Amsāl 18

1jo dūsroṅ se alag ho jāe vah apne zātī maqāsid pūre karnā chāhatā aur samajh kī har bāt par jhagaṛne lagtā hai.

2ahamaq samajh se lutf’andoz nahīṅ hotā balki sirf apne dil kī bāteṅ dūsroṅ par zāhir karne se.

3jahāṅ bedīn āe vahāṅ hiqārat bhī ā maujūd hotī, aur jahāṅ rusvāī ho vahāṅ tānāznī bhī hotī hai.

4insān ke alfāz gaharā pānī haiṅ, hikmat kā sarchashmā bahatī huī nadī hai.

5bedīn kī jānibdārī karke rāstbāz kā haq mārnā ġalat hai.

6ahamaq ke hoṅṭ laṛāī-jhagṛā paidā karte haiṅ, us kā muṅh zor se piṭāī kā mutālbā kartā hai.

7ahamaq kā muṅh us kī tabāhī kā bāis hai, us ke hoṅṭ aisā phaṅdā haiṅ jis meṅ us kī apnī jān ulajh jātī hai.

8tuhamat lagāne vāle kī bāteṅ lazīz khāne ke luqmoṅ kī mānind haiṅ, vah dil kī tah tak utar jātī haiṅ.

9jo apne kām meṅ zarā bhī ḍhīlā ho jāe, use yād rahe ki ḍhīlepan kā bhāī tabāhī hai.

10rabb kā nām mazbūt burj hai jis meṅ rāstbāz bhāg kar mahfūz rahatā hai.

11amīr samajhtā hai ki merī daulat merā qil’āband shahar aur merī ūṅchī chārdīvārī hai jis meṅ maiṅ mahfūz hūṅ.

12tabāh hone se pahale insān kā dil maġrūr ho jātā hai, izzat milne se pahale lāzim hai ki vah farotan ho jāe.

13dūsre kī bāt sunne se pahale javāb denā hamāqat hai. jo aisā kare us kī rusvāī ho jāegī.

14bīmār hote vaqt insān kī rūh jism kī parvarish kartī hai, lekin agar rūh shikastā ho to phir kaun us ko sahārā degā?

15samajhdār kā dil ilm apnātā aur dānishmand kā kān irfān kā khoj lagātā rahatā hai.

16tuhfā rāstā khol kar dene vāle ko baṛoṅ tak pahuṅchā detā hai.

17jo adālat meṅ pahale apnā mauqif pesh kare vah us vaqt tak haq-ba-jānib lagtā hai jab tak dūsrā farīq sāmne ā kar us kī har bāt kī tahqīq na kare.

18qur’ā ḍālne se jhagṛe ḵẖatm ho jāte aur baṛoṅ kā ek dūsre se laṛne kā ḵẖatrā dūr ho jātā hai.

19jis bhāī ko ek dafā māyūs kar diyā jāe use dubārā jīt lenā qil’āband shahar par fatah pāne se ziyādā dushvār hai. jhagṛe hal karnā burj ke kuṅḍe toṛne kī tarah mushkil hai.

20insān apne muṅh ke phal se ser ho jāegā, vah apne hoṅṭoṅ kī paidāvār ko jī bhar kar khāegā.

21zabān kā zindagī aur maut par iḵẖtiyār hai, jo use piyār kare vah us kā phal bhī khāegā.

22jise bīvī milī use acchhī nemat milī, aur use rabb kī manzūrī hāsil huī.

23ġarīb minnat karte karte apnā muāmalā pesh kartā hai, lekin amīr kā javāb saḵẖt hotā hai.

24kaī dost tujhe tabāh karte haiṅ, lekin aise bhī haiṅ jo tujh se bhāī se ziyādā lipṭe rahate haiṅ.