Mukāshfā 20

hazār sāl kā daur

1phir maiṅ ne ek farishtā dekhā jo āsmān se utar rahā thā. us ke hāth meṅ athāh gaṛhe kī chābī aur ek bhārī zanjīr thī. 2us ne ajhdahe yānī qadīm sāṁp ko jo shaitān yā iblīs kahalātā hai pakaṛ kar hazār sāl ke liye bāṅdh liyā. 3us ne use athāh gaṛhe meṅ phaiṅk kar tālā lagā diyā aur us par muhar lagā dī tāki vah hazār sāl tak qaumoṅ ko gumrāh na kar sake. us ke bād zarūrī hai ki use thoṛī der ke liye āzād kar diyā jāe.

4phir maiṅ ne taḵẖt dekhe jin par vah baiṭhe the jinheṅ adālat karne kā iḵẖtiyār diyā gayā thā. aur maiṅ ne un kī rūheṅ dekhīṅ jinheṅ īsā ke bāre meṅ gavāhī dene aur jin kā allāh kā kalām pesh karne kī vajah se sar qalam kiyā gayā thā. unhoṅ ne haivān yā us ke mujassme ko sijdā nahīṅ kiyā thā, na us kā nishān apne māthoṅ yā hāthoṅ par lagvāyā thā. ab yah log zindā hue aur hazār sāl tak masīh ke sāth hukūmat karte rahe. 5(bāqī murde hazār sāl ke iḵẖtitām par hī zindā hue). yah pahalī qiyāmat hai. 6mubārak aur muqaddas haiṅ vah jo is pahalī qiyāmat meṅ sharīk haiṅ. in par dūsrī maut kā koī iḵẖtiyār nahīṅ hai balki yah allāh aur masīh ke imām ho kar hazār sāl tak us ke sāth hukūmat kareṅge.

iblīs kī shikast

7hazār sāl guzar jāne ke bād iblīs ko us kī qaid se āzād kar diyā jāegā. 8tab vah nikal kar zamīn ke chāroṅ konoṅ meṅ maujūd qaumoṅ banām jūj aur mājūj ko bahakāegā aur unheṅ jaṅg karne ke liye jamā karegā. laṛne vāloṅ kī tādād sāhil par kī ret ke zarroṅ jaisī beshumār hogī. 9unhoṅ ne zamīn par phail kar muqaddasīn kī lashkargāh ko gher liyā, yānī us shahar ko jise allāh piyār kartā hai. lekin āg ne āsmān se nāzil ho kar unheṅ haṛap kar liyā. 10aur iblīs ko jis ne un ko fareb diyā thā jaltī huī gaṅdhak kī jhīl meṅ phaiṅkā gayā, vahāṅ jahāṅ haivān aur jhūṭe nabī ko pahale phaiṅkā gayā thā. us jagah par unheṅ din rāt balki abad tak azāb sahanā paṛegā.

āḵẖirī adālat

11phir maiṅ ne ek baṛā safed taḵẖt dekhā aur use jo us par baiṭhā hai. āsmān-o-zamīn us ke huzūr se bhāg kar ġāib ho gae. 12aur maiṅ ne tamām murdoṅ ko taḵẖt ke sāmne khaṛe dekhā, ḵẖwāh vah chhoṭe the yā baṛe. kitābeṅ kholī gaīṅ. phir ek aur kitāb ko khol diyā gayā jo kitāb-e-hayāt thī. murdoṅ kā us ke mutābiq faislā kiyā gayā jo kuchh unhoṅ ne kiyā thā aur jo kitāboṅ meṅ darj thā. 13samundar ne un tamām murdoṅ ko pesh kar diyā jo us meṅ the, aur maut aur pātāl ne bhī un murdoṅ ko pesh kar diyā jo un meṅ the. chunāṅche har shaḵẖs kā us ke mutābiq faislā kiyā gayā jo us ne kiyā thā. 14phir maut aur pātāl ko jaltī huī jhīl meṅ phaiṅkā gayā. yah jhīl dūsrī maut hai. 15jis kisī kā nām kitāb-e-hayāt meṅ darj nahīṅ thā use jaltī huī jhīl meṅ phaiṅkā gayā.