Mukāshfā 7

isrāīl ke 1,44,000 chune hue afrād

1is ke bād maiṅ ne chār farishtoṅ ko zamīn ke chār konoṅ par khaṛe dekhā. vah zamīn kī chār havāoṅ ko chalne se rok rahe the tāki na zamīn par, na samundar yā kisī daraḵẖt par koī havā chale. 2phir maiṅ ne ek aur farishtā mashriq se chaṛhte hue dekhā jis ke pās zindā ḵẖudā kī muhar thī. us ne ūṅchī āvāz se un chār farishtoṅ se bāt kī jinheṅ zamīn aur samundar ko nuqsān pahuṅchāne kā iḵẖtiyār diyā gayā thā. us ne kahā, 3“zamīn, samundar yā daraḵẖtoṅ ko us vaqt tak nuqsān mat pahuṅchānā jab tak ham apne ḵẖudā ke ḵẖādimoṅ ke māthoṅ par muhar na lagā leṅ.” 4aur maiṅ ne sunā ki jin par muhar lagāī gaī thī vah 1,44,000 afrād the aur vah isrāīl ke har ek qabīle se the : 512,000 yahūdāh se, 12,000 rūbin se, 12,000 jad se, 612,000 āshar se, 12,000 naftālī se, 12,000 manassī se, 712,000 shamāūn se, 12,000 lāvī se, 12,000 ishkār se, 812,000 zabūlūn se, 12,000 yūsuf se aur 12,000 binyamīn se.

allāh ke huzūr ek baṛā hujūm

9is ke bād maiṅ ne ek hujūm dekhā jo itnā baṛā thā ki use ginā nahīṅ jā saktā thā. us meṅ har millat, har qabīle, har qaum aur har zabān ke afrād safed libās pahane hue taḵẖt aur lele ke sāmne khaṛe the. un ke hāthoṅ meṅ khajūr kī ḍāliyāṅ thīṅ. 10aur vah ūṅchī āvāz se chillā chillā kar kah rahe the, “najāt taḵẖt par baiṭhe hue hamāre ḵẖudā aur lele kī taraf se hai.” 11tamām farishte taḵẖt, buzurgoṅ aur chār jāndāroṅ ke ird-gird khaṛe the. unhoṅ ne taḵẖt ke sāmne gir kar allāh ko sijdā kiyā 12aur kahā, “āmīn! hamāre ḵẖudā kī azal se abad tak sitāish, jalāl, hikmat, shukrguzārī, izzat, qudrat aur tāqat hāsil rahe. āmīn!”

13buzurgoṅ meṅ se ek ne mujh se pūchhā, “safed libās pahane hue yah log kaun haiṅ aur kahāṅ se āe haiṅ?”

14maiṅ ne javāb diyā, “mere āqā, āp hī jānte haiṅ.”

us ne kahā, “yah vahī haiṅ jo baṛī īzārasānī se nikal kar āe haiṅ. unhoṅ ne apne libās lele ke ḵẖūn meṅ dho kar safed kar liye haiṅ. 15is liye vah allāh ke taḵẖt ke sāmne khaṛe haiṅ aur din rāt us ke ghar meṅ us kī ḵẖidmat karte haiṅ. aur taḵẖt par baiṭhā huā un ko panāh degā. 16is ke bād na kabhī bhūk unheṅ satāegī na piyās. na dhūp, na kisī aur qism kī taptī garmī unheṅ jhulasāegī. 17kyūṅki jo lelā taḵẖt ke darmiyān baiṭhā hai vah un kī gallābānī karegā aur unheṅ zindagī ke chashmoṅ ke pās le jāegā. aur allāh un kī āṅkhoṅ se tamām āṅsū poṅchh ḍālegā.”