh ne apne is rūh ko baṛī fayyāzī se hamāre najātadihandā īsā masīh ke vasīle se ham par uṅḍel diyā 7tāki hameṅ us ke fazl se rāstbāz qarār diyā jāe aur ham us abdī zindagī ke vāris ban jāeṅ jis kī ummīd ham rakhte haiṅ. 8is bāt par pūrā etimād kiyā jā saktā hai.

maiṅ chāhatā hūṅ ki āp in bātoṅ par ḵẖās zor deṅ tāki jo allāh par īmān lāe haiṅ vah dhyān se nek kām karne meṅ lage raheṅ. yah bāteṅ sab ke liye acchhī aur mufīd haiṅ. 9lekin behūdā bahsoṅ, nasabanāmoṅ, jhagṛoṅ aur sharīat ke bāre meṅ tanāzuoṅ se bāz raheṅ, kyūṅki aisā karnā befāidā aur fuzūl hai. 10jo shaḵẖs pārṭībāz hai use do bār samjhāeṅ. agar vah is ke bād bhī na māne to use rifāqat se ḵẖārij kareṅ. 11kyūṅki āp ko patā hogā ki aisā shaḵẖs ġalat rāh par hai aur gunāh meṅ phaṅsā huā hotā hai. us ne apnī harkatoṅ se apne āp ko mujrim ṭhaharāyā hai. 12

āḵẖirī hidāyāt

jab maiṅ artimās yā tuḵẖikus ko āp ke pās bhej dūṅgā to mere pās āne meṅ jaldī kareṅ. maiṅ nīkupulis shahar meṅ hūṅ, kyūṅki maiṅ ne faislā kar liyā hai ki sardiyoṅ kā mausam yahāṅ guzārūṅ. 13jab zenās vakīl aur apullos safar kī tayyāriyāṅ kar rahe haiṅ to un kī madad kareṅ. ḵẖayāl rakheṅ ki un kī har zarūrat pūrī kī jāe. 14lāzim hai ki hamāre log nek kām karne meṅ lage rahanā sīkheṅ, ḵẖāskar jahāṅ bahut zarūrat hai, aisā na ho ki āḵẖirkār vah bephal nikleṅ. 15sab jo mere sāth haiṅ āp ko salām kahate haiṅ. unheṅ merā salām denā jo īmān meṅ ham se muhabbat rakhte haiṅ.

allāh kā fazl āp sab ke sāth hotā rahe.