Romiyoṅ 12

pūrī zindagī allāh kī ḵẖidmat meṅ

1bhāiyo, allāh ne āp par kitnā raham kiyā hai! ab zarūrī hai ki āp apne badnoṅ ko allāh ke liye maḵẖsūs kareṅ, ki vah ek aisī zindā aur muqaddas qurbānī ban jāeṅ jo use pasand āe. aisā karne se āp us kī māqūl ibādat kareṅge. 2is duniyā ke sāṅche meṅ na ḍhal jāeṅ balki allāh ko āp kī soch kī tajdīd karne deṅ tāki āp vah shakl-o-sūrat apnā sakeṅ jo use pasand hai. phir āp allāh kī marzī ko pahachān sakeṅge, vah kuchh jo acchhā, pasandīdā aur kāmil hai.

3us raham kī binā par jo allāh ne mujh par kiyā maiṅ āp meṅ se har ek ko hidāyat detā hūṅ ki apnī haqīqī haisiyat ko jān kar apne āp ko is se ziyādā na samjheṅ. kyūṅki jis paimāne se allāh ne har ek ko īmān baḵẖshā hai usī ke mutābiq vah samajhdārī se apnī haqīqī haisiyat ko jān le. 4hamāre ek hī jism meṅ bahut se āzā haiṅ, aur har ek uzv kā farq farq kām hotā hai. 5isi tarah go ham bahut haiṅ, lekin masīh meṅ ek hī badan haiṅ, jis meṅ har uzv dūsroṅ ke sāth juṛā huā hai. 6allāh ne apne fazl se har ek ko muḵẖtalif nemtoṅ se navāzā hai. agar āp kī nemat nubuvvat karnā hai to apne īmān ke mutābiq nubuvvat kareṅ. 7agar āp kī nemat ḵẖidmat karnā hai to ḵẖidmat kareṅ. agar āp kī nemat tālīm denā hai to tālīm deṅ. 8agar āp kī nemat hausalāafzāī karnā hai to hausalāafzāī kareṅ. agar āp kī nemat dūsroṅ kī zarūriyāt pūrī karnā hai to ḵẖulūsdilī se yahī kareṅ. agar āp kī nemat rāhanumāī karnā hai to sargarmī se rāhanumāī kareṅ. agar āp kī nemat raham karnā hai to ḵẖushī se raham kareṅ.

9āp kī muhabbat mahaz dikhāve kī na ho. jo kuchh burā hai us se nafrat kareṅ aur jo kuchh acchhā hai us ke sāth lipṭe raheṅ. 10āp kī ek dūsre ke liye barādrānā muhabbat sargarm ho. ek dūsre kī izzat karne meṅ āp ḵẖud pahalā qadam uṭhāeṅ. 11āp kā josh ḍhīlā na paṛ jāe balki ruhānī sargarmī se ḵẖudāvand kī ḵẖidmat kareṅ. 12ummīd meṅ ḵẖush, musībat meṅ sābitqadam aur duā meṅ lage raheṅ. 13jab muqaddasīn zarūratmand haiṅ to un kī madad karne meṅ sharīk hoṅ. mehamān-navāzī meṅ lage raheṅ.

14jo āp ko īzā pahuṅchāeṅ un ko barkat deṅ. un par lānat mat kareṅ balki barkat chāheṅ. 15ḵẖushī manāne vāloṅ ke sāth ḵẖushī manāeṅ aur rone vāloṅ ke sāth roeṅ. 16ek dūsre ke sāth acchhe tālluqāt rakheṅ. ūṅchī soch na rakheṅ balki dabe huoṅ se rifāqat rakheṅ. apne āp ko dānā mat samjheṅ.

17agar koī āp se burā sulūk kare to badle meṅ us se burā sulūk na karnā. dhyān rakheṅ ki jo kuchh sab kī nazar meṅ acchhā hai vahī amal meṅ lāeṅ. 18apnī taraf se pūrī koshish kareṅ ki jahāṅ tak mumkin ho sab ke sāth mel-milāp rakheṅ. 19azīzo, intiqām mat leṅ balki allāh ke ġazab ko badlā lene kā mauqā deṅ. kyūṅki kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai, “rabb farmātā hai, intiqām lenā merā hī kām hai, maiṅ hī badlā lūṅgā.” 20is ke bajāy “agar terā dushman bhūkā ho to use khānā khilā, agar piyāsā ho to pānī pilā. kyūṅki aisā karne se tū us ke sar par jalte hue koiloṅ kā ḍher lagāegā.” 21apne par burāī ko ġālib na āne deṅ balki bhalāī se āp burāī par ġālib āeṅ.