Ġazal-ul-Ġazlāt 6

1ai tū jo aurtoṅ meṅ sab se ḵẖūbsūrat hai, terā mahbūb kidhar chalā gayā hai? us ne kaun sī simt iḵẖtiyār kī tāki ham tere sāth us kā khoj lagāeṅ?

2merā mahbūb yahāṅ se utar kar apne bāġ meṅ chalā gayā hai, vah balsān kī kyāriyoṅ ke pās gayā hai tāki bāġoṅ meṅ chare aur sosan ke phūl chune.

3maiṅ apne mahbūb kī hī hūṅ, aur vah merā hī hai, vah jo sosnoṅ meṅ chartā hai.

tū kitnī ḵẖūbsūrat hai

4merī mahbūbā, tū tirzā shahar jaisī hasīn, yarūshalam jaisī ḵẖūbsūrat aur alamabardār dastoṅ jaisī robdār hai.

5apnī nazroṅ ko mujh se haṭā le, kyūṅki vah mujh meṅ uljhan paidā kar rahī haiṅ.

tere bāl un bakriyoṅ kī mānind haiṅ jo uchhaltī kūdtī koh-e-jiliād se utartī haiṅ.

6tere dāṅt abhī abhī nahalāī huī bheṛoṅ jaise safed haiṅ. har dāṅt kā juṛvāṅ hai, ek bhī gum nahīṅ huā.

7niqāb ke pīchhe tere gāloṅ kī jhalak anār ke ṭukṛoṅ kī mānind dikhāī detī hai.

8go bādshāh kī 60 bīviyāṅ, 80 dāshtāeṅ aur beshumār kuṅvāriyāṅ hoṅ 9lekin merī kabūtrī, merī kāmil sāthī lāsānī hai. vah apnī māṅ kī vāhid beṭī hai, jis ne use janm diyā us kī pāk lāḍlī hai. beṭiyoṅ ne use dekh kar use mubārak kahā, rāniyoṅ aur dāshtāoṅ ne us kī tārīf kī,

10“yah kaun hai jo tulū-e-subah kī tarah chamak uṭhī, jo chāṅd jaisī ḵẖūbsūrat, āftāb jaisī pāk aur alamabardār dastoṅ jaisī robdār hai?”

mahbūbā ke liye ārzū

11maiṅ aḵẖroṭ ke bāġ meṅ utar āyā tāki vādī meṅ phūṭne vāle paudoṅ kā muāinā karūṅ. maiṅ yah bhī mālūm karnā chāhatā thā ki kyā aṅgūr kī koṁpleṅ nikal āī yā anār ke phūl lag gae haiṅ.

12lekin chalte chalte na jāne kyā huā, merī ārzū ne mujhe merī sharīf qaum ke rathoṅ ke pās pahuṅchāyā.

mahbūbā kī dilakshī

13ai shūlammīt, lauṭ ā, lauṭ ā! muṛ kar lauṭ ā tāki ham tujh par nazar kareṅ.

tum shūlammīt ko kyūṅ dekhnā chāhatī ho? ham lashkargāh kā loknāch dekhnā chāhatī haiṅ