Mukāshfā 14

lelā aur us kī qaum

1phir maiṅ ne dekhā ki lelā mere sāmne hī siyyūn ke pahāṛ par khaṛā hai. us ke sāth 1,44,000 afrād khaṛe the jin ke māthoṅ par us kā aur us ke bāp kā nām likhā thā. 2aur maiṅ ne āsmān se ek aisī āvāz sunī jo kisī baṛe ābshār aur garajte bādloṅ kī ūṅchī kaṛak kī mānind thī. yah us āvāz kī mānind thī jo sarod bajāne vāle apne sāzoṅ se nikālte haiṅ. 3yah 1,44,000 afrād taḵẖt, chār jāndāroṅ aur buzurgoṅ ke sāmne khaṛe ek nayā gīt gā rahe the, ek aisā gīt jo sirf vahī sīkh sake jinheṅ lele ne zamīn se ḵẖarīd liyā thā. 4yah vah mard haiṅ jinhoṅ ne apne āp ko ḵẖavātīn ke sāth ālūdā nahīṅ kiyā, kyūṅki vah kuṅvāre haiṅ. jahāṅ bhī lelā jātā hai vahāṅ vah bhī jāte haiṅ. unheṅ bāqī insānoṅ meṅ se fasal ke pahale phal kī haisiyat se allāh aur lele ke liye ḵẖarīdā gayā hai. 5un ke muṅh se kabhī jhūṭ nahīṅ niklā balki vah beilzām haiṅ.

tīn farishte

6phir maiṅ ne ek aur farishtā dekhā. vah mere sar ke ūpar hī havā meṅ uṛ rahā thā. us ke pās allāh kī abdī ḵẖushḵẖabarī thī tāki vah use zamīn ke bāshindoṅ yānī har qaum, qabīle, ahal-e-zabān aur ummat ko sunāe. 7us ne ūṅchī āvāz se kahā, “ḵẖudā kā ḵẖauf mān kar use jalāl do, kyūṅki us kī adālat kā vaqt ā gayā hai. use sijdā karo jis ne āsmānoṅ, zamīn, samundar aur pānī ke chashmoṅ ko ḵẖalaq kiyā hai.”

8ek dūsre farishte ne pahale ke pīchhe pīchhe chalte hue kahā, “vah gir gayā hai! hāṅ, azīm bābal gir gayā hai, jis ne tamām qaumoṅ ko apnī harāmkārī aur mastī kī mai pilāī hai.”

9in do farishtoṅ ke pīchhe ek tīsrā farishtā chal rahā thā. us ne ūṅchī āvāz se kahā, “jo bhī haivān aur us ke mujassme ko sijdā kare aur jise bhī us kā nishān apne māthe yā hāth par mil jāe 10vah allāh ke ġazab kī mai se piegā, aisī mai jo milāvaṭ ke baġair hī allāh ke ġazab ke piyāle meṅ ḍālī gaī hai. muqaddas farishtoṅ aur lele ke huzūr use āg aur gaṅdhak kā azāb sahanā paṛegā. 11aur in logoṅ ko satāne vālī yah āg jaltī rahegī, is kā dhuāṅ abad tak chaṛhtā rahegā. jo haivān aur us ke mujassme ko sijdā karte haiṅ yā jinhoṅ ne us ke nām kā nishān liyā hai vah na din, na rāt ko ārām pāeṅge.”

12yahāṅ muqaddasīn ko sābitqadam rahane kī zarūrat hai, unheṅ jo allāh ke ahkām pūre karte aur īsā ke vafādār rahate haiṅ.

13phir maiṅ ne āsmān se ek āvāz yah kahatī huī sunī, “likh, mubārak haiṅ vah murde jo ab se ḵẖudāvand meṅ vafāt pāte haiṅ.”

“jī hāṅ,” rūh farmātā hai, “vah apnī mehanat-mashaqqat se ārām pāeṅge, kyūṅki un ke nek kām un ke pīchhe ho kar un ke sāth chaleṅge.”

zamīn par fasal kī kaṭāī

14phir maiṅ ne ek safed bādal dekhā, aur us par koī baiṭhā thā jo ibn-e-ādam kī mānind thā. us ke sar par sone kā tāj aur hāth meṅ tez darāntī thī. 15ek aur farishtā allāh ke ghar se nikal kar ūṅchī āvāz se pukār kar us se muḵẖātib huā jo bādal par baiṭhā thā, “apnī darāntī le kar fasal kī kaṭāī kar! kyūṅki fasal kāṭne kā vaqt ā gayā hai aur zamīn par kī fasal pak gaī hai.” 16chunāṅche bādal par baiṭhne vāle ne apnī darāntī zamīn par chalāī aur zamīn kī fasal kī kaṭāī huī.

17is ke bād ek aur farishtā allāh ke us ghar se nikal āyā jo āsmān par hai, aur us ke pās bhī tez darāntī thī.

18phir ek tīsrā farishtā āyā. use āg par iḵẖtiyār thā. vah qurbāngāh se āyā aur ūṅchī āvāz se pukār kar tez darāntī pakṛe hue farishte se muḵẖātib huā, “apnī tez darāntī le kar zamīn kī aṅgūr kī bel se aṅgūr ke gucchhe jamā kar, kyūṅki us ke aṅgūr pak gae haiṅ.” 19farishte ne zamīn par apnī darāntī chalāī, us ke aṅgūr jamā kie aur unheṅ allāh ke ġazab ke us baṛe hauz meṅ phaiṅk diyā jis meṅ aṅgūr kā ras nikālā jātā hai. 20yah hauz shahar se bāhar vāqe thā. us meṅ paṛe aṅgūroṅ ko itnā rauṅdā gayā ki hauz meṅ se ḵẖūn bah niklā. ḵẖūn kā yah sailāb 300 kilomīṭar dūr tak pahuṅch gayā aur vah itnā ziyādā thā ki ghoṛoṅ kī lagāmoṅ tak pahuṅch gayā.