Amsāl 8

hikmat kī dāvat aur vādā

1suno! kyā hikmat āvāz nahīṅ detī? hāṅ, samajh ūṅchī āvāz se elān kartī hai. 2vah bulandiyoṅ par khaṛī hai, us jagah jahāṅ tamām rāste ek dūsre se milte haiṅ. 3shahar ke darvāzoṅ par jahāṅ log nikalte aur dāḵẖil hote haiṅ vahāṅ hikmat zordār āvāz se pukārtī hai,

4“ai mardo, maiṅ tum hī ko pukārtī hūṅ, tamām insānoṅ ko āvāz detī hūṅ.

5ai sādālauho, hoshyārī sīkh lo! ai ahamqo, samajh apnā lo!

6suno, kyūṅki maiṅ sharāfat kī bāteṅ kartī hūṅ, aur mere hoṅṭ sacchāī pesh karte haiṅ.

7merā muṅh sacch boltā hai, kyūṅki mere hoṅṭ bedīnī se ghin khāte haiṅ.

8jo bhī bāt mere muṅh se nikle vah rāst hai, ek bhī pechdār yā ṭeṛhī nahīṅ hai.

9samajhdār jāntā hai ki merī bāteṅ sab durust haiṅ, ilm rakhne vāle ko mālūm hai ki vah sahīh haiṅ.

10chāṅdī kī jagah merī tarbiyat aur ḵẖālis sone ke bajāy ilm-o-irfān apnā lo.

11kyūṅki hikmat motiyoṅ se kahīṅ behatar hai, koī bhī ḵẖazānā us kā muqāblā nahīṅ kar saktā.

12maiṅ jo hikmat hūṅ hoshyārī ke sāth bastī hūṅ, aur maiṅ tamīz kā ilm rakhtī hūṅ.

13jo rabb kā ḵẖauf māntā hai vah burāī se nafrat kartā hai. mujhe ġarūr, takabbur, ġalat chāl-chalan aur ṭeṛhī bātoṅ se nafrat hai.

14mere pās acchhā mashvrā aur kāmyābī hai. merā dūsrā nām samajh hai, aur mujhe quvvat hāsil hai.

15mere vasīle se bādshāh saltanat aur hukmarān rāst faisle karte haiṅ.

16mere zarīe raīs aur shurfā balki tamām ādil munsif hukūmat karte haiṅ.

17jo mujhe piyār karte haiṅ unheṅ maiṅ piyār kartī hūṅ, aur jo mujhe ḍhūṅḍte haiṅ vah mujhe pā lete haiṅ.

18mere pās izzat-o-daulat, shāndār māl aur rāstī hai.

19merā phal sone balki ḵẖālis sone se kahīṅ behatar hai, merī paidāvār ḵẖālis chāṅdī par sabqat rakhtī hai.

20maiṅ rāstī kī rāh par hī chaltī hūṅ, vahīṅ jahāṅ insāf hai.

21jo mujh se muhabbat rakhte haiṅ unheṅ maiṅ mīrās meṅ daulat muhayyā kartī hūṅ. un ke godām bhare rahate haiṅ.

hikmat kā taḵẖlīq meṅ hissā

22jab rabb taḵẖlīq kā silsilā amal meṅ lāyā to pahale us ne mujhe hī banāyā. qadīm zamāne meṅ maiṅ us ke dīgar kāmoṅ se pahale hī vujūd meṅ āī.

23mujhe azal se muqarrar kiyā gayā, ibtidā hī se jab duniyā abhī paidā nahīṅ huī thī.

24na samundar kī gaharāiyāṅ, na kasrat se phūṭne vāle chashme the jab maiṅ ne janm liyā.

25na pahāṛ apnī apnī jagah par qāim hue the, na pahāṛiyāṅ thīṅ jab maiṅ paidā huī.

26us vaqt allāh ne na zamīn, na us ke maidān, aur na duniyā ke pahale ḍhele banāe the.

27jab us ne āsmān ko us kī jagah par lagāyā aur samundar kī gaharāiyoṅ par zamīn kā ilāqā muqarrar kiyā to maiṅ sāth thī.

28jab us ne āsmān par bādloṅ aur gaharāiyoṅ meṅ sarchashmoṅ kā intizām mazbūt kiyā to maiṅ sāth thī.

29jab us ne samundar kī haddeṅ muqarrar kīṅ aur hukm diyā ki pānī un se tajāvuz na kare, jab us ne zamīn kī bunyādeṅ apnī apnī jagah par rakhīṅ

30to maiṅ māhir kārīgar kī haisiyat se us ke sāth thī. roz-ba-roz maiṅ lutf kā bāis thī, har vaqt us ke huzūr raṅgraliyāṅ manātī rahī.

31maiṅ us kī zamīn kī satah par raṅgraliyāṅ manātī aur insān se lutf’andoz hotī rahī.

32chunāṅche mere beṭo, merī suno, kyūṅki mubārak haiṅ vah jo merī rāhoṅ par chalte haiṅ.

33merī tarbiyat mān kar dānishmand ban jāo, use nazar’andāz mat karnā.

34mubārak hai vah jo merī sune, jo roz-ba-roz mere darvāze par chaukas khaṛā rahe, rozānā merī chaukhaṭ par hāzir rahe.

35kyūṅki jo mujhe pāe vah zindagī aur rabb kī manzūrī pātā hai.

36lekin jo mujhe pāne se qāsir rahe vah apnī jān par zulm kartā hai, jo bhī mujh se nafrat kare use maut piyārī hai.”