Mukāshfā 16

allāh ke ġazab ke piyāle

1phir maiṅ ne ek ūṅchī āvāz sunī jis ne allāh ke ghar meṅ se sāt farishtoṅ se kahā, “jāo, allāh ke ġazab se bhare sāt piyāloṅ ko zamīn par uṅḍel do.”

2pahale farishte ne jā kar apnā piyālā zamīn par uṅḍel diyā. is par un logoṅ ke jismoṅ par bhadde aur taklīfdih phoṛe nikal āe jin par haivān kā nishān thā aur jo us ke mujassme ko sijdā karte the.

3dūsre farishte ne apnā piyālā samundar par uṅḍel diyā. is par samundar kā pānī lāsh ke se ḵẖūn meṅ badal gayā, aur us meṅ har zindā maḵẖlūq mar gaī.

4tīsre farishte ne apnā piyālā daryāoṅ aur pānī ke chashmoṅ par uṅḍel diyā to un kā pānī ḵẖūn ban gayā. 5phir maiṅ ne pāniyoṅ par muqarrar farishte ko yah kahate sunā, “tū yah faislā karne meṅ rāst hai, tū jo hai aur jo thā, tū jo quddūs hai. 6chūṅki unhoṅ ne tere muqaddasīn aur nabiyoṅ kī ḵẖūṅrezī kī hai, is liye tū ne unheṅ vah kuchh de diyā jis ke lāiq vah haiṅ. tū ne unheṅ ḵẖūn pilā diyā.” 7phir maiṅ ne qurbāngāh ko yah javāb dete sunā, “hāṅ, ai rabb qādir-e-mutlaq ḵẖudā, haqīqatan tere faisle sacche aur rāst haiṅ.”

8chauthe farishte ne apnā piyālā sūraj par uṅḍel diyā. is par sūraj ko logoṅ ko āg se jhulsāne kā iḵẖtiyār diyā gayā. 9log shadīd tapish se jhulas gae, aur unhoṅ ne allāh ke nām par kufr bakā jise in balāoṅ par iḵẖtiyār thā. unhoṅ ne taubā karne aur use jalāl dene se inkār kiyā.

10pāṅchveṅ farishte ne apnā piyālā haivān ke taḵẖt par uṅḍel diyā. is par us kī bādshāhī meṅ aṅdherā chhā gayā. log aziyat ke māre apnī zabāneṅ kāṭte rahe. 11unhoṅ ne apnī taklīphoṅ aur phoṛoṅ kī vajah se āsmān par kufr bakā aur apne kāmoṅ se inkār na kiyā.

12chhaṭe farishte ne apnā piyālā baṛe daryā furāt par uṅḍel diyā. is par us kā pānī sūkh gayā tāki mashriq ke bādshāhoṅ ke liye rāstā tayyār ho jāe. 13phir maiṅ ne tīn badruheṅ dekhīṅ jo meṅṛhkoṅ kī mānind thīṅ. vah ajhdahe ke muṅh, haivān ke muṅh aur jhūṭe nabī ke muṅh meṅ se nikal āīṅ. 14yah meṅḍhak shayātīn kī rūheṅ haiṅ jo mojize dikhātī haiṅ aur nikal kar pūrī duniyā ke bādshāhoṅ ke pās jātī haiṅ tāki unheṅ allāh qādir-e-mutlaq ke azīm din par jaṅg ke liye ikaṭṭhā kareṅ.

15“dekho, maiṅ chor kī tarah āūṅgā. mubārak hai vah jo jāgtā rahatā aur apne kapṛe pahane hue rahatā hai tāki use naṅgī hālat meṅ chalnā na paṛe aur log us kī sharmgāh na dekheṅ.”

16phir unhoṅ ne bādshāhoṅ ko us jagah par ikaṭṭhā kiyā jis kā nām ibrānī zabān meṅ harmajiddon hai.

17sātveṅ farishte ne apnā piyālā havā meṅ uṅḍel diyā. is par allāh ke ghar meṅ taḵẖt kī taraf se ek ūṅchī āvāz sunāī dī jis ne kahā, “ab kām takmīl tak pahuṅch gayā hai!” 18bijliyāṅ chamakne lagīṅ, shor mach gayā, bādal garajne lage aur ek shadīd zalzlā āyā. is qism kā zalzlā zamīn par insān kī taḵẖlīq se le kar āj tak nahīṅ āyā, itnā saḵẖt zalzlā ki 19azīm shahar tīn hissoṅ meṅ baṭ gayā aur qaumoṅ ke shahar tabāh ho gae. allāh ne azīm bābal ko yād karke use apne saḵẖt ġazab kī mai se bharā piyālā pilā diyā. 20tamām jazīre ġāib ho gae aur pahāṛ kahīṅ nazar na āe. 21logoṅ par āsmān se man man bhar ke baṛe baṛe ole gir gae. aur logoṅ ne oloṅ kī balā kī vajah se allāh par kufr bakā, kyūṅki yah balā nihāyat saḵẖt thī.