Mukāshfā 4

āsmān par allāh kī parastish

1is ke bād maiṅ ne dekhā ki āsmān meṅ ek darvāzā khulā huā hai aur turam kī sī āvāz ne jo maiṅ ne pahale sunī thī kahā, “idhar ūpar ā. phir maiṅ tujhe vah kuchh dikhāūṅgā jise is ke bād pesh ānā hai.” 2tab rūh-ul-quds ne mujhe fauran apnī girift meṅ le liyā. vahāṅ āsmān par ek taḵẖt thā jis par koī baiṭhā thā. 3aur baiṭhne vālā dekhne meṅ yashab aur aqīq se mutābiqat rakhtā thā. taḵẖt ke ird-gird qaus-e-quzah thī jo dekhne meṅ zumurrad kī mānind thī. 4yah taḵẖt 24 taḵẖtoṅ se ghirā huā thā jin par 24 buzurg baiṭhe the. buzurgoṅ ke libās safed the aur har ek ke sar par sone kā tāj thā. 5darmiyānī taḵẖt se bijlī kī chamkeṅ, āvāzeṅ aur bādal kī garjeṅ nikal rahī thīṅ. aur taḵẖt ke sāmne sāt mash’aleṅ jal rahī thīṅ. yah allāh kī sāt rūheṅ haiṅ. 6taḵẖt ke sāmne shīshe kā sā samundar bhī thā jo billaur se mutābiqat rakhtā thā.

bīch meṅ taḵẖt ke ird-gird chār jāndār the jin ke jismoṅ par har jagah āṅkheṅ hī āṅkheṅ thīṅ, sāmne vāle hisse par bhī aur pīchhe vāle hisse par bhī. 7pahalā jāndār sherbabar jaisā thā, dūsrā bail jaisā, tīsre kā insān jaisā chiharā thā aur chauthā uṛte hue uqāb kī mānind thā. 8in chār jāndāroṅ meṅ se har ek ke chhah par the aur jism par har jagah āṅkheṅ hī āṅkheṅ thīṅ, bāhar bhī aur andar bhī. din rāt vah bilānāġā kahate rahate haiṅ,

“quddūs, quddūs, quddūs hai rabb qādir-e-mutlaq ḵẖudā,

jo thā, jo hai aur jo āne vālā hai.”

9yūṅ yah jāndār us kī tamjīd, izzat aur shukr karte haiṅ jo taḵẖt par baiṭhā hai aur abad tak zindā hai. jab bhī vah yah karte haiṅ 10to 24 buzurg taḵẖt par baiṭhne vāle ke sāmne muṅh ke bal ho kar use sijdā karte haiṅ jo azal se abad tak zindā hai. sāth sāth vah apne sone ke tāj taḵẖt ke sāmne rakh kar kahate haiṅ,

11“ai rabb hamāre ḵẖudā,

tū jalāl, izzat aur qudrat ke lāiq hai.

kyūṅki tū ne sab kuchh ḵẖalaq kiyā.

tamām chīzeṅ terī hī marzī se thīṅ aur paidā huīṅ.”