Ġazal-ul-Ġazlāt 8

kāsh ham akele hoṅ

1kāsh tū merā sagā bhāī [a] lafzī tarjumā : merā bhāī hotā, jise merī māṅ ne dūdh pilāyā hotā. hotā, tab agar bāhar tujh se mulāqāt hotī to maiṅ tujhe bosā detī aur koī na hotā jo yah dekh kar mujhe haqīr jāntā.

2maiṅ terī rāhanumāī karke tujhe apnī māṅ ke ghar meṅ le jātī, us ke ghar meṅ jis ne mujhe tālīm dī. vahāṅ maiṅ tujhe masāledār mai aur apne anāroṅ kā ras pilātī.

3us kā bāyāṅ bāzū mere sar ke nīche hotā aur dāyāṅ bāzū mujhe gale lagātā hai.

4ai yarūshalam kī beṭiyo, qasam khāo ki jab tak muhabbat ḵẖud na chāhe tum use na jagāogī, na bedār karogī.

mahbūb kī āḵẖirī bāt

5yah kaun hai jo apne mahbūb kā sahārā le kar registān se chaṛhī ā rahī hai?

seb ke daraḵẖt tale maiṅ ne tujhe jagā diyā, vahāṅ jahāṅ terī māṅ ne tujhe janm diyā, jahāṅ us ne dard-e-zah meṅ mubtalā ho kar tujhe paidā kiyā.

6mujhe muhar kī tarah apne dil par, apne bāzū par lagāe rakh! kyūṅki muhabbat maut jaisī tāqatvar, aur us kī sargarmī pātāl jaisī belachak hai. vah dahaktī āg, rabb kā bhaṛaktā sholā hai.

7pānī kā baṛā sailāb bhī muhabbat ko bujhā nahīṅ saktā, baṛe daryā bhī use bahā kar le jā nahīṅ sakte. aur agar koī muhabbat ko pāne ke liye apne ghar kī tamām daulat pesh bhī kare to bhī use javāb meṅ haqīr hī jānā jāegā.

mahbūbā kī āḵẖirī bāt

8hamārī chhoṭī bahan kī chhātiyāṅ nahīṅ haiṅ. ham apnī bahan ke liye kyā kareṅ agar koī us se rishtā bāṅdhne āe?

9agar vah dīvār ho to ham us par chāṅdī kā qil’āband intizām banāeṅge. agar vah darvāzā ho to ham use deodār ke taḵẖte se mahfūz rakheṅge.

10maiṅ dīvār hūṅ, aur merī chhātiyāṅ mazbūt mīnār haiṅ. ab maiṅ us kī nazar meṅ aisī ḵẖātūn ban gaī hūṅ jise salāmatī hāsil huī hai.

sulemān se ziyādā daulatmand

11bāl-hāmūn meṅ sulemān kā aṅgūr kā bāġ thā. is bāġ ko us ne paharedāroṅ ke havāle kar diyā. har ek ko us kī fasal ke liye chāṅdī ke hazār sikke dene the.

12lekin merā apnā aṅgūr kā bāġ mere sāmne hī maujūd hai. ai sulemān, chāṅdī ke hazār sikke tere liye haiṅ, aur 200 sikke un ke liye jo us kī fasal kī paharādārī karte haiṅ.

mujhe hī pukār

13ai bāġ meṅ basne vālī, mere sāthī terī āvāz par tavajjuh de rahe haiṅ. mujhe hī apnī āvāz sunne de.

14ai mere mahbūb, ġazāl yā javān hiran kī tarah balsān ke pahāṛoṅ kī jānib bhāg jā!.

[a] lafzī tarjumā : merā bhāī hotā, jise merī māṅ ne dūdh pilāyā hotā.