Mukāshfā 12

ḵẖātūn aur ajhdahā

1phir āsmān par ek azīm nishān zāhir huā, ek ḵẖātūn jis kā libās sūraj thā. us ke pāoṅ tale chāṅd aur sar par bārah sitāroṅ kā tāj thā. 2us kā pāoṅ bhārī thā, aur janm dene ke shadīd dard meṅ mubtalā hone kī vajah se vah chillā rahī thī.

3phir āsmān par ek aur nishān nazar āyā, ek baṛā aur āg jaisā surḵẖ ajhdahā. us ke sāt sar aur das sīṅg the, aur har sar par ek tāj thā. 4us kī dum ne sitāroṅ ke tīsre hisse ko āsmān par se utār kar zamīn par phaiṅk diyā. phir ajhdahā janm dene vālī ḵẖātūn ke sāmne khaṛā huā tāki us bacche ko janm lete hī haṛap kar le. 5ḵẖātūn ke beṭā paidā huā, vah bacchā jo lohe ke shāhī asā se qaumoṅ par hukūmat karegā. aur ḵẖātūn ke is bacche ko chhīn kar allāh aur us ke taḵẖt ke sāmne lāyā gayā. 6ḵẖātūn ḵẖud registān meṅ hijrat karke ek aisī jagah pahuṅch gaī jo allāh ne us ke liye tayyār kar rakhī thī, tāki vahāṅ 1,260 din tak us kī parvarish kī jāe.

7phir āsmān par jaṅg chhiṛ gaī. mīkāel aur us ke farishte ajhdahe se laṛe. ajhdahā aur us ke farishte un se laṛte rahe, 8lekin vah ġālib na ā sake balki āsmān par apne maqām se maharūm ho gae. 9baṛe ajhdahe ko nikāl diyā gayā, us qadīm ajhdahe ko jo iblīs yā shaitān kahalātā hai aur jo pūrī duniyā ko gumrāh kar detā hai. use us ke farishtoṅ samet zamīn par phaiṅkā gayā.

10phir āsmān par ek ūṅchī āvāz sunāī dī, “ab hamāre ḵẖudā kī najāt, qudrat aur bādshāhī ā gaī hai, ab us ke masīh kā iḵẖtiyār ā gayā hai. kyūṅki hamāre bhāiyoṅ aur bahanoṅ par ilzām lagāne vālā jo din rāt allāh ke huzūr un par ilzām lagātā rahatā thā use zamīn par phaiṅkā gayā hai. 11īmāndār lele ke ḵẖūn aur apnī gavāhī sunāne ke zarīe hī us par ġālib āe haiṅ. unhoṅ ne apnī jān azīz na rakhī balki use dene tak tayyār the. 12chunāṅche ḵẖushī manāo, ai āsmāno! ḵẖushī manāo, un meṅ basne vālo! lekin zamīn aur samundar par afsos! kyūṅki iblīs tum par utar āyā hai. vah baṛe ġusse meṅ hai, kyūṅki vah jāntā hai ki ab us ke pās vaqt kam hai.”

13jab ajhdahe ne dekhā ki use zamīn par girā diyā gayā hai to vah us ḵẖātūn ke pīchhe paṛ gayā jis ne bacche ko janm diyā thā. 14lekin ḵẖātūn ko baṛe uqāb ke se do par die gae tāki vah uṛ kar registān meṅ us jagah pahuṅche jo us ke liye tayyār kī gaī thī aur jahāṅ vah sāḍhe tīn sāl tak ajhdahe kī pahuṅch se mahfūz rah kar parvarish pāegī. 15is par ajhdahe ne apne muṅh se pānī nikāl kar daryā kī sūrat meṅ ḵẖātūn ke pīchhe pīchhe bahā diyā tāki use bahā le jāe. 16lekin zamīn ne ḵẖātūn kī madad karke apnā muṅh khol diyā aur us daryā ko nigal liyā jo ajhdahe ne apne muṅh se nikāl diyā thā. 17phir ajhdahe ko ḵẖātūn par ġussā āyā, aur vah us kī bāqī aulād se jaṅg karne ke liye chalā gayā. (ḵẖātūn kī aulād vah haiṅ jo allāh ke ahkām pūre karke īsā kī gavāhī ko qāim rakhte haiṅ). 18aur ajhdahā samundar ke sāhil par khaṛā ho gayā.