Gintī 34

mulk-e-kan’ān kī sarhaddeṅ

1rabb ne mūsā se kahā, 2“isrāīliyoṅ ko batānā ki jab tum us mulk meṅ dāḵẖil hoge jo maiṅ tumheṅ mīrās meṅ dūṅgā to us kī sarhaddeṅ yah hoṅgī :

3us kī junūbī sarhadd dasht-e-sīn meṅ adom kī sarhadd ke sāth sāth chalegī. mashriq meṅ vah bahīrā-e-murdār ke junūbī sāhil se shurū hogī, phir in jagahoṅ se ho kar maġrib kī taraf guzregī : 4darrā-e-aqrabbīm ke junūb meṅ se, dasht-e-sīn meṅ se, qādis-barnīa ke junūb meṅ se hasar-addār aur azmūn meṅ se. 5vahāṅ se vah muṛ kar misr kī sarhadd par vāqe vādī-e-misr ke sāth sāth bahīrā-e-rūm tak pahuṅchegī. 6us kī maġribī sarhadd bahīrā-e-rūm kā sāhil hogā. 7us kī shimālī sarhadd bahīrā-e-rūm se le kar in jagahoṅ se ho kar mashriq kī taraf guzregī : hor pahāṛ, 8labo-hamāt, sidād, 9zifrūn aur hasar-enān. hasar-enān shimālī sarhadd kā sab se mashriqī maqām hogā. 10us kī mashriqī sarhadd shimāl meṅ hasar-enān se shurū hogī. phir vah in jagahoṅ se ho kar junūb kī taraf guzregī : sifām, 11riblā jo ain ke mashriq meṅ hai aur kinnarat yānī galīl kī jhīl ke mashriq meṅ vāqe pahāṛī ilāqā. 12is ke bād vah daryā-e-yardan ke kināre kināre guzartī huī bahīrā-e-murdār tak pahuṅchegī. yah tumhāre mulk kī sarhaddeṅ hoṅgī.”

13mūsā ne isrāīliyoṅ se kahā, “yah vahī mulk hai jise tumheṅ qur’ā ḍāl kar taqsīm karnā hai. rabb ne hukm diyā hai ki use bāqī sāḍhe nau qabīloṅ ko denā hai. 14kyūṅki aṛhāī qabīloṅ ke ḵẖāndānoṅ ko un kī mīrās mil chukī hai yānī rūbin aur jad ke pūre qabīle aur manassī ke ādhe qabīle ko. 15unheṅ yahāṅ, daryā-e-yardan ke mashriq meṅ yarīhū ke sāmne zamīn mil chukī hai.”

mulk taqsīm karne ke zimmādār ādmī

16rabb ne mūsā se kahā, 17“ilīazar imām aur yashūa bin nūn logoṅ ke liye mulk taqsīm kareṅ. 18har qabīle ke ek ek rāhanumā ko bhī chunnā tāki vah taqsīm karne meṅ madad kare. jin ko tumheṅ chunnā hai un ke nām yah haiṅ :

19yahūdāh ke qabīle kā kālib bin yafunnā,

20shamāūn ke qabīle kā samūel bin ammīhūd,

21binyamīn ke qabīle kā ilīdād bin kislon,

22dān ke qabīle kā buqqī bin yuglī,

23manassī ke qabīle kā hannīel bin afūd,

24ifrāīm ke qabīle kā qamūel bin siftān,

25zabūlūn ke qabīle kā ilīsafan bin farnāq,

26ishkār ke qabīle kā faltīel bin azzān,

27āshar ke qabīle kā aḵẖīhūd bin shalūmī,

28naftālī ke qabīle kā fidāhel bin ammīhūd.”

29rabb ne in hī ādmiyoṅ ko mulk ko isrāīliyoṅ meṅ taqsīm karne kī zimmādārī dī.