Amsāl 25

sulemān kī mazīd kahāvateṅ

1zail meṅ sulemān kī mazīd kahāvateṅ darj haiṅ jinheṅ yahūdāh ke bādshāh hizaqiyāh ke logoṅ ne jamā kiyā.

2allāh kā jalāl is meṅ zāhir hotā hai ki vah muāmalā poshīdā rakhtā hai, bādshāh kā jalāl is meṅ ki vah muāmale kī tahqīq kartā hai.

3jitnā āsmān buland aur zamīn gaharī hai utnā hī bādshāhoṅ ke dil kā khoj nahīṅ lagāyā jā saktā.

4chāṅdī se mail dūr karo to sunār bartan banāne meṅ kāmyāb ho jāegā, 5bedīn ko bādshāh ke huzūr se dūr karo to us kā taḵẖt rāstī kī bunyād par qāim rahegā.

6bādshāh ke huzūr apne āp par faḵẖar na kar, na izzat kī us jagah par khaṛā ho jā jo buzurgoṅ ke liye maḵẖsūs hai. 7is se pahale ki shurfā ke sāmne hī terī beizzatī ho jāe behatar hai ki tū pīchhe khaṛā ho jā aur bād meṅ koī tujh se kahe, “yahāṅ sāmne ā jāeṅ.”

jo kuchh terī āṅkhoṅ ne dekhā use adālat meṅ pesh karne meṅ 8jaldbāzī na kar, kyūṅki tū kyā karegā agar terā paṛosī tere muāmale ko jhaṭlā kar tujhe sharmindā kare?

9adālat meṅ apne paṛosī se laṛte vaqt vah bāt bayān na kar jo kisī ne poshīdgī meṅ tere sapurd kī, 10aisā na ho ki sunne vālā terī beizzatī kare. tab terī badnāmī kabhī nahīṅ miṭegī.

11vaqt par mauzūṅ bāt chāṅdī ke bartan meṅ sone ke seb kī mānind hai. 12dānishmand kī nasīhat qabūl karne vāle ke liye sone kī bālī aur ḵẖālis sone ke gulūband kī mānind hai.

13qābil-e-etimād qāsid bhejne vāle ke liye fasal kāṭte vaqt barf kī ṭhaṅḍak jaisā hai, is tarah vah apne mālik kī jān ko tar-o-tāzā kar detā hai.

14jo sheḵẖī mār kar tuhfoṅ kā vādā kare lekin kuchh na de vah un tūfānī bādloṅ kī mānind hai jo barse baġair guzar jāte haiṅ.

15hukmarān ko tahammul se qāil kiyā jā saktā, aur narm zabān haḍḍiyāṅ toṛne ke qābil hai.

16agar shahad mil jāe to zarūrat se ziyādā mat khā, hadd se ziyādā khāne se tujhe qai āegī.

17apne paṛosī ke ghar meṅ bār bār jāne se apne qadmoṅ ko rok, varnā vah taṅg ā kar tujh se nafrat karne lagegā.

18jo apne paṛosī ke ḵẖilāf jhūṭī gavāhī de vah hathauṛe, talvār aur tez tīr jaisā nuqsāndih hai.

19musībat ke vaqt bevafā par etibār karnā ḵẖarāb dāṅt yā ḍagmagāte pāoṅ kī tarah taklīfdih hai.

20dukhte dil ke liye gīt gānā utnā hī ġairmauzūṅ hai jitnā sardiyoṅ ke mausam meṅ qamīs utārnā yā soḍe par sirkā ḍālnā.

21agar terā dushman bhūkā ho to use khānā khilā, agar piyāsā ho to pānī pilā. 22kyūṅki aisā karne se tū us ke sar par jalte hue koiloṅ kā ḍher lagāegā, aur rabb tujhe ajr degā.

23jis tarah kāle bādal lāne vālī havā bārish paidā kartī hai usī tarah bātūnī kī chupke se kī gaī bātoṅ se logoṅ ke muṅh bigaṛ jāte haiṅ.

24jhagṛālū bīvī ke sāth ek hī ghar meṅ rahane kī nisbat chhat ke kisī kone meṅ guzārā karnā behatar hai.

25dūrdarāz mulk kī ḵẖushḵẖabarī piyāse gale meṅ ṭhaṅḍā pānī hai.

26jo rāstbāz bedīn ke sāmne ḍagmagāne lage, vah gadlā chashmā aur ālūdā kuāṅ hai.

27ziyādā shahad khānā acchhā nahīṅ, aur na hī ziyādā apnī izzat kī fikr karnā.

28jo apne āp par qābū na pā sake vah us shahar kī mānind hai jis kī fasīl ḍhā dī gaī hai.