Amsāl 20

1mai tānāzan kā bāp aur sharāb shor-sharābā kī māṅ hai. jo yah pī pī kar ḍagmagāne lage vah dānishmand nahīṅ.

2bādshāh kā qahar javān sherbabar kī dahāṛoṅ kī mānind hai, jo use taish dilāe vah apnī jān par kheltā hai.

3laṛāī-jhagṛe se bāz rahanā izzat kā turrā-e-imtiyāz hai jabki har ahamaq jhagaṛne ke liye tayyār rahatā hai.

4kāhil vaqt par hal nahīṅ chalātā, chunāṅche jab vah fasal pakte vaqt apne khet par nigāh kare to kuchh nazar nahīṅ āegā.

5insān ke dil kā mansūbā gahare pānī kī mānind hai, lekin samajhdār ādmī use nikāl kar amal meṅ lātā hai.

6bahut se log apnī vafādārī par faḵẖar karte haiṅ, lekin qābil-e-etimād shaḵẖs kahāṅ pāyā jātā hai?

7jo rāstbāz beilzām zindagī guzāre us kī aulād mubārak hai.

8jab bādshāh taḵẖt-e-adālat par baiṭh jāe to vah apnī āṅkhoṅ se sab kuchh chhānkar har ġalat bāt ek taraf kar letā hai.

9kaun kah saktā hai, “maiṅ ne apne dil ko pāk-sāf kar rakhā hai, maiṅ apne gunāh se pāk ho gayā hūṅ”?

10ġalat bāṭ aur ġalat paimāish, rabb donoṅ se ghin khātā hai.

11laṛke kā kirdār us ke sulūk se mālūm hotā hai. is se patā chaltā hai ki us kā chāl-chalan pāk aur rāst hai yā nahīṅ.

12sunne vāle kān aur dekhne vālī āṅkheṅ donoṅ hī rabb ne banāī haiṅ.

13nīṅd ko piyār na kar varnā ġarīb ho jāegā. apnī āṅkhoṅ ko khulā rakh to jī bhar kar khānā khāegā.

14gāhak dukāndār se kahatā hai, “yah kaisī nāqis chīz hai!” lekin phir jā kar dūsroṅ ke sāmne apne saude par sheḵẖī mārtā hai.

15sonā aur kasrat ke motī pāe jā sakte haiṅ, lekin samajhdār hoṅṭ un se kahīṅ ziyādā qīmtī haiṅ.

16zamānat kā vah libās vāpas na kar jo kisī ne pardesī kā zāmin ban kar diyā hai. agar vah ajnabī kā zāmin ho to us zamānat par zarūr qabzā kar jo us ne dī thī.

17dhoke se hāsil kī huī roṭī ādmī ko mīṭhī lagtī hai, lekin us kā anjām kaṅkaroṅ se bharā muṅh hai.

18mansūbe salāh-mashvre se mazbūt ho jāte haiṅ, aur jaṅg karne se pahale dūsroṅ kī hidāyāt par dhyān de.

19agar tū buhtān lagāne vāle ko hamrāz banāe to vah idhar udhar phir kar bāt phailāegā. chunāṅche bātūnī se gurez kar.

20jo apne bāp yā māṅ par lānat kare us kā charāġ ghane aṅdhere meṅ bujh jāegā.

21jo mīrās shurū meṅ baṛī jaldī se mil jāe vah āḵẖir meṅ barkat kā bāis nahīṅ hogī.

22mat kahanā, “maiṅ ġalat kām kā intiqām lūṅgā.” rabb ke intizār meṅ rah to vahī terī madad karegā.

23rabb jhūṭe bāṭoṅ se ghin khātā hai, aur ġalat tarāzū use acchhā nahīṅ lagtā.

24rabb har ek ke qadam muqarrar kartā hai. to phir insān kis tarah apnī rāh samajh saktā hai?

25insān apne liye phaṅdā tayyār kartā hai jab vah jaldbāzī se mannat māntā aur bād meṅ hī mannat ke natāij par ġaur karne lagtā hai.

26dānishmand bādshāh bedīnoṅ ko chhān chhānkar uṛā letā hai, hāṅ vah gāhane kā ālā hī un par se guzarne detā hai.

27ādamzād kī rūh rabb kā charāġ hai jo insān ke bātin kī tah tak sab kuchh kī tahqīq kartā hai.

28shafqat aur vafā bādshāh ko mahfūz rakhtī haiṅ, shafqat se vah apnā taḵẖt mustahkam kar letā hai.

29naujvānoṅ kā faḵẖar un kī tāqat aur buzurgoṅ kī shān un ke safed bāl haiṅ.

30zaḵẖm aur choṭeṅ burāī ko dūr kar detī haiṅ, zarbeṅ bātin kī tah tak sab kuchh sāf kar detī haiṅ.