Ġazal-ul-Ġazlāt 1

tū merā bādshāh hai

1sulemān kī ġazal-ul-ġazlāt.

2vah mujhe apne muṅh se bose de, kyūṅki terī muhabbat mai se kahīṅ ziyādā rāhatabaḵẖsh hai.

3terī itr kī ḵẖushbū kitnī manamohan hai, terā nām chhiṛkā gayā mahakdār tel hī hai. is liye kuṅvāriyāṅ tujhe piyār kartī haiṅ.

4ā, mujhe khaiṅch kar apne sāth le jā! ā, ham dauṛ kar chale jāeṅ! bādshāh mujhe apne kamroṅ meṅ le jāe, aur ham bāġ bāġ ho kar terī ḵẖushī manāeṅ. ham mai kī nisbat tere piyār kī ziyādā tārīf kareṅ. munāsib hai ki log tujh se muhabbat kareṅ.

mujhe haqīr na jāno

5ai yarūshalam kī beṭiyo, maiṅ siyāhafām lekin manamohan hūṅ, maiṅ qīdār ke ḵẖaimoṅ jaisī, sulemān ke ḵẖaimoṅ ke pardoṅ jaisī ḵẖūbsūrat hūṅ. 6is liye mujhe haqīr na jāno ki maiṅ siyāhafām hūṅ, ki merī jild dhūp se jhulas gaī hai. mere sage bhāī mujh se nārāz the, is liye unhoṅ ne mujhe aṅgūr ke bāġoṅ kī dekh-bhāl karne kī zimmādārī dī, aṅgūr ke apne zātī bāġ kī dekh-bhāl maiṅ kar na sakī.

tū kahāṅ hai?

7ai tū jo merī jān kā piyārā hai, mujhe batā ki bheṛ-bakriyāṅ kahāṅ charā rahā hai? tū unheṅ dopahar ke vaqt kahāṅ ārām karne biṭhātā hai? maiṅ kyūṅ niqābposh kī tarah tere sāthiyoṅ ke revṛoṅ ke pās ṭhaharī rahūṅ?

8kyā tū nahīṅ jāntī, tū jo aurtoṅ meṅ sab se ḵẖūbsūrat hai? phir ghar se nikal kar khoj lagā ki merī bheṛ-bakriyāṅ kis taraf chalī gaī haiṅ, apne memnoṅ ko gallābānoṅ ke ḵẖaimoṅ ke pās charā.

tū kitnī ḵẖūbsūrat hai

9merī mahbūbā, maiṅ tujhe kis chīz se tashbīh dūṅ? tū firaaun kā shāndār rath khaiṅchne vālī ghoṛī hai!

10tere gāl bāliyoṅ se kitne ārāstā, terī gardan motī ke gulūband se kitnī dilfareb lagtī hai.

11ham tere liye sone kā aisā hār banvā leṅge jis meṅ chāṅdī ke motī lage hoṅge.

12jitnī der bādshāh ziyāfat meṅ sharīk thā mere bālchhaṛ kī ḵẖushbū chāroṅ taraf phailtī rahī.

13merā mahbūb goyā mur kī ḍibiyā hai, jo merī chhātiyoṅ ke darmiyān paṛī rahatī hai.

14merā mahbūb mere liye mehaṅdī ke phūloṅ kā gucchhā hai, jo ain-jadī ke aṅgūr ke bāġoṅ se lāyā gayā hai.

15merī mahbūbā, tū kitnī ḵẖūbsūrat hai, kitnī hasīn! terī āṅkheṅ kabūtar hī haiṅ.

16mere mahbūb, tū kitnā ḵẖūbsūrat, kitnā dilrubā hai! sāyādār hariyālī hamārā bistar 17aur deodār ke daraḵẖt hamāre ghar ke shahatīr haiṅ. jūnīpar ke daraḵẖt taḵẖtoṅ kā kām dete haiṅ.