Gintī 36

ek qabīle kī maurūsī zamīn shādī se dūsre qabīle meṅ muntaqil nahīṅ ho saktī

1ek din jiliād bin makīr bin manassī bin yūsuf ke kuṁbe se nikle hue ābāī gharānoṅ ke sarparast mūsā aur un sardāroṅ ke pās āe jo dīgar ābāī gharānoṅ ke sarparast the. 2unhoṅ ne kahā, “rabb ne āp ko hukm diyā thā ki āp qur’ā ḍāl kar mulk ko isrāīliyoṅ meṅ taqsīm kareṅ. us vaqt us ne yah bhī kahā thā ki hamāre bhāī silāfihād kī beṭiyoṅ ko us kī maurūsī zamīn milnī hai. 3agar vah isrāīl ke kisī aur qabīle ke mardoṅ se shādī kareṅ to phir yah zamīn jo hamāre qabīle kā maurūsī hissā hai us qabīle kā maurūsī hissā banegī aur ham us se maharūm ho jāeṅge. phir hamārā qabāilī ilāqā chhoṭā ho jāegā. 4aur agar ham yah zamīn vāpas bhī ḵẖarīdeṅ to bhī vah agle bahālī ke sāl meṅ dūsre qabīle ko vāpas chalī jāegī jis meṅ in aurtoṅ ne shādī kī hai. is tarah vah hameshā ke liye hamāre hāth se nikal jāegī.”

5mūsā ne rabb ke hukm par isrāīliyoṅ ko batāyā, “jiliād ke mard haq-ba-jānib haiṅ. 6is liye rabb kī hidāyat yah hai ki silāfihād kī beṭiyoṅ ko har ādmī se shādī karne kī ijāzat hai, lekin sirf is sūrat meṅ ki vah un ke apne qabīle kā ho. 7is tarah ek qabīle kī maurūsī zamīn kisī dūsre qabīle meṅ muntaqil nahīṅ hogī. lāzim hai ki har qabīle kā pūrā ilāqā usī ke pās rahe.

8jo bhī beṭī mīrās meṅ zamīn pātī hai us ke liye lāzim hai ki vah apne hī qabīle ke kisī mard se shādī kare tāki us kī zamīn qabīle ke pās hī rahe. 9ek qabīle kī maurūsī zamīn kisī dūsre qabīle ko muntaqil karne kī ijāzat nahīṅ hai. lāzim hai ki har qabīle kā pūrā maurūsī ilāqā usī ke pās rahe.”

10-11 silāfihād kī beṭiyoṅ mahalāh, tirzā, hujlāh, milkāh aur nūāh ne vaisā hī kiyā jaisā rabb ne mūsā ko batāyā thā. unhoṅ ne apne chachāzād bhāiyoṅ se shādī kī. 12chūṅki vah bhī manassī ke qabīle ke the is liye yah maurūsī zamīn silāfihād ke qabīle ke pās rahī.

13rabb ne yah ahkām aur hidāyāt isrāīliyoṅ ko mūsā kī mārifat dīṅ jab vah moāb ke maidānī ilāqe meṅ daryā-e-yardan ke mashriqī kināre par yarīhū ke sāmne ḵẖaimāzan the.