Gintī 6

jo apne āp ko maḵẖsūs karte haiṅ

1rabb ne mūsā se kahā, 2“isrāīliyoṅ ko hidāyat denā ki agar koī ādmī yā aurat mannat mān kar apne āp ko ek muqarrarā vaqt ke liye rabb ke liye maḵẖsūs kare 3to vah mai yā koī aur nashāāvar chīz na pie. na vah aṅgūr yā kisī aur chīz kā sirkā pie, na aṅgūr kā ras. vah aṅgūr yā kishmish na khāe. 4jab tak vah maḵẖsūs hai vah aṅgūr kī koī bhī paidāvār na khāe, yahāṅ tak ki aṅgūr ke bīj yā chhilke bhī na khāe. 5jab tak vah apnī mannat ke mutābiq maḵẖsūs hai vah apne bāl na kaṭvāe. jitnī der ke liye us ne apne āp ko rabb ke liye maḵẖsūs kiyā hai utnī der tak vah muqaddas hai. is liye vah apne bāl baṛhne de. 6jab tak vah maḵẖsūs hai vah kisī lāsh ke qarīb na jāe, 7chāhe vah us ke bāp, māṅ, bhāī yā bahan kī lāsh kyūṅ na ho. kyūṅki is se vah nāpāk ho jāegā jabki abhī tak us kī maḵẖsūsiyat lambe bāloṅ kī sūrat meṅ nazar ātī hai. 8vah apnī maḵẖsūsiyat ke daurān rabb ke liye maḵẖsūs-o-muqaddas hai.

9agar koī achānak mar jāe jab maḵẖsūs shaḵẖs us ke qarīb ho to us ke maḵẖsūs bāl nāpāk ho jāeṅge. aisī sūrat meṅ lāzim hai ki vah apne āp ko pāk-sāf karke sātveṅ din apne sar ko muṅḍavāe. 10āṭhveṅ din vah do qumriyāṅ yā do javān kabūtar le kar mulāqāt ke ḵẖaime ke darvāze par āe aur imām ko de. 11imām in meṅ se ek ko gunāh kī qurbānī ke taur par chaṛhāe aur dūsre ko bhasm hone vālī qurbānī ke taur par. yūṅ vah us ke liye kaffārā degā jo lāsh ke qarīb hone se nāpāk ho gayā hai. usī din vah apne sar ko dubārā maḵẖsūs kare 12aur apne āp ko muqarrarā vaqt ke liye dubārā rabb ke liye maḵẖsūs kare. vah qusūr kī qurbānī ke taur par ek sāl kā bheṛ kā bacchā pesh kare. jitne din us ne pahale maḵẖsūsiyat kī hālat meṅ guzāre haiṅ vah shumār nahīṅ kie jā sakte kyūṅki vah maḵẖsūsiyat kī hālat meṅ nāpāk ho gayā thā. vah dubārā pahale din se shurū kare.

13sharīat ke mutābiq jab maḵẖsūs shaḵẖs kā muqarrarā vaqt guzar gayā ho to pahale use mulāqāt ke ḵẖaime ke darvāze par lāyā jāe. 14vahāṅ vah rabb ko bhasm hone vālī qurbānī ke liye bheṛ kā ek beaib yaksālā nar bacchā, gunāh kī qurbānī ke liye ek beaib yaksālā bheṛ aur salāmatī kī qurbānī ke liye ek beaib meṅḍhā pesh kare. 15is ke ilāvā vah ek ṭokrī meṅ beḵẖamīrī roṭiyāṅ jin meṅ behtarīn maidā aur tel milāyā gayā ho aur beḵẖamīrī roṭiyāṅ jin par tel lagāyā gayā ho mutālliqā ġallā kī nazar aur mai kī nazar ke sāth 16rabb ko pesh kare. pahale imām gunāh kī qurbānī aur bhasm hone vālī qurbānī rabb ke huzūr chaṛhāe. 17phir vah meṅḍhe ko beḵẖamīrī roṭiyoṅ ke sāth salāmatī kī qurbānī ke taur par pesh kare. imām ġallā kī nazar aur mai kī nazar bhī chaṛhāe. 18is daurān maḵẖsūs shaḵẖs mulāqāt ke ḵẖaime par apne maḵẖsūs kie gae sar ko muṅḍvā kar tamām bāl salāmatī kī qurbānī kī āg meṅ phaiṅke.

19phir imām meṅḍhe kā ek pakā huā shānā aur ṭokrī meṅ se donoṅ qismoṅ kī ek ek roṭī le kar maḵẖsūs shaḵẖs ke hāthoṅ par rakhe. 20is ke bād vah yah chīzeṅ vāpas le kar unheṅ hilāne kī qurbānī ke taur par rabb ke sāmne hilāe. yah ek muqaddas qurbānī hai jo imām kā hissā hai. salāmatī kī qurbānī kā hilāyā huā sīnā aur uṭhāī huī rān bhī imām kā hissā haiṅ. qurbānī ke iḵẖtitām par maḵẖsūs kie hue shaḵẖs ko mai pīne kī ijāzat hai.

21jo apne āp ko rabb ke liye maḵẖsūs kartā hai vah aisā hī kare. lāzim hai ki vah in hidāyāt ke mutābiq tamām qurbāniyāṅ pesh kare. agar gunjāish ho to vah aur bhī pesh kar saktā hai. ba-har-hāl lāzim hai ki vah apnī mannat aur yah hidāyāt pūrī kare.”

imām kī barkat

22rabb ne mūsā se kahā, 23“hārūn aur us ke beṭoṅ ko batā denā ki vah isrāīliyoṅ ko yūṅ barkat deṅ,

24‘rabb tujhe barkat de aur terī hifāzat kare.

25rabb apne chihare kā meharbān nūr tujh par chamkāe aur tujh par raham kare.

26rabb kī nazar-e-karam tujh par ho, aur vah tujhe salāmatī baḵẖshe.’

27yūṅ vah merā nām le kar isrāīliyoṅ ko barkat deṅ. phir maiṅ unheṅ barkat dūṅgā.”