Gintī 30

mannat mānne ke qavāid

1phir mūsā ne qabīloṅ ke sardāroṅ se kahā, “rabb farmātā hai,

2agar koī ādmī rabb ko kuchh dene kī mannat māne yā kisī chīz se parhez karne kī qasam khāe to vah apnī bāt par qāim rah kar use pūrā kare.

3agar koī javān aurat jo ab tak apne bāp ke ghar meṅ rahatī hai rabb ko kuchh dene kī mannat māne yā kisī chīz se parhez karne kī qasam khāe 4to lāzim hai ki vah apnī mannat yā qasam kī har bāt pūrī kare. shart yah hai ki us kā bāp us ke bāre meṅ sun kar etirāz na kare. 5lekin agar us kā bāp yah sun kar use aisā karne se manā kare to us kī mannat yā qasam mansūḵẖ hai, aur vah use pūrā karne se barī hai. rabb use muāf karegā, kyūṅki us ke bāp ne use manā kiyā hai.

6ho saktā hai ki kisī ġairshādīshudā aurat ne mannat mānī yā kisī chīz se parhez karne kī qasam khāī, chāhe us ne dānistā taur par yā besoche-samjhe aisā kiyā. is ke bād us aurat ne shādī kar lī. 7shādīshudā hālat meṅ bhī lāzim hai ki vah apnī mannat yā qasam kī har bāt pūrī kare. shart yah hai ki us kā shauhar is ke bāre meṅ sun kar etirāz na kare. 8lekin agar us kā shauhar yah sun kar use aisā karne se manā kare to us kī mannat yā qasam mansūḵẖ hai, aur vah use pūrā karne se barī hai. rabb use muāf karegā. 9agar kisī bevā yā talākshudā aurat ne mannat mānī yā kisī chīz se parhez karne kī qasam khāī to lāzim hai ki vah apnī har bāt pūrī kare.

10agar kisī shādīshudā aurat ne mannat mānī yā kisī chīz se parhez karne kī qasam khāī 11to lāzim hai ki vah apnī har bāt pūrī kare. shart yah hai ki us kā shauhar us ke bāre meṅ sun kar etirāz na kare. 12lekin agar us kā shauhar use aisā karne se manā kare to us kī mannat yā qasam mansūḵẖ hai. vah use pūrā karne se barī hai. rabb use muāf karegā, kyūṅki us ke shauhar ne use manā kiyā hai. 13chāhe bīvī ne kuchh dene kī mannat mānī ho yā kisī chīz se parhez karne kī qasam khāī ho, us ke shauhar ko us kī tasdīq yā use mansūḵẖ karne kā iḵẖtiyār hai. 14agar us ne apnī bīvī kī mannat yā qasam ke bāre meṅ sun liyā aur agle din tak etirāz na kiyā to lāzim hai ki us kī bīvī apnī har bāt pūrī kare. shauhar ne agle din tak etirāz na karne se apnī bīvī kī bāt kī tasdīq kī hai. 15agar vah is ke bād yah mannat yā qasam mansūḵẖ kare to use is qusūr ke natāij bhugatne paṛeṅge.”

16rabb ne mūsā ko yah hidāyāt dīṅ. yah aisī aurtoṅ kī mannatoṅ yā qasmoṅ ke usūl haiṅ jo ġairshādīshudā hālat meṅ apne bāp ke ghar meṅ rahatī haiṅ yā jo shādīshudā haiṅ.