Amsāl 19

1jo ġarīb beilzām zindagī guzāre vah ṭeṛhī bāteṅ karne vāle ahamaq se kahīṅ behatar hai.

2agar ilm sāth na ho to sargarmī kā koī fāidā nahīṅ. jaldbāz ġalat rāh par ātā rahatā hai.

3go insān kī apnī hamāqat use bhaṭkā detī hai to bhī us kā dil rabb se nārāz hotā hai.

4daulatmand ke dostoṅ meṅ izāfā hotā hai, lekin ġarīb kā ek dost bhī us se alag ho jātā hai.

5jhūṭā gavāh sazā se nahīṅ bachegā, jo jhūṭī gavāhī de us kī jān nahīṅ chhūṭegī.

6mut’addid log baṛe ādmī kī ḵẖushāmad karte haiṅ, aur har ek us ādmī kā dost hai jo tuhfe detā hai.

7ġarīb ke tamām bhāī us se nafrat karte haiṅ, to phir us ke dost us se kyūṅ dūr na raheṅ. vah bāteṅ karte karte un kā pīchhā kartā hai, lekin vah ġāib ho jāte haiṅ.

8jo hikmat apnā le vah apnī jān se muhabbat rakhtā hai, jo samajh kī parvarish kare use kāmyābī hogī.

9jhūṭā gavāh sazā se nahīṅ bachegā, jhūṭī gavāhī dene vālā tabāh ho jāegā.

10ahamaq ke liye aish-o-ishrat se zindagī guzārnā mauzūṅ nahīṅ, lekin ġulām kī hukmarānoṅ par hukūmat kahīṅ ziyādā ġairmunāsib hai.

11insān kī hikmat use tahammul sikhātī hai, aur dūsroṅ ke jarāim se darguzar karnā us kā faḵẖar hai.

12bādshāh kā taish javān sherbabar kī dahāṛoṅ kī mānind hai jabki us kī manzūrī ghās par shabnam kī tarah tar-o-tāzā kartī hai.

13ahamaq beṭā bāp kī tabāhī aur jhagṛālū bīvī musalsal ṭapakne vālī chhat hai.

14maurūsī ghar aur milkiyat bāpdādā kī taraf se miltī hai, lekin samajhdār bīvī rabb kī taraf se hai.

15sust hone se insān gaharī nīṅd so jātā hai, lekin ḍhīlā shaḵẖs bhūkoṅ maregā.

16jo vafādārī se hukm par amal kare vah apnī jān mahfūz rakhtā hai, lekin jo apnī rāhoṅ kī parvā na kare vah mar jāegā.

17jo ġarīb par meharbānī kare vah rabb ko udhār detā hai, vahī use ajr degā.

18jab tak ummīd kī kiran bāqī ho apne beṭe kī tādīb kar, lekin itne josh meṅ na ā ki vah mar jāe.

19jo hadd se ziyādā taish meṅ āe use jurmānā denā paṛegā. use bachāne kī koshish mat kar varnā us kā taish aur baṛhegā.

20acchhā mashvrā apnā aur tarbiyat qabūl kar tāki āindā dānishmand ho.

21insān dil meṅ mut’addid mansūbe bāṅdhtā rahatā hai, lekin rabb kā irādā hameshā pūrā ho jātā hai.

22insān kā lālach us kī rusvāī kā bāis hai, aur ġarīb daroġgo se behatar hai.

23rabb kā ḵẖauf zindagī kā mambā hai. ḵẖudātaras ādmī ser ho kar sukūn se so jātā aur musībat se mahfūz rahatā hai.

24kāhil apnā hāth khāne ke bartan meṅ ḍāl kar use muṅh tak nahīṅ lā saktā.

25tānāzan ko mār to sādālauh sabaq sīkhegā, samajhdār ko ḍāṅṭ to us ke ilm meṅ izāfā hogā.

26jo apne bāp par zulm kare aur apnī māṅ ko nikāl de vah vālidain ke liye sharm aur rusvāī kā bāis hai.

27mere beṭe, tarbiyat par dhyān dene se bāz na ā, varnā tū ilm-o-irfān kī rāh se bhaṭak jāegā.

28sharīr gavāh insāf kā mazāq uṛātā hai, aur bedīn kā muṅh āfat kī ḵẖabreṅ phailātā hai.

29tānāzan ke liye sazā aur ahamaq kī pīṭh ke liye koṛā tayyār hai.