Amsāl 28

1bedīn farār ho jātā hai hālāṅki tāqqub karne vālā koī nahīṅ hotā, lekin rāstbāz apne āp ko javān sherbabar kī tarah mahfūz samajhtā hai.

2mulk kī ḵẖatākārī ke sabab se us kī hukūmat kī yagāṅgat qāim nahīṅ rahegī, lekin samajhdār aur dānishmand ādmī use baṛī der tak qāim rakhegā.

3jo ġarīb ġarīboṅ par zulm kare vah us mūslādhār bārish kī mānind hai jo sailāb lā kar fasloṅ ko tabāh kar detī hai.

4jis ne sharīat ko tark kiyā vah bedīn kī tārīf kartā hai, lekin jo sharīat ke tābe rahatā hai vah us kī muḵẖālafat kartā hai.

5sharīr insāf nahīṅ samajhte, lekin rabb ke tālib sab kuchh samajhte haiṅ.

6beilzām zindagī guzārne vālā ġarīb ṭeṛhī rāhoṅ par chalne vāle amīr se behatar hai.

7jo sharīat kī pairvī kare vah samajhdār beṭā hai, lekin ayyāshoṅ kā sāthī apne bāp kī beizzatī kartā hai.

8jo apnī daulat nājāiz sūd se baṛhāe vah use kisī aur ke liye jamā kar rahā hai, aise shaḵẖs ke liye jo ġarīboṅ par raham karegā.

9jo apne kān meṅ uṅglī ḍāle tāki sharīat kī bāteṅ na sune us kī duāeṅ bhī qābil-e-ghin haiṅ.

10jo sīdhī rāh par chalne vāloṅ ko ġalat rāh par lāe vah apne hī gaṛhe meṅ gir jāegā, lekin beilzām acchhī mīrās pāeṅge.

11amīr apne āp ko dānishmand samajhtā hai, lekin jo zarūratmand samajhdār hai vah us kā aslī kirdār mālūm kar letā hai.

12jab rāstbāz fathayāb hoṅ to mulk kī shān-o-shaukat baṛh jātī hai, lekin jab bedīn uṭh khaṛe hoṅ to log chhup jāte haiṅ.

13jo apne gunāh chhupāe vah nākām rahegā, lekin jo unheṅ taslīm karke tark kare vah raham pāegā.

14mubārak hai vah jo har vaqt rabb kā ḵẖauf māne, lekin jo apnā dil saḵẖt kare vah musībat meṅ phaṅs jāegā.

15pastahāl qaum par hukūmat karne vālā bedīn ġurrāte hue sherbabar aur hamlāāvar rīchh kī mānind hai.

16jahāṅ nāsamajh hukmarān hai vahāṅ zulm hotā hai, lekin jise ġalat nafā se nafrat ho us kī umr darāz hogī.

17jo kisī ko qatl kare vah maut tak apne qusūr ke nīche dabā huā mārā mārā phiregā. aise shaḵẖs kā sahārā na ban!

18jo beilzām zindagī guzāre vah bachā rahegā, lekin jo ṭeṛhī rāh par chale vah achānak hī gir jāegā.

19jo apnī zamīn kī khetībāṛī kare vah jī bhar kar roṭī khāegā, lekin jo fuzūl chīzoṅ ke pīchhe paṛ jāe vah ġurbat se ser ho jāegā.

20qābil-e-etimād ādmī ko kasrat kī barkateṅ hāsil hoṅgī, lekin jo bhāg bhāg kar daulat jamā karne meṅ masrūf rahe vah sazā se nahīṅ bachegā.

21jānibdārī burī bāt hai, lekin insān roṭī kā ṭukṛā hāsil karne ke liye mujrim ban jātā hai.

22lālchī bhāg bhāg kar daulat jamā kartā hai, use mālūm hī nahīṅ ki is kā anjām ġurbat hī hai.

23āḵẖirkār nasīhat dene vālā chāplūsī karne vāle se ziyādā manzūr hotā hai.

24jo apne bāp yā māṅ ko lūṭ kar kahe, “yah jurm nahīṅ hai” vah muhalak qātil kā sharīk-e-kār hotā hai.

25lālchī jhagṛoṅ kā mambā rahatā hai, lekin jo rabb par bharosā rakhe vah ḵẖushhāl rahegā.

26jo apne dil par bharosā rakhe vah bevuqūf hai, lekin jo hikmat kī rāh par chale vah mahfūz rahegā.

27ġarīboṅ ko dene vālā zarūratmand nahīṅ hogā, lekin jo apnī āṅkheṅ band karke unheṅ nazar’andāz kare us par bahut lānteṅ āeṅgī .

28jab bedīn uṭh khaṛe hoṅ to log chhup jāte haiṅ, lekin jab halāk ho jāeṅ to rāstbāzoṅ kī tādād baṛh jātī hai.