Amsāl 10

sulemān kī hikmat bharī hidāyāt

1zail meṅ sulemān kī amsāl qalamband haiṅ.

zindagībaḵẖsh bāteṅ

dānishmand beṭā apne bāp ko ḵẖushī dilātā jabki ahamaq beṭā apnī māṅ ko dukh pahuṅchātā hai.

2ḵẖazānoṅ kā koī fāidā nahīṅ agar vah bedīn tarīqoṅ se jamā ho gae hoṅ, lekin rāstbāzī maut se bachāe rakhtī hai.

3rabb rāstbāz ko bhūkoṅ marne nahīṅ detā, lekin bedīnoṅ kā lālach rok detā hai.

4ḍhīle hāth ġurbat aur mehanatī hāth daulat kī taraf le jāte haiṅ.

5jo garmiyoṅ meṅ fasal jamā kartā hai vah dānishmand beṭā hai jabki jo fasal kī kaṭāī ke vaqt soyā rahatā hai vah vālidain ke liye sharm kā bāis hai.

6rāstbāz kā sar barkat ke tāj se ārāstā rahatā hai jabki bedīnoṅ ke muṅh par zulm kā pardā paṛā rahatā hai.

7log rāstbāz ko yād karke use mubārak kahate haiṅ, lekin bedīn kā nām saṛ kar miṭ jāegā.

8jo dil se dānishmand hai vah ahkām qabūl kartā hai, lekin bakvāsī tabāh ho jāegā.

9jis kā chāl-chalan beilzām hai vah sukūn se zindagī guzārtā hai, lekin jo ṭeṛhā rāstā iḵẖtiyār kare use pakṛā jāegā.

10āṅkh mārne vālā dukh pahuṅchātā hai, aur bakvāsī tabāh ho jāegā.

11rāstbāz kā muṅh zindagī kā sarchashmā hai, lekin bedīn ke muṅh par zulm kā pardā paṛā rahatā hai.

12nafrat jhagṛe chheṛtī rahatī jabki muhabbat tamām ḵẖatāoṅ par pardā ḍāl detī hai.

13samajhdār ke hoṅṭoṅ par hikmat pāī jātī hai, lekin nāsamajh sirf ḍaṅḍe kā paiġām samajhtā hai.

14dānishmand apnā ilm mahfūz rakhte haiṅ, lekin ahamaq kā muṅh jald hī tabāhī kī taraf le jātā hai.

15amīr kī daulat qil’āband shahar hai jis meṅ vah mahfūz hai jabki ġarīb kī ġurbat us kī tabāhī kā bāis hai.

16jo kuchh rāstbāz kamā letā hai vah zindagī kā bāis hai, lekin bedīn apnī rozī gunāh karne ke liye istemāl kartā hai.

17jo tarbiyat qabūl kare vah dūsroṅ ko zindagī kī rāh par lātā hai, jo nasīhat nazar’andāz kare vah dūsroṅ ko sahīh rāh se dūr le jātā hai.

18jo apnī nafrat chhupāe rakhe vah jhūṭ boltā hai, jo dūsroṅ ke bāre meṅ ġalat ḵẖabreṅ phailāe vah ahamaq hai.

19jahāṅ bahut bāteṅ kī jātī haiṅ vahāṅ gunāh bhī ā maujūd hotā hai, jo apnī zabān ko qābū meṅ rakhe vah dānishmand hai.

20rāstbāz kī zabān umdā chāṅdī hai jabki bedīn ke dil kī koī qadar nahīṅ.

21rāstbāz kī zabān bahutoṅ kī parvarish kartī hai [a] lafzī tarjumā : rāstbāz ke hoṅṭ bahutoṅ ko charāte haiṅ. , lekin ahamaq apnī beaqlī ke bāis halāk ho jāte haiṅ.

22rabb kī barkat daulat kā bāis hai, hamārī apnī mehanat-mashaqqat is meṅ izāfā nahīṅ kartī.

23ahamaq ġalat kām se apnā dil bahalātā, lekin samajhdār hikmat se lutf’andoz hotā hai.

24jis chīz se bedīn dahshat khātā hai vahī us par āegī, lekin rāstbāz kī ārzū pūrī ho jāegī.

25jab tūfān āte haiṅ to bedīn kā nām-o-nishān miṭ jātā jabki rāstbāz hameshā tak qāim rahatā hai.

26jis tarah dāṅt sirke se aur āṅkheṅ dhueṅ se taṅg ā jātī haiṅ usī tarah vah taṅg ā jātā hai jo sust ādmī se kām karvātā hai.

27jo rabb kā ḵẖauf māne us kī zindagī ke dinoṅ meṅ izāfā hotā hai jabki bedīn kī zindagī vaqt se pahale hī ḵẖatm ho jātī hai.

28rāstbāz āḵẖirkār ḵẖushī manāeṅge, kyūṅki un kī ummīd bar āegī. lekin bedīnoṅ kī ummīd jātī rahegī.

29rabb kī rāh beilzām shaḵẖs ke liye panāhgāh, lekin badkār ke liye tabāhī kā bāis hai.

30rāstbāz kabhī ḍāṅvāṅḍol nahīṅ hogā, lekin bedīn mulk meṅ ābād nahīṅ raheṅge.

31rāstbāz kā muṅh hikmat kā phal lātā rahatā hai, lekin kajgo zabān ko kāṭ ḍālā jāegā.

32rāstbāz ke hoṅṭ jānte haiṅ ki allāh ko kyā pasand hai, lekin bedīn kā muṅh ṭeṛhī bāteṅ hī jāntā hai.

[a] lafzī tarjumā : rāstbāz ke hoṅṭ bahutoṅ ko charāte haiṅ.