Amsāl 2

hikmat kī ahamiyat

1mere beṭe, merī bāt qabūl karke mere ahkām apne dil meṅ mahfūz rakh. 2apnā kān hikmat par dhar, apnā dil samajh kī taraf māil kar. 3basīrat ke liye āvāz de, chillā kar samajh māṅg. 4use yūṅ talāsh kar goyā chāṅdī ho, us kā yūṅ khoj lagā goyā poshīdā ḵẖazānā ho. 5agar tū aisā kare to tujhe rabb ke ḵẖauf kī samajh āegī aur allāh kā irfān hāsil hogā. 6kyūṅki rabb hī hikmat atā kartā, usī ke muṅh se irfān aur samajh nikaltī hai. 7vah sīdhī rāh par chalne vāloṅ ko kāmyābī farāham kartā aur beilzām zindagī guzārne vāloṅ kī ḍhāl banā rahatā hai. 8kyūṅki vah insāf pasandoṅ kī rāhoṅ kī paharādārī kartā hai. jahāṅ bhī us ke īmāndār chalte haiṅ vahāṅ vah un kī hifāzat kartā hai.

9tab tujhe rāstī, insāf, diyānatdārī aur har acchhī rāh kī samajh āegī. 10kyūṅki tere dil meṅ hikmat dāḵẖil ho jāegī, aur ilm-o-irfān terī jān ko piyārā ho jāegā. 11tamīz terī hifāzat aur samajh terī chaukīdārī karegī. 12hikmat tujhe ġalat rāh aur kajrau bāteṅ karne vāle se bachāe rakhegī. 13aise log sīdhī rāh ko chhoṛ dete haiṅ tāki tārīk rāstoṅ par chaleṅ, 14vah burī harkateṅ karne se ḵẖush ho jāte haiṅ, ġalat kām kī kajarvī dekh kar jashn manāte haiṅ. 15un kī rāheṅ ṭeṛhī haiṅ, aur vah jahāṅ bhī chaleṅ āvārā phirte haiṅ.

16hikmat tujhe nājāiz aurat se chhuṛātī hai, us ajnabī aurat se jo chiknī-chupṛī bāteṅ kartī, 17jo apne jīvansāthī ko tark karke apne ḵẖudā kā ahd bhūl jātī hai. 18kyūṅki us ke ghar meṅ dāḵẖil hone kā anjām maut, us kī rāhoṅ kī manzil-e-maqsūd pātāl hai. 19jo bhī us ke pās jāe vah vāpas nahīṅ āegā, vah zindagībaḵẖsh rāhoṅ par dubārā nahīṅ pahuṅchegā.

20chunāṅche acchhe logoṅ kī rāh par chal phir, dhyān de ki tere qadam rāstbāzoṅ ke rāste par raheṅ. 21kyūṅki sīdhī rāh par chalne vāle mulk meṅ ābād hoṅge, āḵẖirkār beilzām hī us meṅ bāqī raheṅge. 22lekin bedīn mulk se miṭ jāeṅge, aur bevafāoṅ ko ukhāṛ kar mulk se ḵẖārij kar diyā jāegā.