Mukāshfā 10

farishtā aur jhūṭā tūmār

1phir maiṅ ne ek aur tāqatvar farishtā dekhā. vah bādal oṛhe hue āsmān se utar rahā thā aur us ke sar ke ūpar qaus-e-quzah thī. us kā chiharā sūraj jaisā thā aur us ke pāoṅ āg ke satūn jaise. 2us ke hāth meṅ ek chhoṭā tūmār thā jo khulā thā. apne ek pāoṅ ko us ne samundar par rakh diyā aur dūsre ko zamīn par. 3phir vah ūṅchī āvāz se pukār uṭhā. aise lagā jaise sherbabar garaj rahā hai. is par kaṛak kī sāt āvāzeṅ bolne lagīṅ. 4un ke bolne par maiṅ un kī bāteṅ likhne ko thā ki ek āvāz ne kahā, “kaṛak kī sāt āvāzoṅ kī bātoṅ par muhar lagā aur unheṅ mat likhnā.”

5phir us farishte ne jise maiṅ ne samundar aur zamīn par khaṛā dekhā apne dahane hāth ko āsmān kī taraf uṭhā kar 6allāh ke nām kī qasam khāī, us ke nām kī jo azal se abad tak zindā hai aur jis ne āsmānoṅ, zamīn aur samundar ko un tamām chīzoṅ samet ḵẖalaq kiyā jo un meṅ haiṅ. farishte ne kahā, “ab der nahīṅ hogī. 7jab sātvāṅ farishtā apne turam meṅ phūṅk mārne ko hogā tab allāh kā bhed jo us ne apne nubuvvat karne vāle ḵẖādimoṅ ko batāyā thā takmīl tak pahuṅchegā.”

8phir jo āvāz āsmān se sunāī dī thī us ne ek bār phir mujh se bāt kī, “jā, vah tūmār le lenā jo samundar aur zamīn par khaṛe farishte ke hāth meṅ khulā paṛā hai.”

9chunāṅche maiṅ ne farishte ke pās jā kar us se guzārish kī ki vah mujhe chhoṭā tūmār de. us ne mujh se kahā, “ise le aur khā le. yah tere muṅh meṅ shahad kī tarah mīṭhā lagegā, lekin tere mede meṅ kaṛavāhaṭ paidā karegā.”

10maiṅ ne chhoṭe tūmār ko farishte ke hāth se le kar use khā liyā. mere muṅh meṅ to vah shahad kī tarah mīṭhā lag rahā thā, lekin mede meṅ jā kar us ne kaṛavāhaṭ paidā kar dī. 11phir mujhe batāyā gayā, “lāzim hai ki tū bahut ummatoṅ, qaumoṅ, zabānoṅ aur bādshāhoṅ ke bāre meṅ mazīd nubuvvat kare.”