Romiyoṅ 10

1bhāiyo, merī dilī ārzū aur merī allāh se duā yah hai ki isrāīliyoṅ ko najāt mile. 2maiṅ is kī tasdīq kar saktā hūṅ ki vah allāh kī ġairat rakhte haiṅ. lekin is ġairat ke pīchhe ruhānī samajh nahīṅ hotī. 3vah us rāstbāzī se nāvāqif rahe haiṅ jo allāh kī taraf se hai. is kī bajāy vah apnī zātī rāstbāzī qāim karne kī koshish karte rahe haiṅ. yūṅ unhoṅ ne apne āp ko allāh kī rāstbāzī ke tābe nahīṅ kiyā. 4kyūṅki masīh meṅ sharīat kā maqsad pūrā ho gayā, hāṅ vah anjām tak pahuṅch gaī hai. chunāṅche jo bhī masīh par īmān rakhtā hai vahī rāstbāz ṭhahartā hai.

sab ke liye rāstbāzī

5mūsā ne us rāstbāzī ke bāre meṅ likhā jo sharīat se hāsil hotī hai, “jo shaḵẖs yūṅ karegā vah jītā rahegā.” 6lekin jo rāstbāzī īmān se hāsil hotī hai vah kahatī hai, “apne dil meṅ na kahanā ki ‘kaun āsmān par chaṛhegā?’ (tāki masīh ko nīche le āe). 7yah bhī na kahanā ki ‘kaun pātāl meṅ utregā?’ (tāki masīh ko murdoṅ meṅ se vāpas le āe).” 8to phir kyā karnā chāhie? īmān kī rāstbāzī farmātī hai, “yah kalām tere qarīb balki tere muṅh aur dil meṅ maujūd hai.” kalām se murād īmān kā vah paiġām hai jo ham sunāte haiṅ. 9yānī yah ki agar tū apne muṅh se iqrār kare ki īsā ḵẖudāvand hai aur dil se īmān lāe ki allāh ne use murdoṅ meṅ se zindā kar diyā to tujhe najāt milegī. 10kyūṅki jab ham dil se īmān lāte haiṅ to allāh hameṅ rāstbāz qarār detā hai, aur jab ham apne muṅh se iqrār karte haiṅ to hameṅ najāt miltī hai. 11yūṅ kalām-e-muqaddas farmātā hai, “jo bhī us par īmān lāe use sharmindā nahīṅ kiyā jāegā.” 12is meṅ koī farq nahīṅ ki vah yahūdī ho yā ġairyahūdī. kyūṅki sab kā ek hī ḵẖudāvand hai, jo fayyāzī se har ek ko detā hai jo use pukārtā hai. 13kyūṅki “jo bhī ḵẖudāvand kā nām legā najāt pāegā.”

14lekin vah kis tarah use pukār sakeṅge agar vah us par kabhī īmān nahīṅ lāe? aur vah kis tarah us par īmān lā sakte haiṅ agar unhoṅ ne kabhī us ke bāre meṅ sunā nahīṅ? aur vah kis tarah us ke bāre meṅ sun sakte haiṅ agar kisī ne unheṅ yah paiġām sunāyā nahīṅ? 15aur sunāne vāle kis tarah dūsroṅ ke pās jāeṅge agar unheṅ bhejā na gayā? is liye kalām-e-muqaddas farmātā hai, “un ke qadam kitne piyāre haiṅ jo ḵẖushḵẖabarī sunāte haiṅ.” 16lekin sab ne allāh kī yah ḵẖushḵẖabarī qabūl nahīṅ kī. yūṅ yasāyāh nabī farmātā hai, “ai rabb, kaun hamāre paiġām par īmān lāyā?” 17ġaraz, īmān paiġām sunne se paidā hotā hai, yānī masīh kā kalām sunne se.

18to phir savāl yah hai ki kyā isrāīliyoṅ ne yah paiġām nahīṅ sunā? unhoṅ ne ise zarūr sunā. kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai,

“un kī āvāz nikal kar pūrī duniyā meṅ sunāī dī,

un ke alfāz duniyā kī intihā tak pahuṅch gae.”

19to kyā isrāīl ko is bāt kī samajh na āī? nahīṅ, use zarūr samajh āī. pahale mūsā is kā javāb detā hai,

“maiṅ ḵẖud hī tumheṅ ġairat dilāūṅgā,

ek aisī qaum ke zarīe jo haqīqat meṅ qaum nahīṅ hai.

ek nādān qaum ke zarīe maiṅ tumheṅ ġussā dilāūṅgā.”

20aur yasāyāh nabī yah kahane kī jur’at kartā hai,

“jo mujhe talāsh nahīṅ karte the

unheṅ maiṅ ne mujhe pāne kā mauqā diyā,

jo mere bāre meṅ darayāft nahīṅ karte the

un par maiṅ zāhir huā.”

21lekin isrāīl ke bāre meṅ vah farmātā hai,

“din bhar maiṅ ne apne hāth phailāe rakhe

tāki ek nāframān aur sarkash qaum kā istiqbāl karūṅ.”