Amsāl 26

1ahamaq kī izzat karnā utnā hī ġairmauzūṅ hai jitnā mausam-e-garmā meṅ barf yā fasal kāṭte vaqt bārish.

2bilāvajah bhejī huī lānat phaṛphaṛātī chiṛiyā yā uṛtī huī abābīl kī tarah ojhal ho kar beasar rah jātī hai.

3ghoṛe ko chhaṛī se, gadhe ko lagām se aur ahamaq kī pīṭh ko lāṭhī se tarbiyat de.

4jab ahamaq ahamaqānā bāteṅ kare to use javāb na de, varnā tū usī ke barābar ho jāegā.

5jab ahamaq ahamaqānā bāteṅ kare to use javāb de, varnā vah apnī nazar meṅ dānishmand ṭhaharegā.

6jo ahamaq ke hāth paiġām bheje vah us kī mānind hai jo apne pāoṅ par kulhāṛī mār kar apne āp se ziyādtī kartā hai [a] lafzī tarjumā : ziyādtī kā piyālā pītā hai. .

7ahamaq ke muṅh meṅ hikmat kī bāt maflūj kī beharkat laṭaktī ṭāṅgoṅ kī tarah bekār hai.

8ahamaq kā ehatirām karnā ġulel ke sāth patthar bāṅdhne ke barābar hai.

9ahamaq ke muṅh meṅ hikmat kī bāt nashe meṅ dhut sharābī ke hāth meṅ kāṅṭedār jhāṛī kī mānind hai.

10jo ahamaq yā har kisī guzarne vāle ko kām par lagāe vah sab ko zaḵẖmī karne vāle tīr’andāz kī mānind hai.

11jo ahamaq apnī hamāqat duharāe vah apnī qai ke pās vāpas āne vāle kutte kī mānind hai.

12kyā koī dikhāī detā hai jo apne āp ko dānishmand samajhtā hai? us kī nisbat ahamaq ke sudharne kī ziyādā ummīd hai.

13kāhil kahatā hai, “rāste meṅ sher hai, hāṅ chaukoṅ meṅ sher phir rahā hai!”

14jis tarah darvāzā qabze par ghūmtā hai usī tarah kāhil apne bistar par karvaṭeṅ badaltā hai.

15jab kāhil apnā hāth khāne ke bartan meṅ ḍāl de to vah itnā sust hai ki use muṅh tak vāpas nahīṅ lā saktā.

16kāhil apnī nazar meṅ hikmat se javāb dene vāle sāt ādmiyoṅ se kahīṅ ziyādā dānishmand hai.

17jo guzarte vaqt dūsroṅ ke jhagṛe meṅ mudāḵẖalat kare vah us ādmī kī mānind hai jo kutte ko kānoṅ se pakaṛ le.

18-19 jo apne paṛosī ko fareb de kar bād meṅ kahe, “maiṅ sirf mazāq kar rahā thā” vah us dīvāne kī mānind hai jo logoṅ par jalte hue aur muhalak tīr barsātā hai.

20lakṛī ke ḵẖatm hone par āg bujh jātī hai, tuhamat lagāne vāle ke chale jāne par jhagṛā band ho jātā hai.

21aṅgāroṅ meṅ koile aur āg meṅ lakṛī ḍāl to āg bhaṛak uṭhegī. jhagṛālū ko kahīṅ bhī khaṛā kar to log mushtail ho jāeṅge.

22tuhamat lagāne vāle kī bāteṅ lazīz khāne ke luqmoṅ jaisī haiṅ, vah dil kī tah tak utar jātī haiṅ.

23jalne vāle hoṅṭ aur sharīr dil miṭṭī ke us bartan kī mānind haiṅ jise chamakdār banāyā gayā ho.

24nafrat karne vālā apne hoṅṭoṅ se apnā aslī rūp chhupā letā hai, lekin us kā dil fareb se bharā rahatā hai. 25jab vah meharbān bāteṅ kare to us par yaqīn na kar, kyūṅki us ke dil meṅ sāt makrūh bāteṅ haiṅ. 26go us kī nafrat filahāl fareb se chhupī rahe, lekin ek din us kā ġalat kirdār pūrī jamāat ke sāmne zāhir ho jāegā.

27jo dūsroṅ ko phaṅsāne ke liye gaṛhā khode vah us meṅ ḵẖud gir jāegā, jo patthar luṛhkā kar dūsroṅ par phaiṅknā chāhe us par hī patthar vāpas luṛhak āegā.

28jhūṭī zabān un se nafrat kartī hai jinheṅ vah kuchal detī hai, ḵẖushāmad karne vālā muṅh tabāhī machā detā hai.

[a] lafzī tarjumā : ziyādtī kā piyālā pītā hai.