Amsāl 15

1narm javāb ġussā ṭhaṅḍā kartā, lekin turash bāt taish dilātī hai.

2dānishmandoṅ kī zabān ilm-o-irfān phailātī hai jabki ahamaq kā muṅh hamāqat kā zor se ubalne vālā chashmā hai.

3rabb kī āṅkheṅ har jagah maujūd haiṅ, vah bure aur bhale sab par dhyān detī haiṅ.

4narm zabān zindagī kā daraḵẖt hai jabki farebdih zabān shikastādil kar detī hai.

5ahamaq apne bāp kī tarbiyat ko haqīr jāntā hai, lekin jo nasīhat māne vah dānishmand hai.

6rāstbāz ke ghar meṅ baṛā ḵẖazānā hotā hai, lekin jo kuchh bedīn hāsil kartā hai vah tabāhī kā bāis hai.

7dānishmandoṅ ke hoṅṭ ilm-o-irfān kā bīj bikher dete haiṅ, lekin ahamaqoṅ kā dil aisā nahīṅ kartā.

8rabb bedīnoṅ kī qurbānī se ghin khātā, lekin sīdhī rāh par chalne vāloṅ kī duā se ḵẖush hotā hai.

9rabb bedīn kī rāh se ghin khātā, lekin rāstī kā pīchhā karne vāle se piyār kartā hai.

10jo sahīh rāh ko tark kare us kī saḵẖt tādīb kī jāegī, jo nasīhat se nafrat kare vah mar jāegā.

11pātāl aur ālam-e-arvāh rabb ko sāf nazar āte haiṅ. to phir insānoṅ ke dil use kyūṅ na sāf dikhāī deṅ?

12tānāzan ko dūsroṅ kī nasīhat pasand nahīṅ ātī, is liye vah dānishmandoṅ ke pās nahīṅ jātā.

13jis kā dil ḵẖush hai us kā chiharā khulā rahatā hai, lekin jis kā dil pareshān hai us kī rūh shikastā rahatī hai.

14samajhdār kā dil ilm-o-irfān kī talāsh meṅ rahatā, lekin ahamaq hamāqat kī charāgāh meṅ chartā rahatā hai.

15musībatzadā ke tamām din bure haiṅ, lekin jis kā dil ḵẖush hai vah rozānā jashn manātā hai.

16jo ġarīb rabb kā ḵẖauf māntā hai us kā hāl us karoṛapatī se kahīṅ behatar hai jo baṛī bechainī se zindagī guzārtā hai.

17jahāṅ muhabbat hai vahāṅ sabzī kā sālan bahut hai, jahāṅ nafrat hai vahāṅ moṭe-tāze bachhṛe kī ziyāfat bhī befāidā hai.

18ġusīlā ādmī jhagṛe chheṛtā rahatā jabki tahammul karne vālā logoṅ ke ġusse ko ṭhaṅḍā kar detā hai.

19kāhil kā rāstā kāṅṭedār bāṛ kī mānind hai, lekin diyānatdāroṅ kī rāh pakkī saṛak hī hai.

20dānishmand beṭā apne bāp ke liye ḵẖushī kā bāis hai, lekin ahamaq apnī māṅ ko haqīr jāntā hai.

21nāsamajh ādmī hamāqat se lutf’andoz hotā, lekin samajhdār ādmī sīdhī rāh par chaltā hai.

22jahāṅ salāh-mashvrā nahīṅ hotā vahāṅ mansūbe nākām rah jāte haiṅ, jahāṅ bahut se mushīr hote haiṅ vahāṅ kāmyābī hotī hai.

23insān mauzūṅ javāb dene se ḵẖush ho jātā hai, vaqt par munāsib bāt kitnī acchhī hotī hai.

24zindagī kī rāh chaṛhtī rahatī hai tāki samajhdār us par chalte hue pātāl meṅ utarne se bach jāe.

25rabb mutakabbir kā ghar ḍhā detā, lekin bevā kī zamīn kī hudūd mahfūz rakhtā hai.

26rabb bure mansūboṅ se ghin khātā hai, aur meharbān alfāz us ke nazdīk pāk haiṅ.

27jo nājāiz nafā kamāe vah apne ghar par āfat lātā hai, lekin jo rishvat se nafrat rakhe vah jītā rahegā.

28rāstbāz kā dil soch samajh kar javāb detā hai, lekin bedīn kā muṅh zor se ubalne vāle chashmā hai jis se burī bāteṅ nikaltī rahatī haiṅ.

29rabb bedīnoṅ se dūr rahatā, lekin rāstbāz kī duā suntā hai.

30chamaktī āṅkheṅ dil ko ḵẖushī dilātī haiṅ, acchhī ḵẖabar pūre jism ko tar-o-tāzā kar detī hai.

31jo zindagībaḵẖsh nasīhat par dhyān de vah dānishmandoṅ ke darmiyān hī sukūnat karegā.

32jo tarbiyat kī parvā na kare vah apne āp ko haqīr jāntā hai, lekin jo nasīhat par dhyān de us kī samajh meṅ izāfā hotā hai.

33rabb kā ḵẖauf hī vah tarbiyat hai jis se insān hikmat sīkhtā hai. pahale farotnī apnā le, kyūṅki yahī izzat pāne kā pahalā qadam hai.