Gintī 3

hārūn ke beṭe

1yah hārūn aur mūsā ke ḵẖāndān kā bayān hai. us vaqt kā zikr hai jab rabb ne sīnā pahāṛ par mūsā se bāt kī. 2hārūn ke chār beṭe the. baṛā beṭā nadab thā, phir abīhū, ilīazar aur itmar. 3yah imām the jin ko masah karke is ḵẖidmat kā iḵẖtiyār diyā gayā thā. 4lekin nadab aur abīhū us vaqt mar gae jab unhoṅ ne dasht-e-sīnā meṅ rabb ke huzūr nājāiz āg pesh kī. chūṅki vah beaulād the is liye hārūn ke jīte jī sirf ilīazar aur itmar imām kī ḵẖidmat sar’anjām dete the.

lāviyoṅ kī maqdis meṅ zimmādārī

5rabb ne mūsā se kahā, 6“lāvī ke qabīle ko lā kar hārūn kī ḵẖidmat karne kī zimmādārī de. 7unheṅ us ke liye aur pūrī jamāat ke liye mulāqāt ke ḵẖaime kī ḵẖidmāt saṁbhālnā hai. 8vah mulāqāt ke ḵẖaime kā sāmān saṁbhāleṅ aur tamām isrāīliyoṅ ke liye maqdis ke farāiz adā kareṅ. 9tamām isrāīliyoṅ meṅ se sirf lāviyoṅ ko hārūn aur us ke beṭoṅ kī ḵẖidmat ke liye muqarrar kar. 10lekin sirf hārūn aur us ke beṭoṅ ko imām kī haisiyat hāsil hai. jo bhī bāqiyoṅ meṅ se un kī zimmādāriyāṅ uṭhāne kī koshish karegā use sazā-e-maut dī jāegī.”

11rabb ne mūsā se yah bhī kahā, 12“maiṅ ne isrāīliyoṅ meṅ se lāviyoṅ ko chun liyā hai. vah tamām isrāīlī pahalauṭhoṅ ke ivz mere liye maḵẖsūs haiṅ, 13kyūṅki tamām pahalauṭhe mere hī haiṅ. jis din maiṅ ne misr meṅ tamām pahalauṭhoṅ ko mār diyā us din maiṅ ne isrāīl ke pahalauṭhoṅ ko apne liye maḵẖsūs kiyā, ḵẖwāh vah insān ke the yā haivān ke. vah mere hī haiṅ. maiṅ rabb hūṅ.”

lāviyoṅ kī mardumashumārī

14rabb ne sīnā ke registān meṅ mūsā se kahā, 15“lāviyoṅ ko gin kar un ke ābāī gharānoṅ aur kuṁboṅ ke mutābiq rajisṭar meṅ darj karnā. har beṭe ko ginnā hai jo ek māh yā is se zāid kā hai.” 16mūsā ne aisā hī kiyā.

17lāvī ke tīn beṭe jairson, qihāt aur mirārī the. 18jairson ke do kuṁbe us ke beṭoṅ libnī aur simaī ke nām rakhte the. 19qihāt ke chār kuṁbe us ke beṭoṅ amrām, izhār , habrūn aur uzzīel ke nām rakhte the. 20mirārī ke do kuṁbe us ke beṭoṅ mahalī aur mūshī ke nām rakhte the. ġaraz lāvī ke qabīle ke kuṁbe us ke potoṅ ke nām rakhte the.

21jairson ke do kuṁboṅ banām libnī aur simaī 22ke 7,500 mard the jo ek māh yā is se zāid ke the. 23unheṅ apne ḵẖaime maġrib meṅ maqdis ke pīchhe lagāne the. 24un kā rāhanumā iliyāsaf bin lāel thā, 25aur vah ḵẖaime ko saṁbhālte the yānī us kī poshisheṅ, ḵẖaime ke darvāze kā pardā, 26ḵẖaime aur qurbāngāh kī chārdīvārī ke parde, chārdīvārī ke darvāze kā pardā aur tamām rasse. in chīzoṅ se mutālliq sārī ḵẖidmat un kī zimmādārī thī.

27qihāt ke chār kuṁboṅ banām amrām, izhār , habrūn aur uzzīel 28ke 8,600 mard the jo ek māh yā is se zāid ke the aur jin ko maqdis kī ḵẖidmat karnī thī. 29unheṅ apne ḍere maqdis ke junūb meṅ ḍālne the. 30un kā rāhanumā ilīsafan bin uzzīel thā, 31aur vah yah chīzeṅ saṁbhālte the : ahd kā sandūq, mez, shamādān, qurbāngāheṅ, vah bartan aur sāz-o-sāmān jo maqdis meṅ istemāl hotā thā aur muqaddastarīn kamre kā pardā. in chīzoṅ se mutālliq sārī ḵẖidmat un kī zimmādārī thī. 32hārūn imām kā beṭā ilīazar lāviyoṅ ke tamām rāhanumāoṅ par muqarrar thā. vah un tamām logoṅ kā iṅchārj thā jo maqdis kī dekh-bhāl karte the.

33mirārī ke do kuṁboṅ banām mahalī aur mūshī 34ke 6,200 mard the jo ek māh yā is se zāid ke the. 35un kā rāhanumā sūrīel bin abīḵẖail thā. unheṅ apne ḍere maqdis ke shimāl meṅ ḍālne the, 36aur vah yah chīzeṅ saṁbhālte the : ḵẖaime ke taḵẖte, us ke shahatīr, khambe, pāe aur is tarah kā sārā sāmān. in chīzoṅ se mutālliq sārī ḵẖidmat un kī zimmādārī thī. 37vah chārdīvārī ke khambe, pāe, meḵẖeṅ aur rasse bhī saṁbhālte the.

38mūsā, hārūn aur un ke beṭoṅ ko apne ḍere mashriq meṅ maqdis ke sāmne ḍālne the. un kī zimmādārī maqdis meṅ banī isrāīl ke liye ḵẖidmat karnā thī. un ke ilāvā jo bhī maqdis meṅ dāḵẖil hone kī koshish kartā use sazā-e-maut denī thī.

39un lāvī mardoṅ kī kul tādād jo ek māh yā is se zāid ke the 22,000 thī. rabb ke kahane par mūsā aur hārūn ne unheṅ kuṁboṅ ke mutābiq gin kar rajisṭar meṅ darj kiyā.

lāvī ke qabīle ke mard pahalauṭhoṅ ke ivzī haiṅ

40rabb ne mūsā se kahā, “tamām isrāīlī pahalauṭhoṅ ko ginnā jo ek māh yā is se zāid ke haiṅ aur un ke nām rajisṭar meṅ darj karnā. 41un tamām pahalauṭhoṅ kī jagah lāviyoṅ ko mere liye maḵẖsūs karnā. isī tarah isrāīliyoṅ ke maveshiyoṅ ke pahalauṭhoṅ kī jagah lāviyoṅ ke maveshī mere liye maḵẖsūs karnā. maiṅ rabb hūṅ.” 42mūsā ne aisā hī kiyā jaisā rabb ne use hukm diyā. us ne tamām isrāīlī pahalauṭhe 43jo ek māh yā is se zāid ke the gin liye. un kī kul tādād 22,273 thī.

44rabb ne mūsā se kahā, 45“mujhe tamām isrāīlī pahalauṭhoṅ kī jagah lāviyoṅ ko pesh karnā. isī tarah mujhe isrāīliyoṅ ke maveshiyoṅ kī jagah lāviyoṅ ke maveshī pesh karnā. lāvī mere hī haiṅ. maiṅ rabb hūṅ. 46lāviyoṅ kī nisbat bāqī isrāīliyoṅ ke 273 pahalauṭhe ziyādā haiṅ. un meṅ se 47har ek ke ivz chāṅdī ke pāṅch sikke le jo maqdis ke vazan ke mutābiq hoṅ (fī sikkā taqrīban 11 grām). 48yah paise hārūn aur us ke beṭoṅ ko denā.”

49mūsā ne aisā hī kiyā. 50yūṅ us ne chāṅdī ke 1,365 sikke (taqrīban 16 kilogrām jamā karke 51hārūn aur us ke beṭoṅ ko die, jis tarah rabb ne use hukm diyā thā.