Amsāl 30

ajūr kī kahāvateṅ

1zail meṅ ajūr bin yāqā kī kahāvateṅ haiṅ. vah massā kā rahane vālā thā. us ne farmāyā,

ai allāh, maiṅ thak gayā hūṅ, ai allāh, maiṅ thak gayā hūṅ, yah mere bas kī bāt nahīṅ rahī. 2yaqīnan maiṅ insānoṅ meṅ sab se ziyādā nādān hūṅ, mujhe insān kī samajh hāsil nahīṅ. 3na maiṅ ne hikmat sīkhī, na quddūs ḵẖudā ke bāre meṅ ilm rakhtā hūṅ.

4kaun āsmān par chaṛh kar vāpas utar āyā? kis ne havā ko apne hāthoṅ meṅ jamā kiyā? kis ne gahare pānī ko chādar meṅ lapeṭ liyā? kis ne zamīn kī hudūd ko apnī apnī jagah par qāim kiyā hai? us kā nām kyā hai, us ke beṭe kā kyā nām hai? agar tujhe mālūm ho to mujhe batā!

5allāh kī har bāt āzmūdā hai, jo us meṅ panāh le us ke liye vah ḍhāl hai.

6us kī bātoṅ meṅ izāfā mat kar, varnā vah tujhe ḍāṅṭegā aur tū jhūṭā ṭhaharegā.

7ai rabb, maiṅ tujh se do chīzeṅ māṅgtā hūṅ, mere marne se pahale in se inkār na kar. 8pahale, daroġagoī aur jhūṭ mujh se dūr rakh. dūsre, na ġurbat na daulat mujhe de balki utnī hī roṭī jitnī merā haq hai, 9aisā na ho ki maiṅ daulat ke bāis ser ho kar terā inkār karūṅ aur kahūṅ, “rabb kaun hai?” aisā bhī na ho ki maiṅ ġurbat ke bāis chorī karke apne ḵẖudā ke nām kī behuramtī karūṅ.

10mālik ke sāmne mulāzim par tuhamat na lagā, aisā na ho ki vah tujh par lānat bheje aur tujhe is kā burā natījā bhugatnā paṛe.

11aisī nasal bhī hai jo apne bāp par lānat kartī aur apnī māṅ ko barkat nahīṅ detī.

12aisī nasal bhī hai jo apnī nazar meṅ pāk-sāf hai, go us kī ġilāzat dūr nahīṅ huī.

13aisī nasal bhī hai jis kī āṅkheṅ baṛe takabbur se dekhtī haiṅ, jo apnī palkeṅ baṛe ghamaṅḍ se mārtī hai.

14aisī nasal bhī hai jis ke dāṅt talvāreṅ aur jabṛe chhuriyāṅ haiṅ tāki duniyā ke musībatazadoṅ ko khā jāeṅ, muāshare ke zarūratmandoṅ ko haṛap kar leṅ.

15joṅk kī do beṭiyāṅ haiṅ, chūsne ke do āzā jo chīḵẖte rahate haiṅ, “aur do, aur do”

tīn chīzeṅ haiṅ jo kabhī ser nahīṅ hotīṅ balki chār haiṅ jo kabhī nahīṅ kahatīṅ, “ab bas karo, ab kāfī hai,” 16pātāl, bāṅjh kā raham, zamīn jis kī piyās kabhī nahīṅ bujhtī aur āg jo kabhī nahīṅ kahatī, “ab bas karo, ab kāfī hai.”

17jo āṅkh bāp kā mazāq uṛāe aur māṅ kī hidāyat ko haqīr jāne use vādī ke kavve apnī choṅchoṅ se nikāleṅge aur giddh ke bacche khā jāeṅge.

18tīn bāteṅ mujhe hairatzadā kartī haiṅ balki chār haiṅ jin kī mujhe samajh nahīṅ ātī, 19āsmān kī bulandiyoṅ par uqāb kī rāh, chaṭān par sāṁp kī rāh, samundar ke bīch meṅ jahāz kī rāh aur vah rāh jo mard kuṅvārī ke sāth chaltā hai.

20zinākār aurat kī yah rāh hai, vah khā letī aur phir apnā muṅh poṅchh kar kahatī hai, “mujh se koī ġaltī nahīṅ huī.”

21zamīn tīn chīzoṅ se laraz uṭhtī hai balki chār chīzeṅ bardāsht nahīṅ kar saktī, 22vah ġulām jo bādshāh ban jāe, vah ahamaq jo jī bhar kar khānā khā sake, 23vah nafarat’aṅgez [a] lafzī tarjumā : jis se nafrat kī jātī hai. aurat jis kī shādī ho jāe aur vah naukrānī jo apnī mālikan kī milkiyat par qabzā kare.

24zamīn kī chār maḵẖlūqāt nihāyat hī dānishmand haiṅ hālāṅki chhoṭī haiṅ. 25chyūṅṭiyāṅ kamzor nasal haiṅ lekin garmiyoṅ ke mausam meṅ sardiyoṅ ke liye ḵẖurāk jamā kartī haiṅ, 26bijjū kamzor nasal haiṅ lekin chaṭānoṅ meṅ hī apne ghar banā lete haiṅ, 27ṭiḍḍiyoṅ kā bādshāh nahīṅ hotā tāham sab pare bāṅdh kar nikaltī haiṅ, 28chhipakaliyāṅ go hāth se pakṛī jātī haiṅ, tāham shāhī mahaloṅ meṅ pāī jātī haiṅ.

29tīn balki chār jāndār purvaqār andāz meṅ chalte haiṅ. 30pahale, sherbabar jo jānvaroṅ meṅ zorāvar hai aur kisī se bhī pīchhe nahīṅ haṭtā, 31dūsre, murġā jo akaṛ kar chaltā hai, tīsre, bakrā aur chauthe apnī fauj ke sāth chalne vālā bādshāh.

32agar tū ne maġrūr ho kar hamāqat kī yā bure mansūbe bāṅdhe to apne muṅh par hāth rakh kar ḵẖāmosh ho jā, 33kyūṅki dūdh bilone se makkhan, nāk ko maroṛne [b] lafzī tarjumā : dabāo ḍālne. se ḵẖūn aur kisī ko ġussā dilāne se laṛāī-jhagṛā paidā hotā hai.

[a] lafzī tarjumā : jis se nafrat kī jātī hai.
[b] lafzī tarjumā : dabāo ḍālne.