Amsāl 16

1insān dil meṅ mansūbe bāṅdhtā hai, lekin zabān kā javāb rabb kī taraf se ātā hai.

2insān kī nazar meṅ us kī tamām rāheṅ pāk-sāf haiṅ, lekin rabb hī rūhoṅ kī jāṅch-paṛtāl kartā hai.

3jo kuchh bhī tū karnā chāhe use rabb ke sapurd kar. tab hī tere mansūbe kāmyāb hoṅge.

4rabb ne sab kuchh apne hī maqāsid pūre karne ke liye banāyā hai. vah din bhī pahale se muqarrar hai jab bedīn par āfat āegī.

5rabb har maġrūr dil se ghin khātā hai. yaqīnan vah sazā se nahīṅ bachegā.

6shafqat aur vafādārī gunāh kā kaffārā detī haiṅ. rabb kā ḵẖauf mānne se insān burāī se dūr rahatā hai.

7agar rabb kisī insān kī rāhoṅ se ḵẖush ho to vah us ke dushmanoṅ ko bhī us se sulah karāne detā hai.

8insāf se thoṛā bahut kamānā nāinsāfī se bahut daulat jamā karne se kahīṅ behatar hai.

9insān apne dil meṅ mansūbe bāṅdhtā rahatā hai, lekin rabb hī muqarrar kartā hai ki vah āḵẖirkār kis rāh par chal paṛe.

10bādshāh ke hoṅṭ goyā ilāhī faisle pesh karte haiṅ, us kā muṅh adālat karte vaqt bevafā nahīṅ hotā.

11rabb durust tarāzū kā mālik hai, usī ne tamām bāṭoṅ kā intizām qāim kiyā.

12bādshāh bedīnī se ghin khātā hai, kyūṅki us kā taḵẖt rāstbāzī kī bunyād par mazbūt rahatā hai.

13bādshāh rāstbāz hoṅṭoṅ se ḵẖush hotā aur sāf bāt karne vāle se muhabbat rakhtā hai.

14bādshāh kā ġussā maut kā peshḵẖaimā hai, lekin dānishmand use ṭhaṅḍā karne ke tarīqe jāntā hai.

15jab bādshāh kā chiharā khil uṭhe to matlab zindagī hai. us kī manzūrī mausam-e-bahār ke tar-o-tāzā karne vāle bādal kī mānind hai.

16hikmat kā husūl sone se kahīṅ behatar aur samajh pānā chāṅdī se kahīṅ baṛh kar hai.

17diyānatdār kī mazbūt rāh bure kām se dūr rahatī hai, jo apnī rāh kī paharādārī kare vah apnī jān bachāe rakhtā hai.

18tabāhī se pahale ġarūr aur girne se pahale takabbur ātā hai.

19farotnī se zarūratmandoṅ ke darmiyān basnā ghamaṅḍiyoṅ ke lūṭe hue māl meṅ sharīk hone se kahīṅ behatar hai.

20jo kalām par dhyān de vah ḵẖushhāl hogā, mubārak hai vah jo rabb par bharosā rakhe.

21jo dil se dānishmand hai use samajhdār qarār diyā jātā hai, aur mīṭhe alfāz tālīm meṅ izāfā karte haiṅ.

22faham apne mālik ke liye zindagī kā sarchashmā hai, lekin ahamaq kī apnī hī hamāqat use sazā detī hai.

23dānishmand kā dil samajh kī bāteṅ zabān par lātā aur tālīm dene meṅ hoṅṭoṅ kā sahārā bantā hai.

24meharbān alfāz ḵẖālis shahad haiṅ, vah jān ke liye shīrīṅ aur pūre jism ko tar-o-tāzā kar dete haiṅ.

25aisī rāh bhī hotī hai jo dekhne meṅ to ṭhīk lagtī hai go us kā anjām maut hai.

26mazdūr kā ḵẖālī peṭ use kām karne par majbūr kartā, us kī bhūk use hāṅktī rahatī hai.

27sharīr kured kured kar ġalat kām nikāl letā, us ke hoṅṭoṅ par jhulsāne vālī āg rahatī hai.

28kajrau ādmī jhagṛe chheṛtā rahatā, aur tuhamat lagāne vālā dilī dostoṅ meṅ bhī raḵẖnā ḍāltā hai.

29zālim apne paṛosī ko varġalā kar ġalat rāh par le jātā hai.

30jo āṅkh māre vah ġalat mansūbe bāṅdh rahā hai, jo apne hoṅṭ chabāe vah ġalat kām karne par tulā huā hai.

31safed bāl ek shāndār tāj haiṅ jo rāstbāz zindagī guzārne se hāsil hote haiṅ.

32tahammul karne vālā sūrme se sabqat letā hai, jo apne āp ko qābū meṅ rakhe vah shahar ko shikast dene vāle se bartar hai.

33insān to qur’ā ḍāltā hai, lekin us kā har faislā rabb kī taraf se hai.