Mukāshfā 8

sātvīṅ muhar

1jab lele ne sātvīṅ muhar kholī to āsmān par ḵẖāmoshī chhā gaī. yah ḵẖāmoshī taqrīban ādhe ghaṅṭe tak rahī. 2phir maiṅ ne allāh ke sāmne khaṛe sāt farishtoṅ ko dekhā. unheṅ sāt turam die gae.

3ek aur farishtā jis ke pās sone kā baḵẖūradān thā ā kar qurbāngāh ke pās khaṛā ho gayā. use bahut sā baḵẖūr diyā gayā tāki vah use muqaddasīn kī duāoṅ ke sāth taḵẖt ke sāmne kī sone kī qurbāngāh par pesh kare. 4baḵẖūr kā dhuāṅ muqaddasīn kī duāoṅ ke sāth farishte ke hāth se uṭhte uṭhte allāh ke sāmne pahuṅchā. 5phir farishte ne baḵẖūradān ko liyā aur use qurbāngāh kī āg se bhar kar zamīn par phaiṅk diyā. tab kaṛaktī aur garajtī āvāzeṅ sunāī dīṅ, bijlī chamakne lagī aur zalzlā ā gayā.

turmoṅ kā asar

6phir jin sāt farishtoṅ ke pās sāt turam the vah unheṅ bajāne ke liye tayyār hue.

7pahale farishte ne apne turam ko bajā diyā. is par ole aur ḵẖūn ke sāth milāī gaī āg paidā ho kar zamīn par barsāī gaī. is se zamīn kā tīsrā hissā, daraḵẖtoṅ kā tīsrā hissā aur tamām harī ghās bhasm ho gaī.

8phir dūsre farishte ne apne turam meṅ phūṅk mārī. is par jaltī huī ek baṛī pahāṛanumā chīz ko samundar meṅ phaiṅkā gayā. samundar kā tīsrā hissā ḵẖūn meṅ badal gayā, 9samundar meṅ maujūd zindā maḵẖlūqāt kā tīsrā hissā halāk aur baharī jahāzoṅ kā tīsrā hissā tabāh ho gayā.

10phir tīsre farishte ne apne turam meṅ phūṅk mārī. is par mash’al kī tarah bhaṛaktā huā ek baṛā sitārā āsmān se daryāoṅ ke tīsre hisse aur pānī ke chashmoṅ par gir gayā. 11is sitāre kā nām afsantīn thā aur is se pānī kā tīsrā hissā afsantīn jaisā kaṛvā ho gayā. bahut se log yah kaṛvā pānī pīne se mar gae.

12phir chauthe farishte ne apne turam meṅ phūṅk mārī. is par sūraj kā tīsrā hissā, chāṅd kā tīsrā hissā aur sitāroṅ kā tīsrā hissā raushnī se maharūm ho gayā. din kā tīsrā hissā raushnī se maharūm huā aur isī tarah rāt kā tīsrā hissā bhī.

13phir dekhte dekhte maiṅ ne ek uqāb ko sunā jis ne mere sar ke ūpar hī bulandiyoṅ par uṛte hue ūṅchī āvāz se pukārā, “afsos! afsos! zamīn ke bāshindoṅ par afsos! kyūṅki tīn farishtoṅ ke turmoṅ kī āvāzeṅ abhī bāqī haiṅ.”