Mukāshfā 21

nayā āsmān aur naī zamīn

1phir maiṅ ne ek nayā āsmān aur ek naī zamīn dekhī. kyūṅki pahalā āsmān aur pahalī zamīn ḵẖatm ho gae the aur samundar bhī nest thā. 2maiṅ ne nae yarūshalam ko bhī dekhā. yah muqaddas shahar dulhan kī sūrat meṅ allāh ke pās se āsmān par se utar rahā thā. aur yah dulhan apne dūlhe ke liye tayyār aur sajī huī thī. 3maiṅ ne ek āvāz sunī jis ne taḵẖt par se kahā, “ab allāh kī sukūnatgāh insānoṅ ke darmiyān hai. vah un ke sāth sukūnat karegā aur vah us kī qaum hoṅge. allāh ḵẖud un kā ḵẖudā hogā. 4vah un kī āṅkhoṅ se tamām āṅsū poṅchh ḍālegā. ab se na maut hogī na mātam, na ronā hogā na dard, kyūṅki jo bhī pahale thā vah jātā rahā hai.”

5jo taḵẖt par baiṭhā thā us ne kahā, “maiṅ sab kuchh nae sire se banā rahā hūṅ.” us ne yah bhī kahā, “yah likh de, kyūṅki yah alfāz qābil-e-etimād aur sacche haiṅ.” 6phir us ne kahā, “kām mukammal ho gayā hai! maiṅ alif aur yah, avval aur āḵẖir hūṅ. jo piyāsā hai use maiṅ zindagī ke chashme se muft pānī pilāūṅgā. 7jo ġālib āegā vah yah sab kuchh virāsat meṅ pāegā. maiṅ us kā ḵẖudā hūṅgā aur vah merā farzand hogā. 8lekin buzdiloṅ, ġairīmāndāroṅ, ghinaunoṅ, qātiloṅ, zinākāroṅ, jādūgaroṅ, butparastoṅ aur tamām jhūṭe logoṅ kā anjām jaltī huī gaṅdhak kī sholāḵẖez jhīl hai. yah dūsrī maut hai.”

nayā yarūshalam

9jin sāt farishtoṅ ke pās sāt āḵẖirī balāoṅ se bhare piyāle the un meṅ se ek ne mere pās ā kar kahā, “ā, maiṅ tujhe dulhan yānī lele kī bīvī dikhāūṅ.” 10vah mujhe rūh meṅ uṭhā kar ek baṛe aur ūṅche pahāṛ par le gayā. vahāṅ se us ne mujhe muqaddas shahar yarūshalam dikhāyā jo allāh kī taraf se āsmān par se utar rahā thā. 11use allāh kā jalāl hāsil thā aur vah anmol jauhar balki billaur jaise sāf-shaffāf yashab kī tarah chamak rahā thā. 12us kī baṛī aur ūṅchī fasīl meṅ bārah darvāze the, aur har darvāze par ek farishtā khaṛā thā. darvāzoṅ par isrāīl ke bārah qabīloṅ ke nām likhe the. 13tīn darvāze mashriq kī taraf the, tīn shimāl kī taraf, tīn junūb kī taraf aur tīn maġrib kī taraf. 14shahar kī fasīl kī bārah bunyādeṅ thīṅ jin par lele ke bārah rasūloṅ ke nām likhe the. 15jis farishte ne mujh se bāt kī thī us ke pās sone kā gaz thā tāki shahar, us ke darvāzoṅ aur us kī fasīl kī paimāish kare. 16shahar chaukor thā. us kī lambāī utnī hī thī jitnī us kī chauṛāī. farishte ne gaz se shahar kī paimāish kī to patā chalā ki us kī lambāī, chauṛāī aur ūṅchāī 2,400 kilomīṭar hai. 17jab us ne fasīl kī paimāish kī to chauṛāī 60 mīṭar thī yānī us paimāne ke hisāb se jo vah istemāl kar rahā thā. 18fasīl yashab kī thī jabki shahar ḵẖālis sone kā thā, yānī sāf-shaffāf shīshe jaise sone kā. 19shahar kī bunyādeṅ har qism ke qīmtī javāhir se sajī huī thīṅ : pahalī yashab [a] jasper se, dūsrī saṅg-e-lājvard [b] lapis lazuli se, tīsrī saṅg-e-yamānī [c] chahalachedonay se, chauthī zumurrad se, 20pāṅchvīṅ saṅg-e-sulemānī [d] sardonyaḵẖ. yānī saṅg-e-sulemānī kī ek qism jis meṅ nāraṅjī aur safed aqīq ke parat yake bād dīgre hote haiṅ. se, chhaṭī aqīq-e-ahmar [e] charanelian se, sātvīṅ zabarjad [f] peridot se, āṭhvīṅ āb-e-bahar [g] berayal se, navvīṅ pukhrāj [h] topaz se, dasvīṅ aqīq-e-sabaz [i] chaharayasoparase se, gyāravīṅ nīle raṅg ke zarqon [j] yūnānī lafz kuchh mubham sā hai. se aur bārahavīṅ yāqūt-e-arġvānī [k] ametahayasat se. 21bārah darvāze bārah motī the aur har darvāzā ek motī kā thā. shahar kī baṛī saṛak ḵẖālis sone kī thī, yānī sāf-shaffāf shīshe jaise sone kī.

22maiṅ ne shahar meṅ allāh kā ghar na dekhā, kyūṅki rabb qādir-e-mutlaq ḵẖudā aur lelā hī us kā maqdis haiṅ. 23shahar ko sūraj yā chāṅd kī zarūrat nahīṅ jo use raushan kare, kyūṅki allāh kā jalāl use raushan kar detā hai aur lelā us kā charāġ hai. 24qaumeṅ us kī raushnī meṅ chaleṅgī, aur zamīn ke bādshāh apnī shān-o-shaukat us meṅ lāeṅge. 25us ke darvāze kisī bhī din band nahīṅ hoṅge kyūṅki vahāṅ kabhī bhī rāt kā vaqt nahīṅ āegā. 26qaumoṅ kī shān-o-shaukat us meṅ lāī jāegī. 27koī nāpāk chīz us meṅ dāḵẖil nahīṅ hogī, na vah jo ghinaunī harkateṅ kartā aur jhūṭ boltā hai. sirf vah dāḵẖil hoṅge jin ke nām lele kī kitāb-e-hayāt meṅ darj haiṅ.

[a] jasper
[b] lapis lazuli
[c] chahalachedonay
[d] sardonyaḵẖ. yānī saṅg-e-sulemānī kī ek qism jis meṅ nāraṅjī aur safed aqīq ke parat yake bād dīgre hote haiṅ.
[e] charanelian
[f] peridot
[g] berayal
[h] topaz
[i] chaharayasoparase
[j] yūnānī lafz kuchh mubham sā hai.
[k] ametahayasat