Ġazal-ul-Ġazlāt 5

1merī bahan, merī dulhan, ab maiṅ apne bāġ meṅ dāḵẖil ho gayā hūṅ. maiṅ ne apnā mur apne balsān samet chun liyā, apnā chhattā shahad samet khā liyā, apnī mai apne dūdh samet pī lī hai. khāo, mere dosto, khāo aur piyo, muhabbat se sarshār ho jāo!

rāt ko mahbūb kī talāsh

2maiṅ so rahī thī, lekin merā dil bedār rahā. sun! merā mahbūb dastak de rahā hai,

“ai merī bahan, merī sāthī, mere liye darvāzā khol de! ai merī kabūtrī, merī kāmil sāthī, merā sar os se tar ho gayā hai, merī zulfeṅ rāt kī shabnam se bhīg gaī haiṅ.”

3“maiṅ apnā libās utār chukī hūṅ, ab maiṅ kis tarah use dubārā pahan lūṅ? maiṅ apne pāoṅ dho chukī hūṅ, ab maiṅ unheṅ kis tarah dubārā mailā karūṅ?”

4mere mahbūb ne apnā hāth dīvār ke sūrāḵẖ meṅ se andar ḍāl diyā. tab merā dil taṛap uṭhā.

5maiṅ uṭhī tāki apne mahbūb ke liye darvāzā kholūṅ. mere hāth mur se, merī uṅgaliyāṅ mur kī ḵẖushbū se ṭapak rahī thīṅ jab maiṅ kuṅḍī kholne āī.

6maiṅ ne apne mahbūb ke liye darvāzā khol diyā, lekin vah muṛ kar chalā gayā thā. mujhe saḵẖt sadmā huā. maiṅ ne use talāsh kiyā lekin na milā. maiṅ ne use āvāz dī, lekin javāb na milā.

7jo chaukīdār shahar meṅ gasht karte haiṅ un se merā vāstā paṛā, unhoṅ ne merī piṭāī karke mujhe zaḵẖmī kar diyā. fasīl ke chaukīdāroṅ ne merī chādar bhī chhīn lī.

8ai yarūshalam kī beṭiyo, qasam khāo ki agar merā mahbūb milā to use ittilā dogī, maiṅ muhabbat ke māre bīmār ho gaī hūṅ.

9tū jo aurtoṅ meṅ sab se hasīn hai, hameṅ batā, tere mahbūb kī kyā ḵẖāsiyat hai jo dūsroṅ meṅ nahīṅ hai? terā mahbūb dūsroṅ se kis tarah sabqat rakhtā hai ki tū hameṅ aisī qasam khilānā chāhatī hai?

10mere mahbūb kī jild gulābī aur safed hai. hazāroṅ ke sāth us kā muqāblā karo to us kā ālā kirdār numāyāṅ taur par nazar āegā.

11us kā sar ḵẖālis sone kā hai, us ke bāl khajūr ke phūldār gucchhoṅ [a] ibrānī lafz kā matlab mubham sā hai. kī mānind aur kavve kī tarah siyāh haiṅ.

12us kī āṅkheṅ nadiyoṅ ke kināre ke kabūtaroṅ kī mānind haiṅ, jo dūdh meṅ nahalāe aur kasrat ke pānī ke pās baiṭhe haiṅ.

13us ke gāl balsān kī kyārī kī mānind, us ke hoṅṭ mur se ṭapakte sosan ke phūloṅ jaise haiṅ.

14us ke bāzū sone kī salākheṅ haiṅ jin meṅ pukhrāj [b] topas jaṛe hue haiṅ, us kā jism hāthīdāṅt kā shāhakār hai jis meṅ saṅg-e-lājvard [c] lapis lazuli ke patthar lage haiṅ.

15us kī rāneṅ marmar ke satūn haiṅ jo ḵẖālis sone ke pāiyoṅ par lage haiṅ. us kā hulyā lubnān aur deodār ke daraḵẖtoṅ jaisā umdā hai.

16us kā muṅh miṭhās hī hai, ġaraz vah har lihāz se pasandīdā hai.

e yarūshalam kī beṭiyo, yah hai merā mahbūb, merā dost.

[a] ibrānī lafz kā matlab mubham sā hai.
[b] topas
[c] lapis lazuli