Ġazal-ul-Ġazlāt 4

tū kitnī hasīn hai!

1merī mahbūbā, tū kitnī ḵẖūbsūrat, kitnī hasīn hai! niqāb ke pīchhe terī āṅkhoṅ kī jhalak kabūtaroṅ kī mānind hai. tere bāl un bakriyoṅ kī mānind haiṅ jo uchhaltī kūdtī koh-e-jiliād se utartī haiṅ.

2tere dāṅt abhī abhī katrī aur nahalāī huī bheṛoṅ jaise safed haiṅ. har dāṅt kā juṛvāṅ hai, ek bhī gum nahīṅ huā.

3tere hoṅṭ qirmizī raṅg kā ḍorā haiṅ, terā muṅh kitnā piyārā hai. niqāb ke pīchhe tere gāloṅ kī jhalak anār ke ṭukṛoṅ kī mānind dikhāī detī hai.

4terī gardan dāūd ke burj jaisī dilrubā hai. jis tarah is gol aur mazbūt burj se pahalavānoṅ kī hazār ḍhāleṅ laṭkī haiṅ us tarah terī gardan bhī zevrāt se ārāstā hai.

5terī chhātiyāṅ sosnoṅ meṅ charne vāle ġazāl ke juṛvāṅ bacchoṅ kī mānind haiṅ.

6is se pahale ki shām kī havā chale aur sāy lambe ho kar farār ho jāeṅ maiṅ mur ke pahāṛ aur baḵẖūr kī pahāṛī ke pās chalūṅgā.

7merī mahbūbā, terā husn kāmil hai, tujh meṅ koī nuqs nahīṅ hai.

dulhan kā jādū

8ā merī dulhan, lubnān se mere sāth ā! ham koh-e-amānā kī choṭī se, sanīr aur harmūn kī choṭiyoṅ se utreṅ, sheroṅ kī māndoṅ aur chītoṅ ke pahāṛoṅ se utreṅ.

9merī bahan, merī dulhan, tū ne merā dil churā liyā hai, apnī āṅkhoṅ kī ek hī nazar se, apne gulūband ke ek hī jauhar se tū ne merā dil churā liyā hai.

10merī bahan, merī dulhan, terī muhabbat kitnī manamohan hai! terā piyār mai se kahīṅ ziyādā pasandīdā hai. balsān kī koī bhī ḵẖushbū terī mahak kā muqāblā nahīṅ kar saktī.

11merī dulhan, jis tarah shahad chhatte se ṭapaktā hai usī tarah tere hoṅṭoṅ se miṭhās ṭapaktī hai. dūdh aur shahad terī zabān tale rahate haiṅ. tere kapṛoṅ kī ḵẖushbū sūṅgh kar lubnān kī ḵẖushbū yād ātī hai.

dulhan nafīs bāġ hai

12merī bahan, merī dulhan, tū ek bāġ hai jis kī chārdīvārī kisī aur ko andar āne nahīṅ detī, ek band kiyā gayā chashmā jis par muhar lagī hai.

13bāġ meṅ anār ke daraḵẖt lage haiṅ jin par lazīz phal pak rahā hai. mehaṅdī ke paude bhī ug rahe haiṅ.

14bālchhaṛ, zāfrān, ḵẖushbūdār bed, dārchīnī, baḵẖūr kī har qism kā daraḵẖt, mur, ūd aur har qism kā balsān bāġ meṅ phaltā phūltā hai.

15tū bāġ kā ubaltā chashmā hai, ek aisā mambā jis kā tāzā pānī lubnān se bah kar ātā hai.

16ai shimālī havā, jāg uṭh! ai junūbī havā, ā! mere bāġ meṅ se guzar jā tāki vahāṅ se chāroṅ taraf balsān kī ḵẖushbū phail jāe. merā mahbūb apne bāġ meṅ ā kar us ke lazīz phaloṅ se khāe.