Amsāl 9

hikmat kī ziyāfat

1hikmat ne apnā ghar tāmīr karke apne liye sāt satūn tarāsh liye haiṅ.

2apne jānvaroṅ ko zabah karne aur apnī mai tayyār karne ke bād us ne apnī mez bichhāī hai. 3ab us ne apnī naukrāniyoṅ ko bhejā hai, aur ḵẖud bhī logoṅ ko shahar kī bulandiyoṅ se ziyāfat karne kī dāvat detī hai,

4“jo sādālauh hai, vah mere pās āe.” nāsamajh logoṅ se vah kahatī hai, 5“āo, merī roṭī khāo, vah mai piyo jo maiṅ ne tayyār kar rakhī hai. 6apnī sādālauh rāhoṅ se bāz āo to jīte rahoge, samajh kī rāh par chal paṛo.”

7jo lān-tān karne vāle ko tālīm de us kī apnī rusvāī ho jāegī, aur jo bedīn ko ḍāṅṭe use nuqsān pahuṅchegā. 8lān-tān karne vāle kī malāmat na kar varnā vah tujh se nafrat karegā. dānishmand kī malāmat kar to vah tujh se muhabbat karegā. 9dānishmand ko hidāyat de to us kī hikmat mazīd baṛhegī, rāstbāz ko tālīm de to vah apne ilm meṅ izāfā karegā.

10rabb kā ḵẖauf mānne se hī hikmat shurū hotī hai, quddūs ḵẖudā ko jānne se hī samajh hāsil hotī hai. 11mujh se hī terī umr ke dinoṅ aur sāloṅ meṅ izāfā hogā. 12agar tū dānishmand ho to ḵẖud is se fāidā uṭhāegā, agar lān-tān karne vālā ho to tujhe hī is kā nuqsān jhelnā paṛegā.

hamāqat bībī kī ziyāfat

13hamāqat bībī belagām aur nāsamajh hai, vah kuchh nahīṅ jāntī. 14us kā ghar shahar kī bulandī par vāqe hai. darvāze ke pās kursī par baiṭhī 15vah guzarne vāloṅ ko jo sīdhī rāh par chalte haiṅ ūṅchī āvāz se dāvat detī hai, 16“jo sādālauh hai vah mere pās āe.”

jo nāsamajh haiṅ un se vah kahatī hai, 17“chorī kā pānī mīṭhā aur poshīdgī meṅ khāī gaī roṭī lazīz hotī hai.”

18lekin unheṅ mālūm nahīṅ ki hamāqat bībī ke ghar meṅ sirf murdoṅ kī rūheṅ bastī haiṅ, ki us ke mehamān pātāl kī gaharāiyoṅ meṅ rahate haiṅ.