Gintī 29

nae sāl kī īd kī qurbāniyāṅ

1sātveṅ māh ke paṅdrahaveṅ din bhī kām na karnā balki muqaddas ijtimā ke liye ikaṭṭhe honā. us din narsiṅge phūṅke jāeṅ. 2rabb ko bhasm hone vālī qurbānī pesh kī jāe jis kī ḵẖushbū use pasand ho yānī ek javān bail, ek meṅḍhā aur bheṛ ke sāt yaksālā bacche. sab nuqs ke baġair hoṅ. 3har jānvar ke sāth ġallā kī nazar bhī pesh karnā jis ke liye tel ke sāth milāyā gayā behtarīn maidā istemāl kiyā jāe. bail ke sāth sāḍhe 4 kilogrām, meṅḍhe ke sāth 3 kilogrām 4aur bheṛ ke har bacche ke sāth ḍeṛh kilogrām maidā pesh karnā. 5ek bakrā bhī gunāh kī qurbānī ke taur par pesh karnā tāki tumhārā kaffārā diyā jāe. 6yah qurbāniyāṅ rozānā aur har māh ke pahale din kī qurbāniyoṅ aur un ke sāth kī ġallā aur mai kī nazroṅ ke ilāvā haiṅ. in kī ḵẖushbū rabb ko pasand hai.

kaffārā ke din kī qurbāniyāṅ

7sātveṅ mahīne ke dasveṅ din muqaddas ijtimā ke liye ikaṭṭhe honā. us din kām na karnā aur apnī jān ko dukh denā. 8-11 rabb ko vahī qurbāniyāṅ pesh karnā jo isī mahīne ke pahale din pesh kī jātī haiṅ. sirf ek farq hai, us din ek nahīṅ balki do bakre gunāh kī qurbānī ke taur par pesh kie jāeṅ tāki tumhārā kaffārā diyā jāe. aisī qurbāniyāṅ rabb ko pasand haiṅ.

jhoṁpaṛiyoṅ kī īd kī qurbāniyāṅ

12sātveṅ mahīne ke paṅdrahaveṅ din bhī kām na karnā balki muqaddas ijtimā ke liye ikaṭṭhe honā. sāt din tak rabb kī tāzīm meṅ īd manānā. 13īd ke pahale din rabb ko 13 javān bail, 2 meṅḍhe aur 14 bheṛ ke yaksālā bacche bhasm hone vālī qurbānī ke taur par pesh karnā. in kī ḵẖushbū use pasand hai. sab nuqs ke baġair hoṅ. 14har jānvar ke sāth ġallā kī nazar bhī pesh karnā jis ke liye tel se milāyā gayā behtarīn maidā istemāl kiyā jāe. har bail ke sāth sāḍhe 4 kilogrām, har meṅḍhe ke sāth 3 kilogrām 15aur bheṛ ke har bacche ke sāth ḍeṛh kilogrām maidā pesh karnā. 16is ke ilāvā ek bakrā bhī gunāh kī qurbānī ke taur par pesh karnā. yah qurbāniyāṅ rozānā kī bhasm hone vālī qurbāniyoṅ aur un ke sāth vālī ġallā aur mai kī nazroṅ ke ilāvā haiṅ. 17-34 īd ke bāqī chhah din yahī qurbāniyāṅ pesh karnī haiṅ. lekin har din ek bail kam ho yānī dūsre din 12, tīsre din 11, chauthe din 10, pāṅchveṅ din 9, chhaṭe din 8 aur sātveṅ din 7 bail. har din gunāh kī qurbānī ke liye bakrā aur māmūl kī rozānā kī qurbāniyāṅ bhī pesh karnā. 35īd ke āṭhveṅ din kām na karnā balki muqaddas ijtimā ke liye ikaṭṭhe honā. 36rabb ko ek javān bail, ek meṅḍhā aur bheṛ ke sāt yaksālā bacche bhasm hone vālī qurbānī ke taur par pesh karnā. in kī ḵẖushbū rabb ko pasand hai. sab nuqs ke baġair hoṅ. 37-38 sāth hī vah tamām qurbāniyāṅ bhī pesh karnā jo pahale din pesh kī jātī haiṅ. 39yah sab vahī qurbāniyāṅ haiṅ jo tumheṅ rabb ko apnī īdoṅ par pesh karnī haiṅ. yah un tamām qurbāniyoṅ ke ilāvā haiṅ jo tum dilī ḵẖushī se yā mannat mān kar dete ho, chāhe vah bhasm hone vālī, ġallā kī, mai kī yā salāmatī kī qurbāniyāṅ kyūṅ na hoṅ.”

40mūsā ne rabb kī yah tamām hidāyāt isrāīliyoṅ ko batā dīṅ.