Titus 1

1yah ḵẖat paulus kī taraf se hai jo allāh kā ḵẖādim aur īsā masīh kā rasūl hai.

mujhe chun kar bhejā gayā tāki maiṅ īmān lāne aur ḵẖudātaras zindagī kī sacchāī jān lene meṅ allāh ke chune hue logoṅ kī madad karūṅ. 2kyūṅki us se unheṅ abdī zindagī kī ummīd dilāī jātī hai, aisī zindagī kī jis kā vādā allāh ne duniyā ke zamānoṅ se peshtar hī kiyā thā. aur vah jhūṭ nahīṅ boltā. 3apne muqarrarā vaqt par allāh ne apne kalām kā elān karke use zāhir kar diyā. yahī elān mere sapurd kiyā gayā hai aur maiṅ ise hamāre najātadihandā allāh ke hukm ke mutābiq sunātā hūṅ.

4maiṅ titus ko likh rahā hūṅ jo hamāre mushtarakā īmān ke mutābiq merā haqīqī beṭā hai.

ḵẖudā bāp aur hamārā najātadihandā masīh īsā āp ko fazl aur salāmatī atā kareṅ.

krete meṅ titus kī ḵẖidmat

5maiṅ ne āp ko krete meṅ is liye chhoṛā thā ki āp vah kamiyāṅ durust kareṅ jo ab tak rah gaī thīṅ. yah bhī ek maqsad thā ki āp har shahar kī jamāat meṅ buzurg muqarrar kareṅ, jis tarah maiṅ ne āp ko kahā thā. 6buzurg beilzām ho. us kī sirf ek bīvī ho. us ke bacche īmāndār hoṅ aur log un par ayyāsh yā sarkash hone kā ilzām na lagā sakeṅ. 7nigrān ko to allāh kā gharānā saṁbhālne kī zimmādārī dī gaī hai, is liye lāzim hai ki vah beilzām ho. vah ḵẖudsar, ġusīlā, sharābī, laṛākā yā lālchī na ho. 8is ke bajāy vah mehamān-navāz ho aur sab acchhī chīzoṅ se piyār karne vālā ho. vah samajhdār, rāstbāz aur muqaddas ho. vah apne āp par qābū rakh sake. 9vah us kalām ke sāth lipṭā rahe jo qābil-e-etimād aur hamārī tālīm ke mutābiq hai. kyūṅki is tarah hī vah sehatabaḵẖsh tālīm de kar dūsroṅ kī hausalāafzāī kar sakegā aur muḵẖālafat karne vāloṅ ko samjhā bhī sakegā.

10bāt yah hai ki bahut se aise log haiṅ jo sarkash haiṅ, jo fuzūl bāteṅ karke dūsroṅ ko dhokā dete haiṅ. yah bāt ḵẖāskar un par sādiq ātī hai jo yahūdiyoṅ meṅ se haiṅ. 11lāzim hai ki unheṅ chup karā diyā jāe, kyūṅki yah lālach meṅ ā kar kaī logoṅ ke pūre ghar apnī ġalat tālīm se ḵẖarāb kar rahe haiṅ. 12un ke apne ek nabī ne kahā hai, “krete ke bāshinde hameshā jhūṭ bolne vāle, vahashī jānvar aur sust peṭū hote haiṅ.” 13us kī yah gavāhī durust hai. is vajah se lāzim hai ki āp unheṅ saḵẖtī se samjhāeṅ tāki un kā īmān sehatmand rahe 14aur vah yahūdī farzī kahāniyoṅ yā un insānoṅ ke ahkām par dhyān na deṅ jo sacchāī se haṭ gae haiṅ. 15jo log pāk-sāf haiṅ un ke liye sab kuchh pāk hai. lekin jo nāpāk aur īmān se ḵẖālī haiṅ un ke liye kuchh bhī pāk nahīṅ hotā balki un kā zahan aur un kā zamīr donoṅ nāpāk ho gae haiṅ. 16yah allāh ko jānne kā dāvā to karte haiṅ, lekin un kī harkateṅ is bāt kā inkār kartī haiṅ. yah ghinaune, nāframān aur koī bhī acchhā kām karne ke qābil nahīṅ haiṅ.