Gintī 9

registān meṅ īd-e-fasah

1isrāīliyoṅ ko misr se nikle ek sāl ho gayā thā. dūsre sāl ke pahale mahīne meṅ rabb ne dasht-e-sīnā meṅ mūsā se bāt kī.

2“lāzim hai ki isrāīlī īd-e-fasah ko muqarrarā vaqt par manāeṅ, 3yānī is mahīne ke chaudhveṅ din, sūraj ke ġurūb hone ke ain bād. use tamām qavāid ke mutābiq manānā.” 4chunāṅche mūsā ne isrāīliyoṅ se kahā ki vah īd-e-fasah manāeṅ, 5aur unhoṅ ne aisā hī kiyā. unhoṅ ne īd-e-fasah ko pahale mahīne ke chaudhveṅ din sūraj ke ġurūb hone ke ain bād manāyā. unhoṅ ne sab kuchh vaisā hī kiyā jaisā rabb ne mūsā ko hukm diyā thā.

6lekin kuchh ādmī nāpāk the, kyūṅki unhoṅ ne lāsh chhū lī thī. is vajah se vah us din īd-e-fasah na manā sake. vah mūsā aur hārūn ke pās ā kar 7kahane lage, “ham ne lāsh chhū lī hai, is liye nāpāk haiṅ. lekin hameṅ is sabab se īd-e-fasah ko manāne se kyūṅ rokā jāe? ham bhī muqarrarā vaqt par bāqī isrāīliyoṅ ke sāth rabb kī qurbānī pesh karnā chāhate haiṅ.” 8mūsā ne javāb diyā, “yahāṅ mere intizār meṅ khaṛe raho. maiṅ mālūm kartā hūṅ ki rabb tumhāre bāre meṅ kyā hukm detā hai.”

9rabb ne mūsā se kahā, 10“isrāīliyoṅ ko batā denā ki agar tum yā tumhārī aulād meṅ se koī īd-e-fasah ke daurān lāsh chhūne se nāpāk ho yā kisī dūrdarāz ilāqe meṅ safar kar rahā ho, to bhī vah īd manā saktā hai. 11aisā shaḵẖs use ain ek māh ke bād manā kar lele ke sāth beḵẖamīrī roṭī aur kaṛvā sāg-pāt khāe. 12khāne meṅ se kuchh bhī aglī subah tak bāqī na rahe. jānvar kī koī bhī haḍḍī na toṛnā. manāne vālā īd-e-fasah ke pūre farāiz adā kare. 13lekin jo pāk hone aur safar na karne ke bāvujūd bhī īd-e-fasah ko na manāe use us kī qaum meṅ se miṭāyā jāe, kyūṅki us ne muqarrarā vaqt par rabb ko qurbānī pesh nahīṅ kī. us shaḵẖs ko apne gunāh kā natījā bhugatnā paṛegā. 14agar koī pardesī tumhāre darmiyān rahate hue rabb ke sāmne īd-e-fasah manānā chāhe to use ijāzat hai. shart yah hai ki vah pūre farāiz adā kare. pardesī aur desī ke liye īd-e-fasah manāne ke farāiz ek jaise haiṅ.”

mulāqāt ke ḵẖaime par bādal kā satūn

15jis din sharīat ke muqaddas ḵẖaime ko khaṛā kiyā gayā us din bādal ā kar us par chhā gayā. rāt ke vaqt bādal āg kī sūrat meṅ nazar āyā. 16is ke bād yahī sūrat-e-hāl rahī ki bādal us par chhāyā rahatā aur rāt ke daurān āg kī sūrat meṅ nazar ātā. 17jab bhī bādal ḵẖaime par se uṭhtā isrāīlī ravānā ho jāte. jahāṅ bhī bādal utar jātā vahāṅ isrāīlī apne ḍere ḍālte. 18isrāīlī rabb ke hukm par ravānā hote aur us ke hukm par ḍere ḍālte. jab tak bādal maqdis par chhāyā rahatā us vaqt tak vah vahīṅ ṭhaharte. 19kabhī kabhī bādal baṛī der tak ḵẖaime par ṭhaharā rahatā. tab isrāīlī rabb kā hukm mān kar ravānā na hote. 20kabhī kabhī bādal sirf do chār din ke liye ḵẖaime par ṭhahartā. phir vah rabb ke hukm ke mutābiq hī ṭhaharte aur ravānā hote the. 21kabhī kabhī bādal sirf shām se le kar subah tak ḵẖaime par ṭhahartā. jab vah subah ke vaqt uṭhtā to isrāīlī bhī ravānā hote the. jab bhī bādal uṭhtā vah bhī ravānā ho jāte. 22jab tak bādal muqaddas ḵẖaime par chhāyā rahatā us vaqt tak isrāīlī ravānā na hote, chāhe vah do din, ek māh, ek sāl yā is se ziyādā arsā maqdis par chhāyā rahatā. lekin jab vah uṭhtā to isrāīlī bhī ravānā ho jāte. 23vah rabb ke hukm par ḵẖaime lagāte aur us ke hukm par ravānā hote the. vah vaisā hī karte the jaisā rabb mūsā kī mārifat farmātā thā.