Mukāshfā 5

sāt muharoṅ vālā tūmār

1phir maiṅ ne taḵẖt par baiṭhne vāle ke dahane hāth meṅ ek tūmār dekhā jis par donoṅ taraf likhā huā thā aur jis par sāt muhareṅ lagī thīṅ. 2aur maiṅ ne ek tāqatvar farishtā dekhā jis ne ūṅchī āvāz se elān kiyā, “kaun muharoṅ ko toṛ kar tūmār ko kholne ke lāiq hai?” 3lekin na āsmān par, na zamīn par aur na zamīn ke nīche koī thā jo tūmār ko khol kar us meṅ nazar ḍāl saktā. 4maiṅ ḵẖūb ro paṛā, kyūṅki koī is lāiq na pāyā gayā ki vah tūmār ko khol kar us meṅ nazar ḍāl saktā. 5lekin buzurgoṅ meṅ se ek ne mujh se kahā, “mat ro. dekh, yahūdāh qabīle ke sherbabar aur dāūd kī jaṛ ne fatah pāī hai, aur vahī tūmār kī sāt muharoṅ ko khol saktā hai.”

6phir maiṅ ne ek lelā dekhā jo taḵẖt ke darmiyān khaṛā thā. vah chār jāndāroṅ aur buzurgoṅ se ghirā huā thā aur yūṅ lagtā thā ki use zabah kiyā gayā ho. us ke sāt sīṅg aur sāt āṅkheṅ thīṅ. in se murād allāh kī vah sāt rūheṅ haiṅ jinheṅ duniyā kī har jagah bhejā gayā hai. 7lele ne ā kar taḵẖt par baiṭhne vāle ke dahane hāth se tūmār ko le liyā. 8aur lete vaqt chār jāndār aur 24 buzurg lele ke sāmne muṅh ke bal gir gae. har ek ke pās ek sarod aur baḵẖūr se bhare sone ke piyāle the. in se murād muqaddasīn kī duāeṅ haiṅ. 9sāth sāth vah ek nayā gīt gāne lage,

“tū tūmār ko le kar

us kī muharoṅ ko kholne ke lāiq hai.

kyūṅki tujhe zabah kiyā gayā, aur apne ḵẖūn se

tū ne logoṅ ko har qabīle, har ahal-e-zabān, har millat aur har qaum se

allāh ke liye ḵẖarīd liyā hai.

10tū ne unheṅ shāhī iḵẖtiyār de kar

hamāre ḵẖudā ke imām banā diyā hai.

aur vah duniyā meṅ hukūmat kareṅge.”

11maiṅ ne dubārā dekhā to beshumār farishtoṅ kī āvāz sunī. vah taḵẖt, chār jāndāroṅ aur buzurgoṅ ke ird-gird khaṛe 12ūṅchī āvāz se kah rahe the,

“lāiq hai vah lelā jo zabah kiyā gayā hai.

vah qudrat, daulat, hikmat aur tāqat,

izzat, jalāl aur sitāish pāne ke lāiq hai.”

13phir maiṅ ne āsmān par, zamīn par, zamīn ke nīche aur samundar kī har maḵẖlūq kī āvāzeṅ sunīṅ. hāṅ, kāināt kī sab maḵẖlūqāt yah gā rahe the,

“taḵẖt par baiṭhne vāle aur lele kī sitāish aur izzat,

jalāl aur qudrat azal se abad tak rahe.”

14chār jāndāroṅ ne javāb meṅ “āmīn” kahā, aur buzurgoṅ ne gir kar sijdā kiyā.