Mukāshfā 9

1phir pāṅchveṅ farishte ne apne turam meṅ phūṅk mārī. is par maiṅ ne ek sitārā dekhā jo āsmān se zamīn par gir gayā thā. is sitāre ko athāh gaṛhe ke rāste kī chābī dī gaī. 2us ne athāh gaṛhe kā rāstā khol diyā to us se dhuāṅ nikal kar ūpar āyā, yūṅ jaise dhuāṅ kisī baṛe bhaṭṭe se nikaltā hai. sūraj aur chāṅd athāh gaṛhe ke is dhueṅ se tārīk ho gae. 3aur dhueṅ meṅ se ṭiḍḍiyāṅ nikal kar zamīn par utar āīṅ. unheṅ zamīn ke bichhūoṅ jaisā iḵẖtiyār diyā gayā. 4unheṅ batāyā gayā, “na zamīn kī ghās, na kisī paude yā daraḵẖt ko nuqsān pahuṅchāo balki sirf un logoṅ ko jin ke māthoṅ par allāh kī muhar nahīṅ lagī hai.” 5ṭiḍḍiyoṅ ko in logoṅ ko mār ḍālne kā iḵẖtiyār na diyā gayā balki unheṅ batāyā gayā ki vah pāṅch mahīnoṅ tak in ko aziyat deṅ. aur yah aziyat us taklīf kī mānind hai jo tab paidā hotī hai jab bicchhū kisī ko ḍaṅk mārtā hai. 6un pāṅch mahīnoṅ ke daurān log maut kī talāsh meṅ raheṅge, lekin use pāeṅge nahīṅ. vah mar jāne kī shadīd ārzū kareṅge, lekin maut un se bhāg kar dūr rahegī.

7ṭiḍḍiyoṅ kī shakl-o-sūrat jaṅg ke liye tayyār ghoṛoṅ kī mānind thī. un ke saroṅ par sone ke tājoṅ jaisī chīzeṅ thīṅ aur un ke chihare insānoṅ ke chiharoṅ kī mānind the. 8un ke bāl ḵẖavātīn ke bāloṅ kī mānind aur un ke dāṅt sherbabar ke dāṅtoṅ jaise the. 9yūṅ lagā jaise un ke sīnoṅ par lohe ke se zirābaktar lage hue the, aur un ke paroṅ kī āvāz beshumār rathoṅ aur ghoṛoṅ ke shor jaisī thī jab vah muḵẖālif par jhapaṭ rahe hote hoṅ. 10un kī dum par bicchhū kā sā ḍaṅk lagā thā aur unheṅ in hī dumoṅ se logoṅ ko pāṅch mahīnoṅ tak nuqsān pahuṅchāne kā iḵẖtiyār thā. 11un kā bādshāh athāh gaṛhe kā farishtā hai jis kā ibrānī nām abaddon aur yūnānī nām apulliyon (halākū) hai.

12yūṅ pahalā afsos guzar gayā, lekin is ke bād do mazīd afsos hone vāle haiṅ.

13chhaṭe farishte ne apne turam meṅ phūṅk mārī. is par maiṅ ne ek āvāz sunī jo allāh ke sāmne vāqe sone kī qurbāngāh ke chār konoṅ par lage sīṅgoṅ se āī. 14is āvāz ne chhaṭā turam pakṛe hue farishte se kahā, “un chār farishtoṅ ko khulā chhoṛ denā jo baṛe daryā banām furāt ke pās baṅdhe hue haiṅ.” 15in chār farishtoṅ ko isī mahīne ke isī din ke isī ghaṅṭe ke liye tayyār kiyā gayā thā. ab inheṅ khulā chhoṛ diyā gayā tāki vah insānoṅ kā tīsrā hissā mār ḍāleṅ. 16mujhe batāyā gayā ki ghoṛoṅ par savār faujī bīs karoṛ the. 17royā meṅ ghoṛe aur savār yūṅ nazar āe : sīnoṅ par lage zirābaktar āg jaise surḵẖ, nīle aur gaṅdhak jaise pīle the. ghoṛoṅ ke sar sherbabar ke saroṅ se mutābiqat rakhte the aur un ke muṅh se āg, dhuāṅ aur gaṅdhak nikaltī thī. 18āg, dhueṅ aur gaṅdhak kī in tīn balāoṅ se insānoṅ kā tīsrā hissā halāk huā. 19har ghoṛe kī tāqat us ke muṅh aur dum meṅ thī, kyūṅki un kī dumeṅ sāṁp kī mānind thīṅ jin ke sar nuqsān pahuṅchāte the.

20jo in balāoṅ se halāk nahīṅ hue the balki abhī bāqī the unhoṅ ne phir bhī apne hāthoṅ ke kāmoṅ se taubā na kī. vah badrūhoṅ aur sone, chāṅdī, pītal, patthar aur lakṛī ke butoṅ kī pūjā se bāz na āe hālāṅki aisī chīzeṅ na to dekh saktī haiṅ, na sunne yā chalne ke qābil hotī haiṅ. 21vah qatl-o-ġārat, jādūgrī, zinākārī aur choriyoṅ se bhī taubā karke bāz na āe.