Amsāl 4

bāp kī nasīhat

1ai beṭo, bāp kī nasīhat suno, dhyān do tāki tum sīkh kar samajh hāsil kar sako. 2maiṅ tumheṅ acchhī tālīm detā hūṅ, is liye merī hidāyat ko tark na karo. 3maiṅ abhī apne bāp ke ghar meṅ nāzuk laṛkā thā, apnī māṅ kā vāhid bacchā, 4to mere bāp ne mujhe tālīm de kar kahā,

“pūre dil se mere alfāz apnā le aur har vaqt mere ahkām par amal kar to tū jītā rahegā. 5hikmat hāsil kar, samajh apnā le! yah chīzeṅ mat bhūlnā, mere muṅh ke alfāz se dūr na honā. 6hikmat tark na kar to vah tujhe mahfūz rakhegī. us se muhabbat rakh to vah terī dekh-bhāl karegī. 7hikmat is se shurū hotī hai ki tū hikmat apnā le. samajh hāsil karne ke liye bāqī tamām milkiyat qurbān karne ke liye tayyār ho. 8use azīz rakh to vah tujhe sarfarāz karegī, use gale lagā to vah tujhe izzat baḵẖshegī. 9tab vah tere sar ko ḵẖūbsūrat sihare se ārāstā karegī aur tujhe shāndār tāj se navāzegī.”

10mere beṭe, merī sun! merī bāteṅ apnā le to terī umr darāz hogī. 11maiṅ tujhe hikmat kī rāh par chalne kī hidāyat detā, tujhe sīdhī rāhoṅ par phirne detā hūṅ. 12jab tū chalegā to tere qadmoṅ ko kisī bhī chīz se rokā nahīṅ jāegā, aur dauṛte vaqt tū ṭhokar nahīṅ khāegā. 13tarbiyat kā dāman thāme rah! use na chhoṛ balki mahfūz rakh, kyūṅki vah terī zindagī hai.

14bedīnoṅ kī rāh par qadam na rakh, sharīroṅ ke rāste par mat jā. 15us se gurez kar, us par safar na kar balki us se katrā kar āge nikal jā. 16kyūṅki jab tak un se burā kām sarzad na ho jāe vah so hī nahīṅ sakte, jab tak unhoṅ ne kisī ko ṭhokar khilā kar ḵẖāk meṅ milā na diyā ho vah nīṅd se maharūm rahate haiṅ. 17vah bedīnī kī roṭī khāte aur zulm kī mai pīte haiṅ. 18lekin rāstbāz kī rāh tulū-e-subah kī pahalī raushnī kī mānind hai jo din ke urūj tak baṛhtī rahatī hai. 19is ke muqāble meṅ bedīn kā rāstā gaharī tārīkī kī mānind hai, unheṅ patā hī nahīṅ chaltā ki kis chīz se ṭhokar khā kar gir gae haiṅ.

20mere beṭe, merī bātoṅ par dhyān de, mere alfāz par kān dhar. 21unheṅ apnī nazar se ojhal na hone de balki apne dil meṅ mahfūz rakh. 22kyūṅki jo yah bāteṅ apanāeṅ vah zindagī aur pūre jism ke liye shifā pāte haiṅ. 23tamām chīzoṅ se pahale apne dil kī hifāzat kar, kyūṅki yahī zindagī kā sarchashmā hai. 24apne muṅh se jhūṭ aur apne hoṅṭoṅ se kajgoī dūr kar. 25dhyān de ki terī āṅkheṅ sīdhā āge kī taraf dekheṅ, ki terī nazar us rāste par lagī rahe jo sīdhā hai. 26apne pāoṅ kā rāstā chalne ke qābil banā de, dhyān de ki terī rāheṅ mazbūt haiṅ. 27na dāīṅ, na bāīṅ taraf muṛ balki apne pāoṅ ko ġalat qadam uṭhāne se bāz rakh.