Amsāl 22

1nek nām baṛī daulat se qīmtī, aur manzūr-e-nazar honā sone-chāṅdī se behatar hai.

2amīr aur ġarīb ek dūsre se milte julte haiṅ, rabb un sab kā ḵẖāliq hai.

3zahīn ādmī ḵẖatrā pahale se bhāṁp kar chhup jātā hai, jabki sādālauh āge baṛh kar us kī lapeṭ meṅ ā jātā hai.

4farotnī aur rabb kā ḵẖauf mānne kā phal daulat, ehatirām aur zindagī hai.

5bedīn kī rāh meṅ kāṅṭe aur phaṅde hote haiṅ. jo apnī jān mahfūz rakhnā chāhe vah un se dūr rahatā hai.

6chhoṭe bacche ko sahīh rāh par chalne kī tarbiyat de to vah būṛhā ho kar bhī us se nahīṅ haṭegā.

7amīr ġarīb par hukūmat kartā, aur qarzdār qarzaḵẖwāh kā ġulām hotā hai.

8jo nāinsāfī kā bīj boe vah āfat kī fasal kāṭegā, tab us kī ziyādtī kī lāṭhī ṭūṭ jāegī.

9fayyāzdil ko barkat milegī, kyūṅki vah pastahāl ko apne khāne meṅ sharīk kartā hai.

10tānāzan ko bhagā de to laṛāī-jhagṛā ghar se nikal jāegā, tū tū maiṅ maiṅ aur ek dūsre kī beizzatī karne kā silsilā ḵẖatm ho jāegā.

11jo dil kī pākīzgī ko piyār kare aur meharbān zabān kā mālik ho vah bādshāh kā dost banegā.

12rabb kī āṅkheṅ ilm-o-irfān kī dekh-bhāl kartī haiṅ, lekin vah bevafā kī bātoṅ ko tabāh hone detā hai.

13kāhil kahatā hai, “galī meṅ sher hai, agar bāhar jāūṅ to mujhe kisī chauk meṅ phāṛ khāegā.”

14zinākār aurat kā muṅh gaharā gaṛhā hai. jis se rabb nārāz ho vah us meṅ gir jātā hai.

15bacche ke dil meṅ hamāqat ṭiktī hai, lekin tarbiyat kī chhaṛī use bhagā detī hai.

16ek pastahāl par zulm kartā hai tāki daulat pāe, dūsrā amīr ko tuhfe detā hai lekin ġarīb ho jātā hai.

dānishmandoṅ kī 30 kahāvateṅ

17kān lagā kar dānāoṅ kī bātoṅ par dhyān de, dil se merī tālīm apnā le! 18kyūṅki acchhā hai ki tū unheṅ apne dil meṅ mahfūz rakhe, vah sab tere hoṅṭoṅ par mustaid raheṅ. 19āj maiṅ tujhe, hāṅ tujhe hī tālīm de rahā hūṅ tāki terā bharosā rabb par rahe. 20maiṅ ne tere liye 30 kahāvateṅ qalamband kī haiṅ, aisī bāteṅ jo mashvaroṅ aur ilm se bharī huī haiṅ. 21kyūṅki maiṅ tujhe sacchāī kī qābil-e-etimād bāteṅ sikhānā chāhatā hūṅ tāki tū unheṅ qābil-e-etimād javāb de sake jinhoṅ ne tujhe bhejā hai.

-1-

22pastahāl ko is liye na lūṭ ki vah pastahāl hai, musībatzadā ko adālat meṅ mat kuchalnā. 23kyūṅki rabb ḵẖud un kā difā karke unheṅ lūṭ legā jo unheṅ lūṭ rahe haiṅ.

-2-

24ġusīle shaḵẖs kā dost na ban, na us se ziyādā tālluq rakh jo jaldī se āg-bagūlā ho jātā hai. 25aisā na ho ki tū us kā chāl-chalan apnā kar apnī jān ke liye phaṅdā lagāe.

-3-

26kabhī hāth milā kar vādā na kar ki maiṅ dūsre ke karze kā zāmin hūṅgā. 27qarzdār ke paise vāpas na karne par agar tū bhī paise adā na kar sake to terī chārpāī bhī tere nīche se chhīn lī jāegī.

-4-

28zamīn kī jo hudūd tere bāpdādā ne muqarrar kīṅ unheṅ āge pīchhe mat karnā.

-5-

29kyā tujhe aisā ādmī nazar ātā hai jo apne kām meṅ māhir hai? vah nichle tabqe ke logoṅ kī ḵẖidmat nahīṅ karegā balki bādshāhoṅ kī.